Jabse huyee hai tujh se mulaaqaat, saaqiyah!

by abdbundeli on November 12, 2014, 10:11:50 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 880 times)
abdbundeli
Guest
Reply with quote
Jabse huyee hai tujh se mulaaqaat, saaqiyah!
Kaate hain intizaar mein din-raat, saaqiyah!
Aatee hai hawaa chhuuke tujhe roz kaheen se?
Ab us se karuun kitne sawaalaat ? Saaqiyah !

जबसे हुयी है तुझसे मुलाक़ात, साक़ियः !
काटे हैं इन्तिज़ार में दिन-रात, साक़ियः !
आती है हवा छूके तुझे रोज़, कहीं से ?
अब, उससे करूँ कितने सवालात ? साक़ियः !

     -ram prakash garg / abd bundeli
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Saaqiyah, ruk zaraa, shaam honey to dey!! by abdbundeli in Ghazals « 1 2 3  All »
Ghazal: jaanaa thaa maine tujh ko tujh se bhee zyaadaaH...! by DhavalRami in Shayri-E-Dard
mulaaqaat by saahill in Share:Love Poetry
mulaaqaat hai by saahill in Shayri for Khumar -e- Ishq
mulaaqaat ko by saahill in Miscellaneous Shayri
sbechain
Guest
«Reply #1 on: November 12, 2014, 11:57:06 AM »
Reply with quote
Jabse huyee hai tujh se mulaaqaat, saaqiyah!
Kaate hain intizaar mein din-raat, saaqiyah!
Aatee hai hawaa chhuuke tujhe roz kaheen se?
Ab us se karuun kitne sawaalaat ? Saaqiyah !

जबसे हुयी है तुझसे मुलाक़ात, साक़ियः !
काटे हैं इन्तिज़ार में दिन-रात, साक़ियः !
आती है हवा छूके तुझे रोज़, कहीं से ?
अब, उससे करूँ कितने सवालात ? साक़ियः !

     -ram prakash garg / abd bundeli

good icon_flower icon_flower icon_flower!
Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010

View Profile
«Reply #2 on: November 12, 2014, 12:02:29 PM »
Reply with quote
Mahutram Abd Sahab aadab ,,

Go ke aapko ek arse se parh rahe hain ....bila shuba aapko parh kar bahut khuch seekhne ko milta hai ussi silsile ko zara aage barhte hue tashvish ka izhar karna chahta hun ke Aapke qita ke pahle doo misre MAFOOL FAAELAAT MAFAAEEL FAAELUN ( 221 2121 1221 212 ) me hai jubke 3rd misra ( MAFOOL MAFAAEEL MAFAAEEL FAOOLUN ) (221 1221 1221 122 ) me hai aur 4th misra pahle doo misro'n ke hum ahang  hai taham misre ka doosra arkaan FAAELAAT jaake MAFAAEEL ban gaya hai ...ye tarkeeb shairi ki husn per kis had tak asar andaz hoti hai ...jahan tak mera muqtasar mutaala aur mahemood ilm hai tu khaksaar ki nazar se kissi bhi asateza ke kalam me aisi tarkeeb dekhne me nahi aaee ...mujhe khushi hogi ke aap rahnumaee farhaam kar seekhne ka mauqa den ....Allah apko ek taweel umr se nawaze ... Dad behad o hisaab ..Mahutram Hasan Sahab wa Dr.Saini sahab ko bhi chahiye ke wo bhi aapni rai pesh karen ...chunke abd sahab ek adab shanas o munkasirul mizaj shaqs hai to wo isko ana ka masaala nahi banayenge aur hum sub ke ilm me izafa hoga jo is bazm ke liye soodhmand sabit hoga ...

Dua go

Qadeertoopchi
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011

View Profile
«Reply #3 on: November 12, 2014, 03:00:41 PM »
Reply with quote
main qaadeer bhai kee baat se sau feesadee itifaaq rakhtaa hoon safgoi ke liye muaafee
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #4 on: November 13, 2014, 10:59:53 AM »
Reply with quote

good icon_flower icon_flower icon_flower!

Bahut-bahut shukriyah, Sheba ji!

Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #5 on: November 13, 2014, 12:06:18 PM »
Reply with quote
Mahutram Abd Sahab aadab ,,

Go ke aapko ek arse se parh rahe hain ....bila shuba aapko parh kar bahut khuch seekhne ko milta hai ussi silsile ko zara aage barhte hue tashvish ka izhar karna chahta hun ke Aapke qita ke pahle doo misre MAFOOL FAAELAAT MAFAAEEL FAAELUN ( 221 2121 1221 212 ) me hai jubke 3rd misra ( MAFOOL MAFAAEEL MAFAAEEL FAOOLUN ) (221 1221 1221 122 ) me hai aur 4th misra pahle doo misro'n ke hum ahang  hai taham misre ka doosra arkaan FAAELAAT jaake MAFAAEEL ban gaya hai ...ye tarkeeb shairi ki husn per kis had tak asar andaz hoti hai ...jahan tak mera muqtasar mutaala aur mahemood ilm hai tu khaksaar ki nazar se kissi bhi asateza ke kalam me aisi tarkeeb dekhne me nahi aaee ...mujhe khushi hogi ke aap rahnumaee farhaam kar seekhne ka mauqa den ....Allah apko ek taweel umr se nawaze ... Dad behad o hisaab ..Mahutram Hasan Sahab wa Dr.Saini sahab ko bhi chahiye ke wo bhi aapni rai pesh karen ...chunke abd sahab ek adab shanas o munkasirul mizaj shaqs hai to wo isko ana ka masaala nahi banayenge aur hum sub ke ilm me izafa hoga jo is bazm ke liye soodhmand sabit hoga ...

Dua go

Qadeertoopchi

Ilm-e-sher-o-sanay'e janaab Toopchi bhai! Bahut-bahut shukriyah!

Mashwire ke liye shukraguzaar huun! Aapkee nuktahdaanee ne mujhe khush kar diyaa hai! Adb-o-sher-o-shayri ke nuktahdaan aise hi gour farmaate rahen, to Kalam-e-awwalaat se jaaree sher-o-shayri ke tamaam
rashm-o-rawaajaat wa uskee baareekiyon kee samajh adbee biraadaree ke dil-o-dimaag ko roshan kartee rahegee!
Jahaan tak mere Urdu-kalaam kaa sawaal hai, to meree aap-sab se guzaarish hai, ki, use 'bahar kee maheen paabandiyon' se aazaad rakhne kee duaa bakshen! Main ne kayee jubaanon (Hindi, English, Sanskrit, Urdu, Pali wa Prakrut) ke adb ko kuchh sanjeedagee se padhaa hai, aur Hindi, Urdu wa English mein nazm-o-gazalaat, jaisaa mujhe achchhaa lagaa hai, yaa jis tarannum mein woh jis raftaar se mere zehn mein milaad-e-tasawwur huye hain, binaa meen-mekh ke, waisehee likh daale gaye hain! Kis nazm yaa gazal yaa sher-o-qata'at mein, kis jubaan ke adb ke asaraat daakhil huye hain, main ne kabhee bhee gour naheen kiyaa hai! Main jo bhee huun, jaisaa bhee huun, aap sab hazaraat ke saamne huun! Bas aapkee duaa kaa khwaahishmand huun! Aapne apnee baat dil khol kar kahee hai, wo qaabil-e-ta'areef hai! WOH aapko khaandaan ke saath hameshaa khush wa sehatmand rarakhe!
                                   - ram prakash garg / abd bundeli

Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #6 on: November 13, 2014, 12:20:56 PM »
Reply with quote
main qaadeer bhai kee baat se sau feesadee itifaaq rakhtaa hoon safgoi ke liye muaafee

Aapkee nuktararasee bhee bilkul theek hai! Main ne janab Qadeer Toopchi kee nuktahrasee kaa jawaab (as above) de diyaa hai1! Gour farmaane kee takleef gawaarah karen! Shukriyah!
Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010

View Profile
«Reply #7 on: November 13, 2014, 12:23:38 PM »
Reply with quote
Ilm-e-sher-o-sanay'e janaab Toopchi bhai! Bahut-bahut shukriyah!

Mashwire ke liye shukraguzaar huun! Aapkee nuktahdaanee ne mujhe khush kar diyaa hai! Adb-o-sher-o-shayri ke nuktahdaan aise hi gour farmaate rahen, to Kalam-e-awwalaat se jaaree sher-o-shayri ke tamaam
rashm-o-rawaajaat wa uskee baareekiyon kee samajh adbee biraadaree ke dil-o-dimaag ko roshan kartee rahegee!
Jahaan tak mere Urdu-kalaam kaa sawaal hai, to meree aap-sab se guzaarish hai, ki, use 'bahar kee maheen paabandiyon' se aazaad rakhne kee duaa bakshen! Main ne kayee jubaanon (Hindi, English, Sanskrit, Urdu, Pali wa Prakrut) ke adb ko kuchh sanjeedagee se padhaa hai, aur Hindi, Urdu wa English mein nazm-o-gazalaat, jaisaa mujhe achchhaa lagaa hai, yaa jis tarannum mein woh jis raftaar se mere zehn mein milaad-e-tasawwur huye hain, binaa meen-mekh ke, waisehee likh daale gaye hain! Kis nazm yaa gazal yaa sher-o-qata'at mein, kis jubaan ke adb ke asaraat daakhil huye hain, main ne kabhee bhee gour naheen kiyaa hai! Main jo bhee huun, jaisaa bhee huun, aap sab hazaraat ke saamne huun! Bas aapkee duaa kaa khwaahishmand huun! Aapne apnee baat dil khol kar kahee hai, wo qaabil-e-ta'areef hai! WOH aapko khaandaan ke saath hameshaa khush wa sehatmand rarakhe!
                                   - ram prakash garg / abd bundeli

Mahutram ul maqam izzat muaab janab ram prakash garg / abd bundeli saheb aadab ..

Yaqeen jaaniye aapka reply parh kar meri nigah me apki izzat mazeed barh gaaee ....fan ke osool aur uske qawaid se aapko azaad rakhne waale hum kaun hote hain ....shairi mazhab ki tarhan hai jisme maslihat nahi chalti ....aapki shairi agarche sirf aap tak mahdood hai to koi nahi taham aane wali nasl aapko aapki shairi se yaad rakhegi .....

bil akhir mai aapke huzoor sarapa sipaas hun ke aapne meri rahnumaaee farmaaeen ..aur un baaton ki tarah tawajjo dilaaee jis se mai nabalad tha .....mai aapko arse se parh raha hun aur aapko parh kar humne sher kahne seekhe hain ...aapke miyaari kalamo se na jaane hum jaise kitni hi nau amoz mustafeed ho rahe hain aur hote rahenge Allah kare ye tasalsul kabhi na toote aur aapka saaya hum per taa der qayam o dayam rahe ...aur aap issi tarhan apni shandaar ghazlen nazme naghmen wagairah hame sunate rahe'n ...

dua go

qadeertoopchi
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #8 on: November 14, 2014, 08:26:59 AM »

Bhai Qadeer ji!
Aapke khoobsurat alfaaz, aur aapkaa pyaar se dilee khushee huyee! Bahut bahut shukriyah! You're always welcome to interact with me! May HE bless you & your family!
Dua go!
R.P GARG / abd bundeli
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 28, 2025, 02:32:46 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.102 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer