khushiyon ka bazar

by Naya_Daur on August 03, 2006, 03:07:23 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 2684 times)
Naya_Daur
Guest
Reply with quote
Hum kya kare kahan jayein
apni dil ki is taradp ko kaha chupayein
rehta hai betab jis pal k liye yeh dil
woh pal hi agar daga de jaye
koi humari siskian bi kash sun pata
is dard e dil ka hal jaan pata
is gumsum si zindagi mein
hum khushiyon ka bazar kahan payein...
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
KHUSHIYON KI UMRA by jochahohojayein in Shayri-E-Dard
Sapnon ka meena bazar...mann by mann.mann in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Mujhko ruswa sar-e-bazar na karwaya kare by jazbaat in Share: Poetry of Pain
aamad-e-KHat se hua hai sard jo bazar-e-dost by Sujan Azad Parikh in Ghazals
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #1 on: August 03, 2006, 03:19:04 AM »
Reply with quote
Bahoot Khoob Bhai,..
Logged
Naya_Daur
Guest
«Reply #2 on: October 27, 2006, 08:13:09 PM »
Reply with quote
Heartiest thanks Jsh33n bhai.
Logged
Naya_Daur
Guest
«Reply #3 on: October 30, 2006, 04:35:58 AM »
Reply with quote
meri ujaDi hui neendon ke shabistaanoN mein
tu kisi Khawaab ke paikar ki tarah aayi hai
kabhi apani si kabhi Gair nazar aati hai mujhe
kabhi iKhalaas ki muurat kabhi harajaai hai ...!!! nm

**[shabistaan=a place of dreams paikar=body/form]


Thanks Gum Sahaab...
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #4 on: October 30, 2006, 02:31:59 PM »
Reply with quote
Shukriya Bhaijaan,..

Nice One Again,..
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #5 on: October 30, 2006, 02:34:13 PM »
Reply with quote
Ghamon Se Mujhe Bachaa Na Saka Koi,..
Har Koi Aata Raha Kareeb Mere Ek Naya gham Lekar,..

________________________________________-Jaanasheen-
Logged
Naya_Daur
Guest
«Reply #6 on: October 31, 2006, 11:01:30 AM »
Reply with quote
Zindagi ne tanha kiya na mujhe
Teri yaadein cheen saka na koi
Gum nahi churda hath chale gaye tum
EK hi tera hi shara toh akhiri nahi ...
Logged
ranjana
Guest
«Reply #7 on: October 31, 2006, 11:08:57 AM »
Reply with quote
us ko dur na karo meri nazaro se
uska vajood kahi mujh mein zinda hai
woh nahi toh uska kisaa toh  ho saath mere
yeh zindagi ka safar ab kuch yun taye karna hai!
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #8 on: October 31, 2006, 01:20:44 PM »
Reply with quote
Nice One Jeet Ji And Ranjan Sis,..
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #9 on: November 02, 2006, 06:24:05 AM »
Reply with quote
  very nice jeet

vo ik tera gham aur sari zindagi
kahan kat si gai main bekhabar thi
chali thi kab kahan pahuchi main jaake
main sare raste hi bekhbar thi
ye tera gam hai ya koi nasha hai
kabhi bedaar main hone na paai
main kab soi aur jaagi
kabhi isko nahi main jaan paai
chali hun us nashe main jhoomati si
ki mujhko khud na apni hi khabar hai
kabhi kah jaaun tumko kuchh galat jo
mujhe tum maaf kardena ki main to
yuhin bas ji rahi hun yaad me ik
ki mujhse ladke tumko kya hai milna
ki main to barson pahle mar chuki hun
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #10 on: November 04, 2006, 02:05:45 PM »
Reply with quote
Nice One Again Tabassum Didi,..
Logged
angel4u
Guest
«Reply #11 on: November 13, 2006, 08:16:28 PM »
Reply with quote

Kitna Aasan Mohabbat Mein Hai Dhoka Karna,
Warna Ye Ishq Faqat Sar Ka Hai Sauda Karna,

Kisko Aata Hai Bhala E'hd-E-Wafa Karna,
Warna Aata Hai Yahan Sabko Hi Dawa Karna,

TuMne Sikhi Hai Kahan Zikr Ye Be-Jaa Karna,
Baaton Baaton Mein Kisi Baat Pe Uljha Karna,

Apne Kehne Ka BharaM Rakh Na Sakoge TuM Bhi,
Phir Kahoge Kabhi Aisa, Kabhi Waisa Karna,

TuM Na Maanoge Kabhi Apni Khatayein Lekin,
Kabhi Fursat Mein Meri Baat Pe Socha Karna,

Jo Hua Mujhpe Ganwara Hai Mujhi Ko Lekin,
Phir Naa Is Tarah Kisi Aur Ko Ruswa Karna,

Chand LaMhon Mein Bikhar Jaat Hai Dilki Duniya,
UMr Lagti Hai Use Jod Ke Yak-Jaa Karna,

Ye Bhi Neki Hai Agar Jaan Lo Sab Se Badh Kar,
Dost DushMan Ke Kisse E'yb Ka Pardaa Karna,

Kaun Sikhlayega Hoti Hai Bhalayi Kaise?
Hai Bura KaaM, Burayi Ka Bhi Charcha Karna,

TuM Na Reh Paoge Insaano Ke Jangal Mein Agar,
Phir Kahin Door Pahadon Pe Basera Karna,

TuM Chale Jao, Palat Kar Nahi Dekhein TuMko,
Shart Ye Ke Khayalon Se Na Guzra Karna,

Doob Jaoge To Saahil Bhi Nai Paaoge Kahin,
Meri Aankhon Ke SaMudnar Mein Na Utra Karna,

Ashq Behte Hai To Behne Do Khuda Ke Aage,
Hoon NadaMat Ke, To Sehra Ko Bhi Daryaa Karna,

Thak Gayi Chalte Hue Baad-E-Mukalif
Rukh Hawaon Ka Idhar Bhi Kabhi Moda Karna...
* * * * * [NM]
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #12 on: November 16, 2006, 10:33:59 AM »
Reply with quote
Bahoot Acchi Gazal hai,..
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #13 on: November 16, 2006, 10:42:23 AM »
Reply with quote
Judaai Bhi Mujhe Ab Acchi Lagne Lagi,..
Jab Khabar Mili Hume,
Ke Wo Betaab Hain Humse Milne Ke Liye,.

_____________________________-jaanasheen-
Logged
vikas2210
Guest
«Reply #14 on: November 21, 2006, 05:56:22 AM »
Reply with quote
VERY NICE ALL....

BAHUT HI ACCHA HAI....


Kush rehne ki dau na do doston
ke aankhe ab nam nahi hoti meri
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 08:28:06 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.135 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer