Kabhie chaand se kabhie khud se...

by daljeet_faqeer on March 28, 2009, 10:27:17 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1048 times)
daljeet_faqeer
Guest
Reply with quote
Kabhie chaand se kabhie khud se baatein karte hain,
Hum aksar tanhai mein aisi sharatein karte hain.

Humse ab khud apna gham jhela nahin jaata hai,
Zindagi mein tanhai hai kyun mela nahin aata hai,
Hum aksar khuda se aisi shikayatein karte hain.

Koi ho jo do kadam mere bhi saath chale,
Mujhko dekar saari khushiyaan mere gham ko baant le,
Hum aksar taqdeer se aisi adawatein karte hain.

Khuda ki neymat hai insaan ko ye duniya saari,
Chhod doonga is duniya ko tum jo ho jao hamari,
Hum aksar mehboob pe aisi enayatein karte hain.

                          Daljeet'faqeer'
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Kabhi Kabhie by kamran_bombay in Shayri for Khumar -e- Ishq
KyUnKi SaAs BhI kAbHiE bAhOo ThI... by ambar in SMS , mobile & JOKES
Mitra banata jab kabhie by harashmahajan in Tanziya aur Tehreekbaksh Shayariyan
Kabhie Zindagi Mein by daljeet_faqeer in Shayri for Khumar -e- Ishq
phir na kabhie jaagay by anjaan dharkan in Shayri-E-Dard
sajid_ghayel
Guest
«Reply #1 on: March 28, 2009, 05:22:29 PM »
Reply with quote
Arey wah daljeet ek sath itne behtareen kalam wah wah jee wah....
Logged
Talat
Guest
«Reply #2 on: March 28, 2009, 05:23:34 PM »
Reply with quote
Bohot Khoob Daljeet Ji
Logged
Roja
Guest
«Reply #3 on: March 28, 2009, 05:40:47 PM »
Reply with quote
Kabhie chaand se kabhie khud se baatein karte hain,
Hum aksar tanhai mein aisi sharatein karte hain.

Humse ab khud apna gham jhela nahin jaata hai,
Zindagi mein tanhai hai kyun mela nahin aata hai,
Hum aksar khuda se aisi shikayatein karte hain.

Koi ho jo do kadam mere bhi saath chale,
Mujhko dekar saari khushiyaan mere gham ko baant le,
Hum aksar taqdeer se aisi adawatein karte hain.

Khuda ki neymat hai insaan ko ye duniya saari,
Chhod doonga is duniya ko tum jo ho jao hamari,
Hum aksar mehboob pe aisi enayatein karte hain.

                          Daljeet'faqeer'

Wah wah.. Bahut khoob. Aaj ka post sara bahut accha tha. Yu hi likhte rehna.
Logged
Rani H
Guest
«Reply #4 on: March 28, 2009, 05:43:27 PM »
Reply with quote
bohot khoobsurat hai
Logged
SURESH SANGWAN
Guest
«Reply #5 on: March 18, 2010, 06:02:48 PM »
Reply with quote
bahut khoob daljeet ji aap wakai kamaal ke khyal rakhte hain.
 Applause Applause Applause Applause
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #6 on: March 18, 2010, 06:19:38 PM »
Reply with quote
bahut khoob...
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 09, 2024, 02:26:04 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.1 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer