<>*Khamosh raaton ki khamoshi*<>

by *KasaK*....Dil Ki on October 01, 2010, 06:46:06 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 4258 times)
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010

View Profile
Reply with quote
<>*Khamosh raaton ki khamoshi*<>
 
Khamosh raaton ki khamoshi, Dil ko jalane lagi
Aaj na jane kyun tumhari, Itni yaad aane lagi

Dil ne dhadakna kum kiya, Aur tumko yaad jyada kiya
Meri angdaiyon mein teri tadap, Saaf nazar aane lagi

Kuch mehsus kiya maine, Anjana sa inn hawaon mein
Kuch tere badan ki khushbu Ki bheeni mehak aane lagi

Taaron ne bhi apni Roshni badha di aur achanak
Andheri raat mein teri gali, Aasaan nazar aane lagi

Tere ghar ka raasta Mushkil to hai bahot
Par mujhe ab apni manzil, Saaf nazar aane lagi

Pana hai tujhe har haal, Har keemat par sanam
Ab meri koshish mujhe, Tere aur kareeb lane lagi

Aaj ya kal main ho jaungi teri Ye janti hun main
Jaan ab to zindagi tum bin, Bemaani nazar aane lagi !!!!!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
RULATI HAI MUJHE RAATON KI by waheed_rose2004 in Shayri-E-Dard
::Khamosh thhi,khamosh hi reh jayegi ye mohabbat:: by nidhi_yadein in Shayri-E-Dard « 1 2 3  All »
Meri Raaton Ka Gham... by Aryaan in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
Bheegi Hui Raaton Mein by majid in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
raaton ko aksar by saahill in Shayri for Dard -e- Judai
dead heart
Guest
«Reply #1 on: October 01, 2010, 07:01:36 PM »
Reply with quote
Bahaut yaad main likhi gayi yeh nazm bahaut khubsoorat hai..bahaut bahaut khoob..!
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
«Reply #2 on: October 01, 2010, 07:40:27 PM »
Reply with quote
"Dil ne dhadakna kam kiya, aur Tumko yaad Zyaada Kiya"......
waise to yeh poori nazm  hi itni khoobsurat hai ke kya kahein par yeh line ko mehsoos kiya jaa sakta hai..bahut khoobsurat..bahut bahut bahut Khoob Anuji..Lajawaab
Logged
neelgold
Guest
«Reply #3 on: October 01, 2010, 08:01:54 PM »
Reply with quote
Bemisal............ bhut khoob .......

JST "KAMAL"

Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010

View Profile WWW
«Reply #4 on: October 01, 2010, 08:53:20 PM »
Reply with quote
bahut bahut khoob likha hai aapne Kasak ji....!!!

 Applause Applause Applause Applause Applause

tumhaari baatein mere jeene ki wajah ban gayi hai,
tumhaari mohabbat hi ab meri zindagi ban gayi hai,

andhere jeewan me mere ab tumhaara saath hai,
tumhaara ehsaas jaise roshni si ban gayi hai,

socha na tha itni dur tak saath de paogi mera,
ab tumhaari jeet hi meri manzil ban gayi hai,

dekha kabhi ek khwaab tha ki tum ho meri baahon me,
us khwaab ke poora hone ki chaahat si ban gayi hai,

jaane kaisa dikhta hoon, jaane kaisa lagta hoon,
khud ko aaine me dekhne ki aadat si ban gayi hai,

subah se lekar shaam tak hoon tumhe main yaad karta,
ab tumhe chaahne ki hamaari ek chaahat si ban gayi hai...
Logged
Yaash
Guest
«Reply #5 on: October 02, 2010, 02:52:25 AM »
Reply with quote
Bohat Khoob Kasak Ji...
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
«Reply #6 on: October 02, 2010, 12:02:13 PM »
Reply with quote
khamosh raaton ki khamoshi dil ko jalaane lagi,
waqt-bewaqt teri yaad aane lagi..

khud ko bahut samjhaya ke pyaar naa kar
par sirf tere khayal se hi zindagi muskurane lagi...

raat ki tanhai mein bhi main tanha nahi
ab teri yaadein bhi mera saath Nibhaane lagi...

suuna hai dauyen bahut asar karti hai
tere aankhon mein ab mujhe apne tasveer nazar aane lagi...

chal kahi aur chale jahan sirf main aur tu ho
Tere Dil Ki Dhadkane mere Dil mein Samaane Lagi....

"Khwaish" Kehta Hai Woh baat Jo dil Se Nikli Ho!!!
mujhe apne saaye mein teri parchaai nazar aane Lagi

              ~~~~~Khwaish~~~~~
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010

View Profile
«Reply #7 on: October 02, 2010, 12:17:56 PM »
Reply with quote
waahhhhhhhhhhhhhhh khwaish ji kya mastammmmmmmmmmm reply diya hai aapne..
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
yun lag raha hai jaise sach me kisiki mahobbat me bezaar hokar likha hai aapne ye.....
waakai dilfareb kavite hai ye aapki ji.....
kuch iske jawab me likha hai humne..gaur farmaiye.......

Labon pe mere fir se muskaan sajne lagi
Tum aaye zindai me to mehfilein sajne lagi

Kuch kehte rahe tum kuch sunti rahi main
Bas inhi guftaguu me ye raatein katne lagi

Chaand ki bheegi roshni me ee humdum
Hamare pyaar ko nai nai udaane lagni lagi

Rokte rahe khudko tere kareeb aane se
Zindagi magar tere kareeb hume lane lagi

Tu salamat rahe hamesha yehi dua hai meri
Apni khushi se ab teri muskaan pyari lagne lagi

Hai dard bht dil me aur chubhte hain kaante bhi
*KasaK* pyaar ki par ye mithi bht lagne lagi…!!!

«Reply #8 on: October 02, 2010, 12:38:11 PM »
Reply with quote
tareef karun kya kapil tumhari poem ki  NaNaNa.....
ab bhi zarurat hai kya kuch kehne ki  NaNaNa...
dekho reply to de diya hai maine  NaNaNa......

Sath tera paake kuch aur nikhar gai hai
Meri zindagiko ab teri aadat si ho gai hai

Subah ki hoti hai shuruwat tere sath se
Raat me tujhe dekhne ki aadat si ho gai hai

Sochti rehti hun ghanton tere hi bare me
Ab tujhe sochte rehne ki aadat si ho gai hai

Na mile tu to lagti hai kuch kami si har jagah
Tere sath jeene ki mujhe chahut ho gai hai

Koi chhin na le tujhe mujhse kisi bhi tarah
Ab iss baat se darne ki aadat si ho gai hai

Tu hi meri khushi tu hi muskaan hai meri
Tujhe hothon pe sajane ki ab aadat si ho gai hai…!!!!

bahut bahut khoob likha hai aapne Kasak ji....!!!

 Applause Applause Applause Applause Applause

tumhaari baatein mere jeene ki wajah ban gayi hai,
tumhaari mohabbat hi ab meri zindagi ban gayi hai,

andhere jeewan me mere ab tumhaara saath hai,
tumhaara ehsaas jaise roshni si ban gayi hai,

socha na tha itni dur tak saath de paogi mera,
ab tumhaari jeet hi meri manzil ban gayi hai,

dekha kabhi ek khwaab tha ki tum ho meri baahon me,
us khwaab ke poora hone ki chaahat si ban gayi hai,

jaane kaisa dikhta hoon, jaane kaisa lagta hoon,
khud ko aaine me dekhne ki aadat si ban gayi hai,

subah se lekar shaam tak hoon tumhe main yaad karta,
ab tumhe chaahne ki hamaari ek chaahat si ban gayi hai...
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010

View Profile WWW
«Reply #9 on: October 02, 2010, 10:09:16 PM »
Reply with quote
hmmm... tarif maang to nahi raha hoon par kar doge to bura bhi nahi maanunga... aapne ek dum asli asli type ka likh diya hai ye to....

tum na milo to kuch kuch adhura sa lagta hai,
tumhaari ek jhalak pe sab poora sa lagta hai,

aadat hai tumhe apne baahon me sulaane ki,
tumhaare bina har khwaab adhura sa lagta hai,

subah tumhaare awaaz ke liye tadapta hoon main,
tum ek baar sweetu keh do to sukoon sa lagta hai,

jab se mehsoos ki hai tumhaare saanson ki mehek maine,
tumhe seene se na laga lu to kuch adhura sa lagta hai,

paana hai tumhe har haal me, har keemat me,
tumse hi ab har ehsaas poora sa lagta hai,

jab kehti ho tum "kyun pehle nahi mile tum mujhe pyaaru",
kaise bataun tumhe jo mila tha pehle wo adhura sa lagta hai...
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
«Reply #10 on: October 03, 2010, 08:40:58 AM »
Reply with quote
waahhhhhhhhhhhhhhh khwaish ji kya mastammmmmmmmmmm reply diya hai aapne..
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
yun lag raha hai jaise sach me kisiki mahobbat me bezaar hokar likha hai aapne ye.....
waakai dilfareb kavite hai ye aapki ji.....
kuch iske jawab me likha hai humne..gaur farmaiye.......

Labon pe mere fir se muskaan sajne lagi
Tum aaye zindai me to mehfilein sajne lagi

Kuch kehte rahe tum kuch sunti rahi main
Bas inhi guftaguu me ye raatein katne lagi

Chaand ki bheegi roshni me ee humdum
Hamare pyaar ko nai nai udaane lagni lagi

Rokte rahe khudko tere kareeb aane se
Zindagi magar tere kareeb hume lane lagi

Tu salamat rahe hamesha yehi dua hai meri
Apni khushi se ab teri muskaan pyari lagne lagi

Hai dard bht dil me aur chubhte hain kaante bhi
*KasaK* pyaar ki par ye mithi bht lagne lagi…!!!

Bahut bahut Aur Bahut Shukriya Anuji..Jo Aapne Iss Kadar Pasand Kiya..Aur kya Kahe,Aapko,aapka likhne ka andaaz bahut Hi alag aur Niraala hai..bahut hi saadgi se aapne itne khoobsurat lafzon mein Apne jazbaat pesh Kiye Hai..

Bahut Ache Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Kisi Ko Apna Keh Dena Mere Liye Itna Asaan Nahi Tha
Sach To Yeh Hai Ke Dil mein Pehle Aisa Koi Armaan Nahi Tha

Kissi Ko Jaane-Pehchaane mein Umare Lag jaati Hai Par Ab Mehsoos Hua Kuch Yuh!!
Jisne Dil Mein Ghar bana liya Hai Woh Pal Do Pal ka Mehmaan Nahi Tha

Ishq Ek Aisa Jazba Hai Jo Zindagi ko Naye Rang Deta Hai
Main Aaj Bahut Khush Hoon!!! Iss baat Par Main Ab Hairaan Nahi tha...

Honge Aise Kayi Deewane Jo Ishq Ka Matlab Bhi Nahi Jaante!!!!
Mere Liye Ishq Kabhi Pal Do Pal Ka Araam Nahi Tha....

"Khwaish" Kehta Hai Tu Jahan Bhi Rahe Bas Khush Rahe!!!!
Tery yaadein jab Saath Hoti hai Tab "Khwaish" Veeraniyon Mein Bhi veeran Nahi Tha

                       ~~~~~Khwaish~~~~~
Logged
Dharam2619
Guest
«Reply #11 on: April 26, 2011, 11:08:49 AM »
Reply with quote
khushboo ki tarah paas bikhar jayenge.  Clapping Smiley
   shukun bankar dil me utar jayenge.  Clapping Smiley
jara mahshoosh karne ki koshish karna.   Clapping Smiley
   door hote huye bhi paas nikhar jayenge.  Clapping Smiley
                  
                     tearyeyed
Logged
dharam2619
Guest
«Reply #12 on: April 26, 2011, 11:22:11 AM »
Reply with quote
Nikle the shair karne dil me bade armaan the.  love9
ek taraf thi jhopadiya ek taraf shamsahn the.  sunny
pada pair haddi par jab to haddi ke bayaan the.  love9
ye musafir sambhalkar chal hambhi kabhi inshan the.  sunny
                     
                        icon_flower
Logged
sahista
Guest
«Reply #13 on: January 19, 2012, 01:01:38 PM »
Reply with quote
 sunny sunny
Logged
Chopta
Guest
«Reply #14 on: July 19, 2013, 08:00:56 PM »
Reply with quote
<>*Khamosh raaton ki khamoshi*<>
 
Khamosh raaton ki khamoshi, Dil ko jalane lagi
Aaj na jane kyun tumhari, Itni yaad aane lagi

Dil ne dhadakna kum kiya, Aur tumko yaad jyada kiya
Meri angdaiyon mein teri tadap, Saaf nazar aane lagi

Kuch mehsus kiya maine, Anjana sa inn hawaon mein
Kuch tere badan ki khushbu Ki bheeni mehak aane lagi

Taaron ne bhi apni Roshni badha di aur achanak
Andheri raat mein teri gali, Aasaan nazar aane lagi

Tere ghar ka raasta Mushkil to hai bahot
Par mujhe ab apni manzil, Saaf nazar aane lagi

Pana hai tujhe har haal, Har keemat par sanam
Ab meri koshish mujhe, Tere aur kareeb lane lagi

Aaj ya kal main ho jaungi teri Ye janti hun main
Jaan ab to zindagi tum bin, Bemaani nazar aane lagi !!!!!
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 27, 2025, 07:47:52 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.108 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer