KISI BHI DARD KO HAD SY GUZARNY NAHI DYTA...

by SADIQA JAWED on October 31, 2004, 05:40:22 PM
Pages: 1 [2] 3 4
ReplyPrint
Author  (Read 4744 times)
lovebites
Guest
«Reply #15 on: November 30, 2004, 08:59:19 AM »
Reply with quote
Quote from: "SADIQA JAWED"
thnkx lovebites...!!!


Ab Ye Socha Hai K........"
Ye Gum Vi To Muj Ko He Laga Rehta Hai
Tu Jo Milta Hai To Bichar Jaata Hai
Ab Ye Socha Hai K......
Nhee Milna Tuj Se,
Tu Jo Milta Hai To Bicharr Jaata Hai..
Tu Nhee Milta To Mei
Sabbr Mei Rehta Hoon
A you r r.........!!!
Jab Milta Hai To..
Be-chainiyaan Aur Vi Berrh Jaati Hain.
Kiun K....
Tu Jo Milta Hai To Bicharr Jaata Hai.
Mei Teri Tasveer Pehlay...
Ankhoon Mei Utaaroon Ga.
Fir Dil K Khaanay Mei
Mujassam Ker Loon Ga..
Aur Issi Se Tanhaai Mei
Banaa K Moorat Teri
Guftugoo Ker Loon Ga.
M A G A R................
Ab Ye Socha Hai K........
Nhee Milna Tuj Se,
Tu Jo Milta Hai To Bicharr Jaata Hai...
Mei Apnay He Khiyaaloon Mei..
Khoaboon K Ujaaloon Mei..
Ik Nagger Aabaad Rakhoon Ga.
Mei Tuj Ko Yaad Rakhoon Ga.
Tu Muj Ko Bhool Jaye Ga.
Muj Se Pehlay.........
M A G A R.................!!!!
Mei Tuj Ko Tere Baad Rakhoon Ga.
Mei Tuj Ko Yaad Rakhoon Ga.

M A G A R .......!!!
Ab Ye Socha Hai K
Nhee Milna Tuj Se
Tu Jo Milta Hai To Bicharr Jata Hai.
Ab Ye Dekhna Hai K
Mei Kidher Jaata Hoon.
Aur . . . . . . . .
Tu Kidher Jaata Hai?Huh?Huh??
M A G A R .......!!!
A b Y e S o c h a H a i K
N h e e M i l n a T you j S e
T you J o M i l ta H a i T o B i c h a r r J a a t a H a i


thanks and what a collection u have nice work done
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Gila nahi kisi se.... by a_simple_boy_4u in Shayeri for Dard -e- Bewafai
tu nahi dard nahi by fayaz deshi in Shayri for Khumar -e- Ishq
Dhoondte nahi hum kisi Ko by Just Me in Miscellaneous Shayri
Mera Dard Kisi Se Chupta Kyun Nahi,. by Azeem Azaad in Shayri-E-Dard « 1 2 3  All »
Koi kisi ka dard yahan samajh nahi pata by Equbal in Hindi Poets
SADIQA JAWED
Guest
«Reply #16 on: November 30, 2004, 09:10:54 AM »
Reply with quote
THNK U LOVEBITES....!!!
YH COLLECTION KAFI MEHNAT KA NATIJA HAI Usual Smile
MAIN LIBRARIES JATI HI SIRF IS LIYH HON K POETS KO READ KAR SAKOON Usual Smile

"Yehi Wafaa ka silaah hai, to koi baat nahi
Yeh dard tum ne diya hai, to koi baat nahi
Yehi bohot hai ke tum dekhte ho sahil se
Safeena doob raha hai, to koi baat nahi
Rakha tha aashiyana-e-dil main choopa ke tumko
Woh ghar tumne chor diya hai to koi baat nahi
Tum hi ne aayena-e-dil mera banaya tha
Tum hi ne tor diya hai to koi baat nahi
Kise majaal kahe koi mujh ko deewana
Agar yeh tumne kaha hai to koi baat nahi
Logged
sharmaarunkumar
Guest
«Reply #17 on: November 30, 2004, 11:27:27 AM »
Reply with quote
Very Nice!!! Sadiqa ji!! Keep it On!!
Logged
SADIQA JAWED
Guest
«Reply #18 on: November 30, 2004, 01:13:02 PM »
Reply with quote
YAH THNKX.... glasses2
Logged
Talat
Guest
«Reply #19 on: November 30, 2004, 02:11:52 PM »
Reply with quote
Wow!! Very nice collection sadiqa happy9
Logged
Pooja
Guest
«Reply #20 on: November 30, 2004, 07:50:23 PM »
Reply with quote
Wah ! wah! Wah! Wah! Bahut khoob!! AKS JI, Nishita and Sadiqa ji!!!!! Bahoot khoob!!!
Logged
sharmaarunkumar
Guest
«Reply #21 on: November 30, 2004, 07:53:32 PM »
Reply with quote
Thanx Ji Pooja ji!!
Logged
lovebites
Guest
«Reply #22 on: December 01, 2004, 04:31:08 AM »
Reply with quote
Quote from: "SADIQA JAWED"
THNK you LOVEBITES....!!!
YH COLLECTION KAFI MEHNAT KA NATIJA HAI Usual Smile
MAIN LIBRARIES JATI HI SIRF IS LIYH HON K POETS KO READ KAR SAKOON Usual Smile

"Yehi Wafaa ka silaah hai, to koi baat nahi
Yeh dard tum ne diya hai, to koi baat nahi
Yehi bohot hai ke tum dekhte ho sahil se
Safeena doob raha hai, to koi baat nahi
Rakha tha aashiyana-e-dil main choopa ke tumko
Woh ghar tumne chor diya hai to koi baat nahi
Tum hi ne aayena-e-dil mera banaya tha
Tum hi ne tor diya hai to koi baat nahi
Kise majaal kahe koi mujh ko deewana
Agar yeh tumne kaha hai to koi baat nahi


ur welcome and yeh baat tu hai in shairi ko talsh kerne k liye mehnat tu kerney he perti hai keep it up........ glasses2
Logged
lovebites
Guest
«Reply #23 on: December 01, 2004, 04:34:52 AM »
Reply with quote
ab tum ko hi sawan ka sandesa nahin banana
mujh ko bhi kisi aur ka rasta nahin banana
kahti hai k ankhon se samander ko nikalo
hansti hai k tum se to kinara nahin banana
mohtat hai itni kai kabhi khat nahin likhti
kahti hai k mujhey auroon k jaisa nahin banana
tasveer banaoon to bigar jati hai mujh se
aisa nahin banana mujhey waisa nahin banana
inkar to youn karti hai jaise kabhi bhi
chayoon nahin banana isey saya nahin banana
main soch raha hoon k main hoon bhi k nahin hoon
tum zid pe arri ho k kisi ka nahin banana
is waqt to woh khud bhi munajaat main gumm hai
is waqt to us ko bhi dilasa nahin banana
is zehar ko kyun rag o pai main uttaroon
jis zehar ki taseer ko nasha nain banana
is raat ki eenten to bohat jorr raha hoon
par mujh se teray din ka dareecha nahin banana
is dard ki tahveel main rahtey huway hum ko
chup chaap bikharna hai tamasha nahin banana
Logged
sharmaarunkumar
Guest
«Reply #24 on: December 01, 2004, 04:49:14 AM »
Reply with quote
Veri Nice Lovebites ji!!! Waah!
Logged
lovebites
Guest
«Reply #25 on: December 01, 2004, 04:55:14 AM »
Reply with quote
Quote from: "sharmaarunkumar"
Veri Nice Lovebites ji!!! Waah!

thankss...........!

os akhri nazar main ajeeb dard tha'Muneer
janay ka os k ranj mujhay omer bhar raha
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #26 on: December 01, 2004, 06:30:17 AM »
Reply with quote
wah!!!!! wah!!!!! bahot khoob sadiqa..............
Logged
lovebites
Guest
«Reply #27 on: December 01, 2004, 06:37:39 AM »
Reply with quote
Ik parinda shakh per dekha tha tanha sham ko
Kia batain, kis kadar shab bhar raha magmoom dil
Logged
sharmaarunkumar
Guest
«Reply #28 on: December 01, 2004, 08:18:02 AM »
Reply with quote
Nice all!!
Logged
SADIQA JAWED
Guest
«Reply #29 on: December 01, 2004, 09:27:49 AM »
Reply with quote
HMM HM... THNKX TALAT , POOJA , ARUN , WAHEED N LOVEBITES ...

THNK U AGAIN.....

jao jao jao tumhain maf kia
tune mera naam dhire se kahi bolaya tha
zindagi naraz tum se hai je je main ne manaya tha
baat aan kahi tum se na howi main ne mani thi
tum ne muje har tahra se azmaya tha
tum ne itbar mera tud bhi diya
phir bhi main ne tum se dil saf kia
jao jao jao tumhain maf kia
jao jao jao tumhain maf kia
tum ne mera dil tuda jahne kiu akela chura
phir bhi main ne tum se dil saf kia
jao jao jao tumhain maf kia
jao jao jao tumhain maf kia
jate jate kia mere bare main tumne sucha tha
dil ki chabiya gir gai kaha mur ke dekha tha
patharo main shishe ka tud kar gai
mere sath kesa insan kiaaaaa
jao jao jao tumhain maf kia
jao jao jao tumhain maf kia
tum ne mera dil tuda jane kiu akela chura
phir bhi main ne tum se dil saf kia
jao jao jao tumhain maf kia
jao jao jao tumhain maf kia
jane tum ne kia sucha kaho
esa tum ne kiu kia kahoo
bolo na kia hai ye hai wafa bolo na bolo na nahiiiii
mere bin tumhare liye koi bhi nahi
itni dor ja ke rak kia
jao jao jao tumhain maf kia
jao jao jao tumhain maf kia
tum ne mera dil tuda jane kiu akela chura
phir bhi main ne tum se dil saf kia
jao jao jao tumhain maf kia
jao jao jao tumhain maf kia
Logged
Pages: 1 [2] 3 4
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 23, 2025, 06:59:34 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.103 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer