KUCH DIN TO BASO MERI ANKHON MAIN...!!!!

by SADIQA JAWED on October 30, 2004, 07:30:32 AM
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Author  (Read 3055 times)
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #15 on: February 08, 2006, 05:23:25 PM »
Reply with quote
Quote from: "SADIQA JAWED"
KUCH DIN TO BASO MERI ANKHON MAIN...!!!!
------------

Kuch Din To Baso Meri Ankhon Main
Phir Khuwab Agar Ho Jao To Kia
 
Koi Rang To Do Mery Chehry ko
Phir Zakhm Agar Mehkao To Kia

Jab Ham Hi Na Mehky Phir Sahib!
Tum Bad-e-Saba Kehlao TO Kia

Tum Ass Bandhany Waly They
Ab Tum Hi Hamin Thukrao To Kia

Main Tanha Thi Main Tanha Hon
Tum Aoo To Kia , Na Aoo To Kia

Hai Yun Bhi Zayan or Yun Bhi Zayan
Jee Jaon To Kia , Mar Jaon To Kia


Wahhh Sadii,bohat khoob,Very nice waheed and benaam ji too.
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
jagti ankhon main bhi kuch khuwab hotay hain by pankaj_pups in Shayri-E-Dard
Teri Tasweer meri ankhon main basi kyun hai by pandit in Shayri for Dard -e- Judai « 1 2 ... 5 6 »
Meri ankhon main bas gaye ho aise by sameer14112 in SMS , mobile & JOKES
dil chahta ha teri ankhon per kuch aur likhon by sweet killer in Shayeri for Dard -e- Bewafai
SADIQA JAWED
Guest
«Reply #16 on: November 07, 2006, 06:39:54 PM »
Reply with quote
this one is alo mine FAV ...
BY :  Sardar Jaafri

phir aik din aisa aayega
aaNkho key diye bujh jaayeNgey  [ diye= lamps]
haathoN key kaNwal kumhlaayeNge [ kaNwal= lotus, kumhlana= to wilt]
aur barg-e-zabaaN sey nataq-wa-sadaa [barg-e-zabaaN= tip of tongue]
ki har titlee uRh jaayegi [ titlee= butterfly]
ik kaaley samandar ki tah meiN
kaliyoN ki tarah sey khilti hui
phooloN ki tarah sey haNsti hui
saari shakleiN kho jaayeNgi
kHooN ki gardish, dil ki dhaRhkan
sab raaginyaaN so jaayeNgi
aur neeli fazaa ki makHmal par
haNsti hui heerey ki yeH kani
yeH meri jannat, meri zameiN
iss ki subhaiN, iss ki shaameiN
bey jaaney huey, bey samjhey huey
ik musht gHubaar-e-insaaN par
shabnam ki tarah ro jaayeNgi
har cheez bhula di jaayegi
yaadoN key haseeN but kHaaney sey
har cheez uTha di jaayegi
phir koi nahiN yeH puchhega
SARDAR kahaaN hai mahfil meiN
lekin meiN yahaaN phir aaooNga
bachchoN key dahan sey bolooNga  [ dahan= mouth]
chiRhyoN ki zabaaN sey gaaoNga
jab beej haNseiNgey dharti meiN
aur konpleiN apni ungli sey [ konple= foliage]
miTTi ki tahoN ko chheRheiNgi
meiN patti patti, kali kali
apni aaNkheiN phir kholooNga
sar sabz hatheli par ley kar
shabnam key qatrey tolooNga
meiN raNg-e-hena, aahaNg-e-gHazal
andaaz-e-sukHan ban jaaooNga
rukHsaar-e-aroos-e-nau ki tarah
har aaNchal sey chhan jaaoNga
jaaRhoN ki hawaaeiN daaman meiN
jab fasal-e-kHazaaN ko laayeNgi
rahroo key jawaaN qadmoN key taley
sookhey huey pattoN sey merey
hansney ki sadaayeiN aayeNgi
dharti ki sunhari sab nadiyaaN
aakash ki neeli sab jheeleiN
hasti sey meri bhar jaayeNgi
aur saraa zamaanaH dekhegaa
har qissaH mera afsaanaH hai
har aashiq hai sardaar yahaaN
har maashooqaH sultanaaH hai
maiN aik gurezaaN lamha hooN
ayyam key afsooN kHaaney meiN
maiN aik taRhapta qatraH hooN
masroof-e-safar jo rahta hai
maazi ki suraahi key dil sey
mustaqbil key paimaney meiN
maiN sotaa hooN aur jaagta hooN
aur jaag key phir so jaata hooN
sadyioN ka puranaa khel hooN maiN
maiN mar key amar ho jaata hooN
Logged
SADIQA JAWED
Guest
«Reply #17 on: November 10, 2006, 07:48:57 PM »
Reply with quote
Thank u Usual Smile


Tum aankhon ki barsaat bachayay huey rakhna,
Kuch log abhi aag lagana nahin bhoolay !

Yeh baat alag haath kalam ho gayey apnay,
Hum aap ki tasveer banana nahin bhoolay !

Ik umar huee main to hansi bhool chuka hoon,
Tum ab bhi meray dil ko dukhana nahin bhoolay
Logged
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 10:22:55 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.092 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer