Khamoshi Hi Meri Kahani Hai

by majid on June 11, 2009, 12:44:21 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 7431 times)
majid
Guest
Reply with quote
    Muntazir  Aankhon  Mein , Do  Bund  Paani Hai
    Bas  Yahi  To  Ik  Mere  Pyaar  Ki , Nishaani Hai.

    Aksar Bheego Jaati  Hain  Shabnam Ki Bundein
    Phir  Bhi  Lagta  Yun  Ki  Pyaasi  ,  Jawaani  Hai.

    Shayad  Yeh  Taza   Taza  Judaai  Ka  Asar  Hai
    Ab Tak  Mere Sang  Uski Yaadein , Suhaani Hai.

    Sab  Kehte   Hai  Bichad  Gaya   Heer  Se  Ranja
    Kyu Na Aur Kuch Likhe Yeh Baat Ab Purani Hai.

    Kya  Khoob  Sajhti  Thi  Mehfilen Kabhi Shihab
    Abto Lagta Bas  Khamoshi Hi Meri Kahaani Hai.

                
                         {Shihab}
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
khamoshi meri ko by HumTum in Miscellaneous Shayri
Meri khamoshi hi mere by diya_diggaz in Shayri for Khumar -e- Ishq
Meri Khamoshi Ya Meri bebasi..... by punam in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Meri Khamoshi padhne ka hunar....Anahita by Anahita in Shayri for Khumar -e- Ishq
meri khamoshi,,,,, saahill by saahill in Shayri for Khumar -e- Ishq
Talat
Guest
«Reply #1 on: June 11, 2009, 12:47:33 PM »
Reply with quote
Applause Applause Applause

Bohot Khoob Majid
Logged
Roja
Guest
«Reply #2 on: June 11, 2009, 12:51:07 PM »
Reply with quote
   Muntazir Aankhon Mein Do Bund Paani Hai
    Bas Yahi To Ik Mere Pyaar Ki Nishaani Hai.

    Aksar Bheego Jaati Hai Shabnam Ki Bunde
    Phir Bhi Yun Lagta Hai Ki Pyasi Jawani Hai.

    Shayad Ye Taza Taza Judaai Ka Asar Hai
    Ab Tak Mere Sang Uski Yaadein Suhaani Hai.

    Sab Kehte Hai Bichad Gaya Heer Se Ranja
    Kyu Na Aur Kuch Likhe Ye Baat Ab Purani Hai.

    Kya Khoob Sajhti Thi Mehfilen Kabhi Shihab
    Abto Lagta Bas  Khamoshi Hi Meri Kahaani Hai.


                   {Shihab}


Wah wah bahut khoob Majid brother  Applause
Logged
SARVESH RASTOGI
Guest
«Reply #3 on: June 11, 2009, 05:28:02 PM »
Reply with quote
Bahut khoob Shihab Ji
Matla bada khubsurat hai, wah wah
Isi per do mashhoor lines yaad aa gain

KAGA SAB TAN KHAIYO CHUN CHUN KHAIYO MAAS
DO NAINA MAT KHAIYO MOHE PIYA MILAN KI AAS

SARVESH RASTOGI
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #4 on: June 11, 2009, 09:54:22 PM »
Reply with quote
Wah wah Shihab ji,kamaal ka likha aapne,very nice and touching. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
shab
Guest
«Reply #5 on: June 11, 2009, 10:03:47 PM »
Reply with quote
MUNTAZIR ANKHO ME DO BUNDH PANI HAI
BAS YAHI TO EK MERE PYAR KI NISHANI HAI,
WAAH ! WAAH ! SHIHAB JI,KYA KHOOOOOOB LIKHA HAI AAPNE
Logged
anithamurugan
Guest
«Reply #6 on: June 12, 2009, 06:30:34 AM »
Reply with quote
Aapki shayari dil choo gayi
Badhiya Hai Shihabji Clapping Smiley
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #7 on: June 15, 2009, 07:18:53 AM »
Reply with quote
dil ko chune wali lines likhi h aapne Sahib ji.......bahut khuuuub Applause Applause
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #8 on: June 15, 2009, 09:38:32 AM »
Reply with quote
Zahe Naseeb Ke Aapke Dil Ko Chhu Saki
Humaari Ye Chhiti Si Koshish Pooja Ji.
Bohat Bohat Shukariya Ki Aapne Apna
Waqt Diya Aapka Tahe Dil Se Mashqoor Hoon
Par Agar Aap Do Shabd Likh Dete To Hume Bhi
Kuch Sikhne Ko Mil Jaata Ji..!
Sikhti to mai aap sabse hu Shihab ji.....ek choti si koshish ki h aapki poetry k jwab me khuch likhne ki....btaiyenga jarur koshish kaisi lagi

Uski yaadon se teri har shaam suhani h
Uski baaton se pheli har jagah rawani h

Judai k bina mohabbat adhuri h
Sukh-dukh me jaise ye zindgani h

Aankho ka paani sukh jayenga ek din
Kyu samajhta tu ise apne pyar ki nishani h

Gar h ummid tujhe uske laut aane ki
Phr kyu kehta khamoshi ko apni kahani h
Logged
shab
Guest
«Reply #9 on: June 15, 2009, 11:02:08 AM »
Reply with quote
 BAHUT KHOOB MASHA AALLAH
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #10 on: June 18, 2009, 10:39:59 AM »
Reply with quote
Wallah Kya Khoob Shayrana Andaaz Hai Aapka
Kya Khoob Shabdon Ko Peeroya Hai Ji
Humarai Har Baat Ko Dhyan Mein Rakhkar Hi
Aapne Saari Baaten Likhi Hai Bohat Hi Khoob Ji
Bohat Umda Rep Kiya Hai Aapne,
Ab Bhala Hum Kya Likhe Iske Aage?
Khair Koshish Karta Hun Ji Glti Maaf Ho..

Aur Haan Aaka Tahe Dil Se Mshqoor Hoon
Ki Aapne Mujh Garib Ki Baat Par Roshni Dali
Bohat Bohat Shukariya Ji.....


Zinagi Hai Chhoti Si Aur Badi Kahaani Hai
Kya Kahun Kis Qadar Uljhi Yeh Jawaani Hai.

Pal Do Pal Ko Main Dard Ko Bhool Bhi Jaata
Magar Kya Karun Isse Pahchan Bdi Purani Hai.

Wahi To Rehta Hai Mujhme Har Waqt Ko Shihab
Kaise Kahun Ki Usse Mera Rishta Ruhaani Hai.

Kehte Hai Sukh Jayega Ek Din Ankhon Ka Pani
Woh Kya Jaane Yeh Lehar Bhi To Deewaani Hai.

Kuan Hai Yahan Dilbar Kuan Samajhta Hai Humko
Ba Isiliye Maine Khamosh Rehne Ki Hi Thani Hai.


maine is tarah se jwab me poetry likhna yhi se sikha h Shihab ji.......lkn aapke kya kehne.......bahut hi pyara jwab likha h aapne...ya yu kahu mere har swal ka jwab diya h aapne........bahut pyara
           Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #11 on: June 18, 2009, 06:18:58 PM »
Reply with quote
Bahut Bahut Koob Majid Bhai..Dard se Bhari nazm Likhi hai Aapne..har Ek lafz Bahut Kuch kehta tha.. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Pooja,Sach Mein majid Ki Har Ek baat Ka Bakhoobi Jawaab..

Bahut Bahut Bahut Khooob Dost!! Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Umeed Karta Hoon ke yeh Karwaan Rukhe Naa..Aap Dono ne Lajawab Likha hai.. Thumbs UP
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #12 on: June 19, 2009, 12:14:47 PM »
Reply with quote
hmhm Baatein Achhi Kar Leti Hi Aap...
Ji Mere Baare Mein Kuch Na Kahe To Hi Achha Hai
Ye To Aap Sab Doston Ki Muhabbat Hai Jo Meri Itni
Tareef Kar Dete Hai Warna Mein Is Kabil Kahan...
Aur Waise Bhi Hum To Abhi Likhna Sikh Rahe Hai
Kyun Ki Abhi Bhi Bohat Galtiyna Karte Hai
Aapki Tarah Sikhe Hue Nahi Hai hmmh...
Bas Aapke Pichhe Pichhe Thoda Bahut Likh Lete Hain
Aur Aapki Nazar Ki Bhi Dad Deta Hun Ji Kya Khoob
Nazar Paayi Hai Aapne Apko AchhiKhasi Samajh Hai

Khair Ji Aapka Tahe Dil Se Mashqoor Hoon Mein
Ki Aapne Apna Kimti Waqt Diya Aur Meri Baaton pe
Roshni Daali Bahut Bahut Shukariya Ji...Khush Raho.


Ye Unke Liye Jo Hume Shayar Samjhte Hai....

Naa Main Koi Meer Naa Gaalib Aur Nahi Zafar Hoon
Main To Bas Dil Ki Baat Likhne Wala Ik Basar Hoon.

Dil ki baat ko dena rup lafjon ka ,nahi h aasan
         Ye bhi ek hunar h jo aapme smaya h.....

Logged
dead heart
Guest
«Reply #13 on: June 19, 2009, 09:24:57 PM »
Reply with quote
Applause Applause Bahaut khoob Majid bhaijan aur Pooja di
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #14 on: June 20, 2009, 11:08:21 AM »
Reply with quote
Applause Applause Bahaut khoob Majid bhaijan aur Pooja di
bahut bahut shukriya Rahim ji
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 02:32:42 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.103 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer