Sarfira Saheb,
Har baar ki tarha, aapka mein mamnum aur mashkur rahunga,
Khusoosi taur par aapki rehnumai ka, jis qadr aap meri islah
kare uska. Aap ka har alfaz mere dil ke khareeb hai.
Aap bilkul baja farmate hain, yeh baat sahi hai, magar kabhi
jab aapKuch ustad shayer ki gazlein pardhen. Jaise Ghalib ka misali taur pe yeh Ghazal hai: to har sher apni wazn ka hai zaroor, phir har sher apni jagah par aik master piece hai. Magar kabhi aik doosre se nahi milte apni maine mein.
jaise:(ghalib ki alfaaze bayaani ka aaj tak jawaab nahi)
baaziichaa-e-atfaal hai duniyaa mere aage
hotaa hai shab-o-roz tamaashaa mere aage
[baaziichaa-e-atfaal = child's play]
ik khel hai aurang-e-sulemaa.N mere nazadiik
ik baat hai ejaaz-e-masiihaa mere aage
[aurang = throne; ejaaz = miracle)
Phir Faiz Ahmed Faiz ki woh gazl le lein:
Chasme nam jaane shohrida kaafi nahi.
Tohmate ishq poshida kaafi nahi
Aaj bazaar mein pajaolan chalo.
Is mein na kafiya radeef hai, na maine khareeb hain. Azad khayal ke hain Faiz ke ashar, magar behad maine rakhte hain agar aap puri ghazal padhen, aur unka andaaze bayaan ka kiya kehna, unke alfazon ka kiya kehna.
Yeh mera khayaal hai ke jab ashaar kabhi shayar kissi falsafe par
likhta ho to woh kuch aise alfaaz istmal karta hai, keh aap usko badal dein to
woh wazn par to baithjate hain magar shayari ka lubab khatam ho jata hai.
To iss raushni mein aapka kiya khayal hai Sarfira saheb.
Mein badi mazarat ke saath ye aap ko kehne ki gustaqhi kiya hoon, meri qataon ko maaf kardein. Mein aap ki bahut izzat karta hon aur apne aap ko talib-e sukhan samajhta rahonga. Main ab bhi aap se meri ghalatiyon ke islah ki darkhwast rakhta hon aur aap se wohi muhabbat ki umeed rakhta hoon.
Bada Mashkur saheb aapka
Abul Asad
Abul sahab--
aapka sukriya ata krne ke shabd nhi mere paas--
aapne to hume vo baateN batai jinse hum aajtalak nawakif the--
aur aise mahan aur shandar shayron ke xample die ki bas--
dekha aapne humari kam akli ka nazara--
chlie issi bahane se hume kuch seekhne ko mila
aur jo aashaar aapne share kie hain janaabunki to shaani nahi
ek baar aur teh dil se sukriya
ese hi hume jaankari dete rahen-- aage bhi
khus rahen
muskurate rahen
aur han hum sach me muafi ke kabil haain--
galtiyan to nadaano se ho hi jaati hain na--