Khabar

by nishita on December 15, 2004, 06:51:40 AM
Pages: 1 2 [3] 4
ReplyPrint
Author  (Read 4397 times)
nishita
Guest
«Reply #30 on: December 23, 2004, 07:00:36 PM »
Reply with quote
samandar ne mujhe pyaasa hi rakha ....main jab sehra main tha ...pyaasa nahi tha ...
manane Ruth ne ....ke khel hain hum ....bichad jaayenge ...yeh soncha nahi tha ...

(NM)
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Mujhe Khabar Hai Mere Be Khabar by sayani kuri in Shayri-E-Dard
RAAT KA SAFAR HAI BE-KHABAR!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!! by qalb in Miscellaneous Shayri
Khabar hai... by Saavan in Shayri-E-Dard
khabar.................(K_A) by khamosh_aawaaz in Miscellaneous Shayri
Aaj ki khabar by Amit Singh Suryavanshi in Share:Love Poetry
jh
Guest
«Reply #31 on: December 24, 2004, 04:56:06 AM »
Reply with quote
nice nishita
Logged
jh
Guest
«Reply #32 on: December 24, 2004, 05:01:14 AM »
Reply with quote
logon ne apna hunar dikhaya bhi bahut hai
Ja ja kar maine manaya bhi bahut hai
Sach pocho to piyara bhi bahut lagta hai dil ko
Wo shaks jis ne dil ko dukhaya bhi bohat hai
Logged
myheart_ursonly
Guest
«Reply #33 on: December 24, 2004, 05:12:21 AM »
Reply with quote
Quote from: "jh"
logon ne apna hunar dikhaya bhi bahut hai
Ja ja kar maine manaya bhi bahut hai
Sach pocho to piyara bhi bahut lagta hai dil ko
Wo shaks jis ne dil ko dukhaya bhi bohat hai



jaan hi le li aap ne to
Logged
khirbar
Guest
«Reply #34 on: December 24, 2004, 07:15:16 AM »
Reply with quote
hi friends  Usual Smile  i like this ghazal ihope u also like it
it is written by faiz ahmed faiz

 "Ab kay tajdiday-e-wafa ka nahi imkaan jana
Yaad kiya dilaian tujh ko teyra peemaan jana
Yun moosam ki adda deykh kay yaad aaya hay
Kisqadder badal jaatay hain insaan jana
Zindagi teyri atta thee soo teyray naam ki hay
Hum nay jaysay bhi basser ki teyra ehssan jana
Dill yeh kheta hay kay shayied ho afsooda tu bhi
Dill ki kiya baat karian dill to hay nadaan jana
Awal awal ki muhabat kay nashay yaad tu ker
Bay peeyah bhi teyrah chayrah tha gullistan jana
Akhir akhir to yeh allam hay kay aab hoshe nahi
Ragay meena sulag uthee kay ragay janay-e-jana
Mudatoon say yehi allam na tuwaqoo na umeed
Dill pukaray hi challay jata hay jana jana
Hum bhi kiya sada thay,hum nay bhi samajh rakha tha
Gham-e-doraan say juda hay gham-jana jana!!

bye
Logged
nishita
Guest
«Reply #35 on: December 24, 2004, 07:25:48 AM »
Reply with quote
thanks jhallo bhaiyya... n gud one khirbar
Logged
khirbar
Guest
«Reply #36 on: December 24, 2004, 07:47:15 AM »
Reply with quote
hi Usual Smile
thanks for complement


Youn to ajnabee sara shehar tha
shayad is diyaar-e-ghair mein koee apna bhi habib tha.

Youn to dushman hamara koee na tha
Shayad is zamanay mein koee apna bhi raqeeb tha.

Youn to hamsafar mera koee na tha
Shayad is safar mein koee meray bhi qareeb tha.

Youn to kaaghaz per khoon-e-dil say likha kuch na tha
Shayad MARIAM andaaz apna hi kuch lateef tha.(MARIAM ABIDI)
 

bye
Logged
Meena
Guest
«Reply #37 on: December 24, 2004, 06:09:39 PM »
Reply with quote
Quote from: "jh"
logon ne apna hunar dikhaya bhi bahut hai
Ja ja kar maine manaya bhi bahut hai
Sach pocho to piyara bhi bahut lagta hai dil ko
Wo shaks jis ne dil ko dukhaya bhi bohat hai


wahhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhh bohot hiiiiiiii ache!
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #38 on: December 25, 2004, 12:10:21 PM »
Reply with quote
wowowo excellent work all..................
Logged
lovebites
Guest
«Reply #39 on: December 27, 2004, 08:26:19 AM »
Reply with quote
Humesha muskura kay aansooun ko chupaya
Ghum ko chupanay ka yehi rasta nazar aaya

Kis kis ko batatey behtey ashkon ka sabab
Kay derd-e-dil dil main kis nay jagaya

Mehfilon main kahin bhi maza na raha
Rakha dil pay pather to khud ko sajaya

Baat bay baat apni aahain daba ker
Yaron kay dermiyan kis qadar muskuraya

Na thi chah kabhi mujahy mankashi ki
Jaam-e-wafa kisi bay wafa nay pilaya

Kya muqadar say shikwa kertey rahain
Jo qismat main tha wohi kuch to paaya

Yeh kis mor pay aagaee hain umeedain
Kay saaya-e-manzil nazar main na aaya

Apnoon nay palat kay daykha tak nahin
Ghairon nay aaker galay say lagaaya

Acha hua kay raaz khul hi gaya
Dil-e-nadaan pay khanjar kis nay chalaya

Shab-o-roz chahat sila yeh hay shaiki
Dil kay tukrey huay wo chunney na aaya
Logged
nishita
Guest
«Reply #40 on: December 27, 2004, 12:14:08 PM »
Reply with quote
waah waah
Logged
nishita
Guest
«Reply #41 on: December 29, 2004, 08:51:54 AM »
Reply with quote
us mod se shuroo karen phir yeh zindagi

har koi  haseen the hum tum the ajnabee

 

lekar chale they hum jinhain jannat ke khwab the

phoolon ke khwab they woh muhabbat ke khawab the

lekin kahan hai in main woh pehli si dil kashee

 

rehte they hum haseen khyalon ki bheer main

uljhe hue hain aaj sawalon ki bheer main

ane lagi hai yaad woh fursat ki har gharee

(NM)
Logged
lovebites
Guest
«Reply #42 on: December 29, 2004, 02:49:28 PM »
Reply with quote
KASHF


Hont beh baat hansay
Zulf be-waja khuli
Khawab dikhla k mujhe
Neend kis simt chali
Khushboo lehriee mere kaan mein
Sergoshi ki
Apni shermili hansi mein ne suni
Aur phir jaan gayi
Meri anhkoon mein tere naam ka tara
Chamka

By-Perveen Shakir
Logged
nishita
Guest
«Reply #43 on: December 30, 2004, 12:11:45 PM »
Reply with quote
Kis qadar aansoo bahaaye tum ne sham-e-gham
 Itne taarey tau falak se bhi kabhi tootey na the

(NM)
Logged
lovebites
Guest
«Reply #44 on: January 01, 2005, 07:53:09 PM »
Reply with quote
Hum wahin par hi basa lein khud ko
Woh kabhi rah mein rokay to sahi

Sab say hat kar hi manana hai usay
Hum say ek bar woh ruthey to sahi

Dil usi wakt sambhal jayega
Dil ka ahwal woh puchay to sahi

Uski nafrat bhi muhabbat hogi
Meray baray mein woh sochay to sahi

Uskay kadmon mein bichha doon ankhein
Meri basti say woh guzray to sahi

Uskay sab jhoot bhi sach hein
Shart itne hay woh bolay to sahi

duniya ke har ek rasm ko todd de
wo humse bolay to sahi...
Logged
Pages: 1 2 [3] 4
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 09, 2024, 02:26:59 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.098 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer