kiase bhool sakta hooN

by ahmad_rd on January 25, 2006, 07:24:57 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1718 times)
ahmad_rd
Guest
Reply with quote
thithrtey hooey lamhaat maiN
teri garm aaghosh ko
maiN kiase bhool sakta hooN
jub too ne chooma tha jazbat maiN
mere lab-e-khamosh ko
tere hi jism ki garmi ne
mujhe bukhsha wajood
tere hi hontoN ke lams ne
mujhe bukhsha sarood
maiN kaise bhool sakta hooN
woh apna pehla qadam
keh jis ke zameeN tha tera shikam
maiN kaise bhool sakta hoon
woh apna pahla zakham
tera ghumzadah hoker rakhna marham
mera rona aur tera lori kehna
mera sona aur tera jagte rahna
ajub hai aaj bin lori kahe
khud hi so gaee
ye kia hoowa kahan kho gaee
jaago ,jaago na maaN
mujhe sona hai maaN
aaj barri khamshi hai
aur maiN tanha
aaj barri sardi hai maaN
zameeN maiN barri sakhti hai
aur maiN aablapa
jaago na maaN
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Bewafa tujhe nahi bhool sakta.... by sumit4all in Shayri-E-Dard
bhool gaya hoon... by SINGROHA in Shayri for Khumar -e- Ishq
Bhool Jata Hoon... by Qutubuddin in Share:Love Poetry
----- /// Kisi ke hothon ki muskaan ban sakta hoon /// ----- by ~Hriday~ in Shairi - E - Zindagi « 1 2 3 4 »
jinko me bhool nahi sakta...!!!!!! by awais_007 in Share:Miscellaneous Shayari
nawabian
Guest
«Reply #1 on: January 26, 2006, 09:34:44 AM »
Reply with quote
nice..............
Logged
Naila
Guest
«Reply #2 on: January 26, 2006, 10:55:54 AM »
Reply with quote
Salaam, ahmad_rd
                              bohet accha likha hai.num ankhon ke saath dovago hoo Allah Mian Sab K Waliden Ko Apni Hifz-o-aman Main Rakhe (aameen)
Maan Khuda Ka Dia Hua Atia Hai Use Hamesha Un K Bachon K Saath Rakhna Aur Sab Bachon K Saron Per Us K Waliden Ka Saya Rakhna ....(aameen)
<(_!_)! Haafiz.
Logged
ahmad_rd
Guest
«Reply #3 on: January 26, 2006, 11:11:04 AM »
Reply with quote
Quote from: "nawabian"
nice..............



thanks
Logged
ahmad_rd
Guest
«Reply #4 on: January 26, 2006, 11:16:12 AM »
Reply with quote
Quote from: "Naila"
Salaam, ahmad_rd
                              bohet accha likha hai.num ankhon ke saath dovago hoo Allah Mian Sab K Waliden Ko Apni Hifz-o-aman Main Rakhe (aameen)
Maan Khuda Ka Dia Hua Atia Hai Use Hamesha Un K Bachon K Saath Rakhna Aur Sab Bachon K Saron Per Us K Waliden Ka Saya Rakhna ....(aameen)
<(_!_)! Haafiz.


w/slaam,
                  shukria
Logged
ahmad_rd
Guest
«Reply #5 on: February 17, 2006, 03:08:44 PM »
Reply with quote
Fikr Main Bachoon Ki Kuch Is Terha Ghul Jati Hai Maa
Nojawaan Hotay Huwe Budhe Nazar Aati Hai Maa

Rooh Kai Rishtay Ki Yeah Gehrayean To Daikheye
Chaut Lagti Hai Humaray Aur Chillati Hai Maa

Kab Zarurat Ho Merai Bachay Ku Itna Sooch Kar
Jaagti Rehti Hain Aankhain Aur Soo Jati Hai Maa

Hudiyoon Ka Ras Pila kar Apnay Dil Kai Chain Ku
Kitnee Hi Ratoon Mai Khali Pait Soo Jati Hai Maa

Janai Kitne Barf Si Ratoon Mai Aysa Bhi Hua
Bacha To Chaati Pai Hai Gelay Main Soo Jati hai Maa

Jab Khilonai Ku Machalta Hai Koie Ghurbat Ka Phool
Aansoon Kai Saaz Par Bachay Ku Bhailati Hai Maa

Fiker Kai Shamshaan Mai Aakhir Chitaoon Ki Terha
Jaisai Sookhi Lakreyaan, Is Terha Jal Jati Hai Maa

Apnay Aanchal Sai Gulabi Aansuoon Ku Poonch Kar
Dair Tak Gurbat Pai Apne Ashk Barsati Hai Maa

Samnai Bachoon Kai Kush Rahti Hai Her Ik Haal Main
Raat Ku Chup Chup Kai Lakin Ashk Bersati Hai Maa

Mout Ki Aaghosh Main Jab Thak Kai Soo Jati Hai Maa
Tab Kaheen Ja Kar Sukoon Thora Sa Pa Jati Hai Maa
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 10:12:52 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.095 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer