jinse ho mohobbat unhi se judaai kyu hai

by kaushikbhawna008 on June 13, 2008, 10:19:27 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1001 times)
kaushikbhawna008
Guest
Reply with quote
duniya ne ye reet chalaai kyu hai
jinse ho mohobbat unhi se judaai kyu hai

yu to har kisi k dil mei khamoshi ka hai manjar
fir kyu duniya ne ajab si halchal machai kyu hai

duniya ne ye reet chalaai kyu hai
jinse ho mohobbat unhi se judaai kyu hai

jise chaht ho khushiyo ki unhi k dil mei maayusi kyu hai
jise khauf ho kaanch k tut jaane ka b
unhe k dil tut.te kyu hain

duniya ne ye reet chalaai kyu hai
jinse ho mohobbat unhi se judaai kyu hai

wafa wadaa nibhana sab chahte hain
par har shaqs karta fir bewafaai kyu hain

duniya ne ye reet chalaai kyu hai
jinse ho mohobbat unhi se judaai kyu hai

yu to hazaar naaam lene wale hain mere
par unke naam ke saath hi meri jaghasaai kyu hai

duniya ne ye reet chalaai kyu hai
jinse ho mohobbat unhi se judaai kyu hai







Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
jinse milne ki tamanna thi ek muddat se by disha in Shayeri for Dard -e- Bewafai « 1 2  All »
Zindgi Bulati Hai Unhi Rahoon Pe by Zamir Ka Qaidi in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
Unhi Jiye Jaate Hai by Pooja in Shayri-E-Dard
Jinse Risht Nibhaya... by daljeet_faqeer in Shayeri for Dard -e- Bewafai
har saans me humne unhi ko paya hai......... by suyog in Shayri for Khumar -e- Ishq
Sammual
Guest
«Reply #1 on: June 13, 2008, 10:47:40 AM »
Reply with quote
Wah wah Kya Likha Hai.
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #2 on: June 13, 2008, 10:56:34 AM »
Reply with quote
duniya ne ye reet chalaai kyu hai
jinse ho mohobbat unhi se judaai kyu hai

yu to har kisi k dil mei khamoshi ka hai manjar
fir kyu duniya ne ajab si halchal machai kyu hai

duniya ne ye reet chalaai kyu hai
jinse ho mohobbat unhi se judaai kyu hai

jise chaht ho khushiyo ki unhi k dil mei maayusi kyu hai
jise khauf ho kaanch k tut jaane ka b
unhe k dil tut.te kyu hain

duniya ne ye reet chalaai kyu hai
jinse ho mohobbat unhi se judaai kyu hai

wafa wadaa nibhana sab chahte hain
par har shaqs karta fir bewafaai kyu hain

duniya ne ye reet chalaai kyu hai
jinse ho mohobbat unhi se judaai kyu hai

yu to hazaar naaam lene wale hain mere
par unke naam ke saath hi meri jaghasaai kyu hai

"duniya ne ye reet chalaai kyu hai
jinse ho mohobbat unhi se judaai kyu hai"




 

Bohat khoob kaha aapne aur likha hai super lines kaushikbhawna ji

Logged
syednaami
Guest
«Reply #3 on: June 13, 2008, 11:29:42 AM »
Reply with quote
Quote from: Quote from: kaushikbhawna008
wafa wadaa nibhana sab chahte hain
par har shaqs karta fir bewafaai kyu hain

Umda aur kamaal ke ashaar paish kiye hain aapne... buhat badhiya...

Har shakhs hota nahin bewafa, -
vaad-e-wafa ka nibhana mushkil hai zara, -
Jo karega muhabbat bhula ke khud ko, -
Wohi shakhs hoga sacha hamnava. -


(Syed Naami)
Logged
kaushikbhawna008
Guest
«Reply #4 on: June 14, 2008, 05:24:55 AM »
Reply with quote
shukriya honeyrose ji, sammual ji and syednami ji
Logged
kaushikbhawna008
Guest
«Reply #5 on: June 14, 2008, 05:42:44 AM »
Reply with quote
hamne to mohobbat ko nibhana chaha tha
wada mohobbat ka pura karna chaha tha
badle mei hamne kaun sa unse kuch aur maanga tha
hamne to sirf unka dard baatna chaha tha
fir b wo hamse dur hote chale gaye
aur hamne to sirf unka saath nibhana chaha tha
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #6 on: June 14, 2008, 06:38:08 AM »
Reply with quote
bahoot sunder shabdon ka istemaal....once again weldone bhawna ji,....

har rasm duniya ki nibhata chal,
mile jo zakhm, chupata chal,
na mil saka jo pyar unka,
gumkhor ban, muskarata chal,
Logged
kaushikbhawna008
Guest
«Reply #7 on: June 14, 2008, 06:43:03 AM »
Reply with quote
bedard hai ye dunia ye rasmein bhi nibhane nahi deti
kya hasein ham e-dost ye ashk b bahane nahi deti
zindgi ko ham jiyein to bhala kaise jiyein tu hi bata
ye to kambakht maut ko bhi gale lagane nahi deti
Logged
syednaami
Guest
«Reply #8 on: June 14, 2008, 07:11:49 AM »
Reply with quote
kaushikbhawna008 ur bekarar bhaya... phir se buhat sundar paishkash...
Logged
R-U-Sudha
Guest
«Reply #9 on: September 07, 2008, 02:41:36 PM »
Reply with quote
hamne to mohobbat ko nibhana chaha tha
wada mohobbat ka pura karna chaha tha
badle mei hamne kaun sa unse kuch aur maanga tha
hamne to sirf unka dard baatna chaha tha
fir b wo hamse dur hote chale gaye
aur hamne to sirf unka saath nibhana chaha tha


Kaushik Bhawana ji, yun to humne bhi yehi chaha tha ki unka sath den jeevan bhar ke  liye, par na jana kyun hum se khata huy aur woh woh hamen bulate rahe par hum pathar ho gaye the. Rula diya hamen aap ne  tearyeyed
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 11:58:18 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.118 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer