Kis qadar haseen they woh

by Anique on March 19, 2008, 06:17:48 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 1432 times)
Anique
Guest
Reply with quote
Kis qadar haseen they woh

Khwaab jo mein ne sajaye they

Kaise bhula doon asaani se

Pal jo terey saath bitaye they?



Kaise keh dun bhula diya tujh ko,

Jab maujud har saans mein ho tum?

Kaise kehdun zarurat nahi teri,

Jab zindagi ki pyaas mein ho tum?



Kaise bhula doon teri batein

Jhuti qasmein, tutey waadey?

Kaise badal doon ek pal mein

Apne pukhtaa iraadey?



Kaise tumhari us muskaan ko

Ek pal mein faramsoh kardun

Kaise in bolti hui yadon ko

Ek dum sey khamosh kardun



Manna ke tum ne hum se

Kabhi dil nahi lagaya

Kabhi hum ko apna maana

Kabhi keh diya paraya



Saza toh yeh hai meri

Tujhey apna jo banaya

Khushboo key peechey jaa k

Har rang hai ganwaya!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Tanha hai is qadar.... by Saba_Saba in Shayri for Dard -e- Judai « 1 2 ... 5 6 »
Tanha hai is qadar.... by Saba_Saba in Critics and Review only Forum
Qadar by Manreet B in Share: Poetry of Pain
!! Husn Ki Qadar Kiya Karo !! by Matrix Guy in Ghazals « 1 2  All »
IS QADAR B KYA KHUD KO TDPANA ANSHU....K@HIN@@R by Kohinoor in Shayri-E-Dard
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #1 on: March 21, 2008, 11:52:32 AM »
Reply with quote
Nice One Anique,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #2 on: March 21, 2008, 11:59:46 AM »
Reply with quote
Bahoot Haseen The Wo Lekin Unme Mohabbat Ki Kami Thi,.
Lootaa Har Ek Ko Usne, Masumiyat Phir Bhi Chehre Pe Jami Thi,.

Kya Kahein "Azeem" Kaise Sitam Khaaye Humne,.
Dil Mein Laakhon Zakham The, Phir Bhi Labon Par Hasi Thi,.

_____________________________________-Jaanasheen-



Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #3 on: March 21, 2008, 12:14:53 PM »
Reply with quote
Bahoot Haseen The Wo Lekin Unme Mohabbat Ki Kami Thi,.
Lootaa Har Ek Ko Usne, Masumiyat Phir Bhi Chehre Pe Jami Thi,.

Kya Kahein "Azeem" Kaise Sitam Khaaye Humne,.
Dil Mein Laakhon Zakham The, Phir Bhi Labon Par Hasi Thi,.

_____________________________________-Jaanasheen-





Bahut Khooob Azeem Bro... Applause
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #4 on: March 21, 2008, 12:21:23 PM »
Reply with quote
Shukriya Khawish Ji,.
Waise Aap Ne Kyun Nahi Likha,.
Waiting For U,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #5 on: March 21, 2008, 12:24:14 PM »
Reply with quote
Haseeno Ne Apni Adaaon Se Har Ek Ko Loota Hai,.
Kaun Abtak Is Jahaan Mein Inke Shikanje Se Choota Hai,.

Khair Hai Ke Hume Mohabbat Nahi Kisi Se,.
Kyun Ki Pehle Se Hi Doston "Azeem" Ka Dil Toota Hai,.

______________________________________-Jaanasheen-
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #6 on: March 21, 2008, 12:45:40 PM »
Reply with quote
Bahoot Haseen The Wo Lekin Unme Mohabbat Ki Kami Thi,.
Lootaa Har Ek Ko Usne, Masumiyat Phir Bhi Chehre Pe Jami Thi,.

Kya Kahein "Azeem" Kaise Sitam Khaaye Humne,.
Dil Mein Laakhon Zakham The, Phir Bhi Labon Par Hasi Thi,.

_____________________________________-Jaanasheen-





Bahut Khooob Azeem Bro... Applause
[/color][/b]


BAHUT HASEEN THE WOH LEKIN UNME MOHABBAT KI KAMI THI
CHAL PADE THE HUM UNKE PEECHE PAR DEKHA,
APNE PAIRON KE NEECHE NA KOI ZAMEEN THI...

JHOOTI MUSKAAN CHEHRE PE LIYE AA TO GAYE,
USKI MEHFIL MEIN PAR AANKHON MEIN NAMI THI...

UNSE JUDA HOKAR YEH EHSAAS HUA HAI HUME,
KE CHAL TO PADE HAI HUM APNI ALAG RAAH PE PAR
WOH JUDAI KA PAL AANKHON MEIN AAJ BHI QAID HAI
BAS YUH SAMAJLO "KHWAISH" KI NAZREIN USSI MANZAR PE THAMI THI....
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #7 on: March 21, 2008, 12:57:46 PM »
Reply with quote
Bahoot Khoob Khwaish Ji,.
Kamaal Ki Liknes Hain Ek Ek Bhi,.
Too Good,. Applause
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #8 on: March 21, 2008, 01:02:34 PM »
Reply with quote
Jaane Kyun ye Dil Haseeno Par Aaa Jaata Hai,.
Chahkar Inhe Kyun Khud Par Sitam Ye Dhaata Hai,.

Inhe To Adat Hai Bas Apnaa Banaakar Chord Jaane Ki,.
Khud Zakham Lete Hai Ye, Aur Khud Hi Aansoon Bahaata Hai,.

Seekha Hai Humne Ye Sabakh, Dil Lagaa Kar Haseeno Se,.
Aashiqon Ki Bebasi Dekhkar "Azeem" Inhe Chain Aata Hai,.

_______________________________________-Jaanasheen- sad11
Logged
Anique
Guest
«Reply #9 on: March 21, 2008, 01:29:52 PM »
Reply with quote
wow amazing no competition with u guyz sad5
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #10 on: March 21, 2008, 01:37:55 PM »
Reply with quote
Thank U Anique,.
Try To Give Two Lines,
Who Knows What Comes From Ur Heart,.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #11 on: March 25, 2008, 07:13:37 PM »
Reply with quote
bahoot khoob lil bro, Anique and khwaish ji!!
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #12 on: March 26, 2008, 03:35:48 AM »
Reply with quote
Jaanasheen ji kya keh raheiN aap :D...bade hi Dil kuber hue ja rahe haiN....bahoot hi haseen tehreer Likhi hai dost....bahut khoob 'jaanasheen' sahab...achchhii kaavish hai aapki....maziid kalaam ka bhii intezaar rahegaa..... merii jaanib se dher saarii mubaarak_baad haazir hai....Harash


Jaane Kyun ye Dil Haseeno Par Aaa Jaata Hai,.
Chahkar Inhe Kyun Khud Par Sitam Ye Dhaata Hai,.

Inhe To Adat Hai Bas Apnaa Banaakar Chord Jaane Ki,.
Khud Zakham Lete Hai Ye, Aur Khud Hi Aansoon Bahaata Hai,.

Seekha Hai Humne Ye Sabakh, Dil Lagaa Kar Haseeno Se,.
Aashiqon Ki Bebasi Dekhkar "Azeem" Inhe Chain Aata Hai,.

_______________________________________-Jaanasheen- sad11
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #13 on: March 29, 2008, 04:28:08 PM »
Reply with quote
Shukriya Harash Mahajan Ji,.
Waise Apne Kuch Zyada Hi keh Diya Hamare Liye,.
Thank U,.
And Thank U notworthy Pooja Didi,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #14 on: March 29, 2008, 04:32:01 PM »
Reply with quote
Jo Dekhe Chehra Unka Jo Mere Aankhon Mein Hai
Wo Sab Haseen Chehron Ko Bhoola De,..

Agar Wo Thoonk Dein Samader Mein,..
Namkeen Paani Ko Bhi Meetha Banaa De,..

Aisa Hai Unka Husn Main Kya Bataaon Tumhe,..
Unki Awaaz Se Kabar Pe Sone Walon Ko Bhi Jagaa De,..

Taareefein To Bahoot Niklengi Unki Shaan Mein,..
Unka Geet Sunakar Kisi Rote Ko Bhi Hasaa De,..

Aisi Hai Meri Mehbooba Jise Sab Hoor Kehte Hain,..
Jab Hum Katal Honge Unke Haathon Se,..
Duniya Kahegi Ke Uske Saath Hume Bhi Mitaa De,..

Aisi Hai Meri Mehbooba Jiski Tareef Farishte Bhi Karte Hain,..
Jiska Chehra Dekhte Hi sab Apne Gham Bhoola De,..

_________________-Azeem-________________
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 26, 2024, 08:18:03 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.128 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer