KAISE BATLAA'UN : EIK SHOUHAR KA DARD - E - FURQAT ....................... HASAN

by F.H.SIDDIQUI on May 14, 2013, 01:47:29 PM
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 2290 times)
F.H.SIDDIQUI
Guest
Reply with quote

Ho  ke  nazroN  se juda , dil se  bhulane  waali ,
Kaise  batlaa’uN tujhe kitna pareshaan huN main

 Aajkal  mujh se bahut door , bahut door  ho tum ,
 Kaise  mumkin  hai ki is doori ka  ehsaas na ho ,
 Eik pal chain se  kat jaaye ye  mumkin hi naheeN ,
 Husn - e - Ma’shooq hi Aashiq ke agar paas na ho.

Apne  Aashiq   ko  Shab - o - Roz  sataane  waali ,
Kaise  batlaa’uN tujhe kitna pareshaan  huN  maiN

 Yaad  karta  hooN  kabhi  pahli  mulaqaat  ki raat ,
 Jab  Dulhan ban ke  mere kamre  mein  tuu leti thhee ,
 Jab  dabe paaoN maiN  aaya thha  masehree ke qareeb ,
 Aur  phir lete se , ghabra ke tu uthh baithhi thhee

Mere    soye    hue    jazbaat    jagaane   waali ,

 Jab bhi karta thha tujhe baahoN meiN lene ki  sa’ee ,
 Kaise ghabra ke  tu  bal khha  ke simat jaati thhee ,
 Gudgudee   tere   badan   meiN  jo  zara  kar  deta ,
 Ho  ke  bebass  mere  seene  se lipat j aati  thhee

Daur - e - mad - mast  mujhe  yaad  dilaane  waali ,

 Raah  meiN  yooN  to  HaseeN  lakh nazar  aate haiN ,
 Ek  kasak  tujh se  jo mansoob  hai rah  jaati  hai ,
 Dil ki  bechaini  bhi  hoti  hai  siwa  shaam  dhale ,
 Aur   tadpaane  ko   phir  raat  chalee  aati  hai

Be - qaraari  Shab - e - furqat  ki  badhaane  waali ,

Ho  ke  nazron  se  juda   dil   se  bhulane  waali,
Kaise  batlaa.uN  tujhe  kitna  pareshaan  huN  maiN
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
KYA KAHEIN KAISE ............................... HASAN by F.H.SIDDIQUI in Ghazals « 1 2 3  All »
BECHAARE SHOUHAR ............................. ( QAIS ) by Qais in Mazahiya Shayri(Funny Shayari) « 1 2  All »
KAISE KAISE KHEL ........................ HASAN by F.H.SIDDIQUI in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
KHUL GAYEE BAAT KAISE MEHFIL MEIN ..............HASAN by F.H.SIDDIQUI in Ghazals « 1 2 3  All »
KAISE KAREN SALAM , NAZAR CHAAR BHI TO HO .........HASAN by F.H.SIDDIQUI in Ghazals
mkv
Guest
«Reply #1 on: May 14, 2013, 01:56:59 PM »
Reply with quote
Aadaab Sir
Dard bhi hai..par ek kashish bhee.
bahut bahut khoobsurat nazm..muqammal behr men.
laajavaab..
sach me aap sabse alag hain.. aur aapke likhne ka andaaz bhee.

Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011

View Profile
«Reply #2 on: May 14, 2013, 02:10:57 PM »
Reply with quote
aaj to rulaa diyaa bhaai jaan
Logged
Shireen Hakani
Guest
«Reply #3 on: May 14, 2013, 02:56:14 PM »
Reply with quote
Wah Wah Sir!!!! Bohat hi khusbsurat, umada aur emotional rahi aap ki kalaam. Har ek lafz ka dard dil ko chhu gaya...Veryyyyyyyyyyyyyyy Niceeeeeeeeeeeeeeeeee!

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
«Reply #4 on: May 14, 2013, 03:08:17 PM »
Reply with quote

Ho  ke  nazroN  se juda , dil se  bhulane  waali ,
Kaise  batlaa’uN tujhe kitna pareshaan huN main

 Aajkal  mujh se bahut door , bahut door  ho tum ,
 Kaise  mumkin  hai ki is doori ka  ehsaas na ho ,
 Eik pal chain se  kat jaaye ye  mumkin hi naheeN ,
 Husn - e - Ma’shooq hi Aashiq ke agar paas na ho.

Apne  Aashiq   ko  Shab - o - Roz  sataane  waali ,
Kaise  batlaa’uN tujhe kitna pareshaan  huN  maiN

 Yaad  karta  hooN  kabhi  pahli  mulaqaat  ki raat ,
 Jab  Dulhan ban ke  mere kamre  mein  tuu leti thhee ,
 Jab  dabe paaoN maiN  aaya thha  masehree ke qareeb ,
 Aur  phir lete se , ghabra ke tu uthh baithhi thhee

Mere    soye    hue    jazbaat    jagaane   waali ,
Kaise  batlaa’uN  tujhe kitna  pareshaan huN maiN

 Jab bhi karta thha tujhe baahoN meiN lene ki  sa’ee ,
 Kaise ghabra ke  tu  bal khha  ke simat jaati thhee ,
 Gudgudee   tere   badan   meiN  jo  zara  kar  deta ,
 Ho  ke  bebass  mere  seene  se lipat j aati  thhee

Daur - e - mad - mast  mujhe  yaad  dilaane  waali ,
Kaise  batlaa’uN  tujhe  kitna  pareshaan huN maiN

 Raah  meiN  yooN  to  HaseeN  lakh nazar  aate haiN ,
 Ek  kasak  tujh se  jo mansoob  hai rah  jaati  hai ,
 Dil ki  bechaini  bhi  hoti  hai  siwa  shaam  dhale ,
 Aur   tadpaane  ko   phir  raat  chalee  aati  hai

Be - qaraari  Shab - e - furqat  ki  badhaane  waali ,
Kaise  batlaa’uN  tujhe  kitna  pareshaan  huN maiN

Ho  ke  nazron  se  juda   dil   se  bhulane  waali,
Kaise  batlaa.uN  tujhe  kitna  pareshaan  huN  maiN

Justtttttt Beautiful...!!!!!!!

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
laaiba
Guest
«Reply #5 on: May 14, 2013, 03:38:14 PM »
Reply with quote
waah waah our sirf waah ,.........
bohat hee khubsoorat nazm hai aapkee just beautiful ,....
 Raah  meiN  yooN  to  HaseeN  lakh nazar  aate haiN ,  Ek  kasak  tujh se  jo mansoob  hai rah  jaati  hai ,  Dil ki  bechaini  bhi  hoti  hai  siwa  shaam  dhale ,  Aur   tadpaane  ko   phir  raat  chalee  aati  hai Be - qaraari  Shab - e - furqat  ki  badhaane  waali , Kaise  batlaa’uN  tujhe  kitna  pareshaan  huN maiN Ho  ke  nazron  se  juda   dil   se  bhulane  waali, Kaise  batlaa.uN  tujhe  kitna  pareshaan  huN  maiN
yeh lines bohat achee lagen,....
bohat bohat c daad rau ke sath,.............
Logged
kittoo
Guest
«Reply #6 on: May 14, 2013, 04:02:22 PM »
Reply with quote
 hello2

Bahut Sahi kaha
Logged
Shihab
Yoindian Shayar
******

Rau: 27
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
29 days, 3 hours and 46 minutes.

Maut To Ek Shuruaat Hai...

Posts: 2082
Member Since: Dec 2006

View Profile
«Reply #7 on: May 14, 2013, 05:12:41 PM »
Reply with quote
Clapping Smiley Clapping Smiley : clapping:
Logged
amit_prakash_meet
Guest
«Reply #8 on: May 14, 2013, 06:31:13 PM »
Reply with quote
I don't have words to praise it is simply superb
 icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #9 on: May 14, 2013, 07:50:16 PM »
Reply with quote
Siddiqui Sahaab Aadaab...!

WaaH janab behad umdaa nazm kahi hai aapne... aah hai karaH hai gazab ke ahsaas aur umdaa khayaal behad khob janab... Usual Smile

Is khoobsurat aur umdaa nazm par humari hazaaroN dili daad O mubbarakbad kabul kijiye... Usual Smile

Likhate rahiye... bazm ko roshan karte rahiye...
Shaad O aabaad rahiye...

Khuda Hafez... Usual Smile

Logged
Iftakhar Ahmad
Guest
«Reply #10 on: May 14, 2013, 11:40:57 PM »
Reply with quote
Really bahut hi khoobsoorat nazm pesh ki hai Hasan saheb, dil ko choo gai. Bahut bahut khoob.
Logged
sbechain
Guest
«Reply #11 on: May 15, 2013, 03:31:44 AM »
Reply with quote

Ho  ke  nazroN  se juda , dil se  bhulane  waali ,
Kaise  batlaa’uN tujhe kitna pareshaan huN main

 Aajkal  mujh se bahut door , bahut door  ho tum ,
 Kaise  mumkin  hai ki is doori ka  ehsaas na ho ,
 Eik pal chain se  kat jaaye ye  mumkin hi naheeN ,
 Husn - e - Ma’shooq hi Aashiq ke agar paas na ho.

Apne  Aashiq   ko  Shab - o - Roz  sataane  waali ,
Kaise  batlaa’uN tujhe kitna pareshaan  huN  maiN

 Yaad  karta  hooN  kabhi  pahli  mulaqaat  ki raat ,
 Jab  Dulhan ban ke  mere kamre  mein  tuu leti thhee ,
 Jab  dabe paaoN maiN  aaya thha  masehree ke qareeb ,
 Aur  phir lete se , ghabra ke tu uthh baithhi thhee

Mere    soye    hue    jazbaat    jagaane   waali ,
Kaise  batlaa’uN  tujhe kitna  pareshaan huN maiN

 Jab bhi karta thha tujhe baahoN meiN lene ki  sa’ee ,
 Kaise ghabra ke  tu  bal khha  ke simat jaati thhee ,
 Gudgudee   tere   badan   meiN  jo  zara  kar  deta ,
 Ho  ke  bebass  mere  seene  se lipat j aati  thhee

Daur - e - mad - mast  mujhe  yaad  dilaane  waali ,
Kaise  batlaa’uN  tujhe  kitna  pareshaan huN maiN

 Raah  meiN  yooN  to  HaseeN  lakh nazar  aate haiN ,
 Ek  kasak  tujh se  jo mansoob  hai rah  jaati  hai ,
 Dil ki  bechaini  bhi  hoti  hai  siwa  shaam  dhale ,
 Aur   tadpaane  ko   phir  raat  chalee  aati  hai

Be - qaraari  Shab - e - furqat  ki  badhaane  waali ,
Kaise  batlaa’uN  tujhe  kitna  pareshaan  huN maiN

Ho  ke  nazron  se  juda   dil   se  bhulane  waali,
Kaise  batlaa.uN  tujhe  kitna  pareshaan  huN  maiN

tearyeyed tearyeyed tearyeyed :tearyeyed:fazal sahab meri hamdardi aap ke saath hai aur poora padhte padhte meri aankein num ho gaee.n ALLAH aap ko sabr de
main aap ke iss akelepan ko samjh sakti hoo.n aur iss nazm ko ek rau to kya 100000 bhi kamm hain mera  icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut aur kya kahoo.n aur aap jitna apni wife ko miss karte hain saara lafzon mein utaar diya hai yaani waqi aap itna pyaar karte hain apni biwi se.
ALLAH unki maghferat kare amin.!
aur infact main bhi aap ki tarah hi chaahne wale shauhar ki talab karti hoon
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #12 on: May 15, 2013, 01:27:37 PM »
Reply with quote
Aadaab Sir
Dard bhi hai..par ek kashish bhee.
bahut bahut khoobsurat nazm..muqammal behr men.
laajavaab..
sach me aap sabse alag hain.. aur aapke likhne ka andaaz bhee.

Bahut shukriya , Mukesh ji , aur duaaein .
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #13 on: May 15, 2013, 03:37:44 PM »
Reply with quote
Shukriya , Saini sahib aur Adaab .
Logged
marhoom bahayaat
Guest
«Reply #14 on: May 15, 2013, 04:47:14 PM »
Reply with quote

Ho  ke  nazroN  se juda , dil se  bhulane  waali ,
Kaise  batlaa’uN tujhe kitna pareshaan huN main

 Aajkal  mujh se bahut door , bahut door  ho tum ,
 Kaise  mumkin  hai ki is doori ka  ehsaas na ho ,
 Eik pal chain se  kat jaaye ye  mumkin hi naheeN ,
 Husn - e - Ma’shooq hi Aashiq ke agar paas na ho.

Apne  Aashiq   ko  Shab - o - Roz  sataane  waali ,
Kaise  batlaa’uN tujhe kitna pareshaan  huN  maiN

 Yaad  karta  hooN  kabhi  pahli  mulaqaat  ki raat ,
 Jab  Dulhan ban ke  mere kamre  mein  tuu leti thhee ,
 Jab  dabe paaoN maiN  aaya thha  masehree ke qareeb ,
 Aur  phir lete se , ghabra ke tu uthh baithhi thhee

Mere    soye    hue    jazbaat    jagaane   waali ,
Kaise  batlaa’uN  tujhe kitna  pareshaan huN maiN

 Jab bhi karta thha tujhe baahoN meiN lene ki  sa’ee ,
 Kaise ghabra ke  tu  bal khha  ke simat jaati thhee ,
 Gudgudee   tere   badan   meiN  jo  zara  kar  deta ,
 Ho  ke  bebass  mere  seene  se lipat j aati  thhee

Daur - e - mad - mast  mujhe  yaad  dilaane  waali ,
Kaise  batlaa’uN  tujhe  kitna  pareshaan huN maiN

 Raah  meiN  yooN  to  HaseeN  lakh nazar  aate haiN ,
 Ek  kasak  tujh se  jo mansoob  hai rah  jaati  hai ,
 Dil ki  bechaini  bhi  hoti  hai  siwa  shaam  dhale ,
 Aur   tadpaane  ko   phir  raat  chalee  aati  hai

Be - qaraari  Shab - e - furqat  ki  badhaane  waali ,
Kaise  batlaa’uN  tujhe  kitna  pareshaan  huN maiN

Ho  ke  nazron  se  juda   dil   se  bhulane  waali,
Kaise  batlaa.uN  tujhe  kitna  pareshaan  huN  maiN

gr888888888888888888888 nazm,sir
Logged
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 14, 2024, 03:39:24 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.151 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer