Kuch iss tarhe hum jee rahe hain....(nazar ghouri)

by nazar ghouri on May 30, 2010, 02:59:41 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 3270 times)
nazar ghouri
Guest
Reply with quote
Ahl-e-mefil,salaam-o-adaab,,aaj meine apne mizaj se kuch alag likhne ki koshish ki hai..meri koshish kahan tak kaamyab hoi hai iss se zaror agah karein.take care..



Kuch iss tarhe hum jee rahe hain, zamaane main...!
Lage rehte hain chaaro'n paher dil behlaane main..!

Kii thi taakheer zubaan pe harf-e-mohabbat laane main..!
Magar dair na ki ussne,humse door jaane main.........!

Itna aasaan bhi nahien hai, usko bhool jaana...........!
Waqt to lage ga sarkaar ,usko bhoolaane main...........!

Zikr mera na aae teri kahaani main to kya..............!
Tera naam to aaega zaroor, mere fasaane main...........!

Ajeeb kashmakash main hai,mareez-e-ishq tera...........!
Ilaaj-e-marz na chhupane main hai, na dikhaane main....!

Abhi banjarr padi hai, dil ki zameen dosto.............!
Kuch waqt to lage ga, naya pauda lagaane main..........!

Chalo "Nazar" haqeeqat se aagah ho bhi jaao.........!
Ab koi haasil nahien ,yun rooth jaane main..........!


                                                      nazar ghouri
                                                     Hyderabad(India)
                                                     Cell:09885375957

 
Logged
arifuddin
Guest
«Reply #1 on: May 30, 2010, 03:48:43 AM »
Reply with quote
bohat hi umda aur Haqeeqat bi hai badi Acchi lagi mujhe to salaam
 icon_thumleft
Logged
tamanna.pt
Guest
«Reply #2 on: May 30, 2010, 04:13:14 AM »
Reply with quote

  Kya kahein Nazar ji tareef me jo bhi likheng kam hoga,behad khoobsurat likha hai aapne, khaas kar 5th or 6th sher to bahut hi pasand aaya hume. Applause Applause Applause Applause
Logged
khamosh gawah
Guest
«Reply #3 on: May 30, 2010, 05:42:36 AM »
Reply with quote
wah nazar saheb 4th 5th 6th bahut hi behtreen hai ,haan aapka yeh andaaz bhi masha Allah bahot khoob laga ,mai to pabandi se taqriban post padhta hoon,,lekin kabhi kisi to daad nahi di.aaj aise hi kisi user ne hame interfier hone ka mauqa diya..any ways xcellent work.woh andaaz apka iss andaaz se behetar please don't mind.
Logged
Sajid_Ghayel
Guest
«Reply #4 on: May 30, 2010, 03:22:40 PM »
Reply with quote
Subhan_allah mere bhai ek ajeeb sukoon deti hai aapki ghazlein.........matla bohat bohat kareeb raha dil ke

Kuch iss tarhe hum jee rahe hain, zamaane main...!
Lage rehte hain chaaro'n paher dil behlaane main..!


Ek choti si gustakhi....

Do kadam ka faasla kam na janiyo
Ek umr guzari hai dilo ke aane jaane mein..

SG
Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
«Reply #5 on: May 30, 2010, 05:03:31 PM »
Reply with quote
bhai nazar saheb walekum aadab ,,

yaar taqir ke liye mazrath khaw hon , Makkah shareef aya howa hon ,, zara job ko lekar ke piche khuch dino se parehsaan tha ,, aaj fariq hon to yoindia pe tashreef farma hon ,, bhai apke kya kahene yaar hamesha la jawab kahete ho .. har ashar dil pe acer chudta hai ,, hazaro dad apki is taqleeq pe qubool karen .. allah apko hamesha khush rakhe ..


apka bhai

qadeertoopchi
Logged
nazar ghouri
Guest
«Reply #6 on: May 30, 2010, 11:23:30 PM »
Reply with quote
Arif bhai bahot bahot shukriya aapki hausla afzai ka,apki hausla afzai ne mere hauslaon main jaan bhar di hai.
bohat hi umda aur Haqeeqat bi hai badi Acchi lagi mujhe to salaam
 icon_thumleft
Logged
nazar ghouri
Guest
«Reply #7 on: May 30, 2010, 11:25:48 PM »
Reply with quote
tamanna ji bahut khushi horahi hai ke meri is koshish ko apne pasand kiya . mei aap ka teh dil se shukr guzaar hoon
  Kya kahein Nazar ji tareef me jo bhi likheng kam hoga,behad khoobsurat likha hai aapne, khaas kar 5th or 6th sher to bahut hi pasand aaya hume. Applause Applause Applause Applause
Logged
nazar ghouri
Guest
«Reply #8 on: May 30, 2010, 11:28:30 PM »
Reply with quote
khamosh gawah ,aapke iss kholoos ka main shukr guzaar hoon aapki raae aur izhaar sar aankhaon par,koshish karta rahonga ke kuch behetar likhon.
wah nazar saheb 4th 5th 6th bahut hi behtreen hai ,haan aapka yeh andaaz bhi masha Allah bahot khoob laga ,mai to pabandi se taqriban post padhta hoon,,lekin kabhi kisi to daad nahi di.aaj aise hi kisi user ne hame interfier hone ka mauqa diya..any ways xcellent work.woh andaaz apka iss andaaz se behetar please don't mind.
Logged
nazar ghouri
Guest
«Reply #9 on: May 30, 2010, 11:39:32 PM »
Reply with quote
sajid bhai kya likhen samajh main nahi aaraha hai..aap ne itni tareef kardi ke dil khush hogaya,,aap jaise shayer ki taraf se daad ek tohfa hai.bahot bahot shukriy dil ki gheraiyaon se
Subhan_allah mere bhai ek ajeeb sukoon deti hai aapki ghazlein.........matla bohat bohat kareeb raha dil ke

Kuch iss tarhe hum jee rahe hain, zamaane main...!
Lage rehte hain chaaro'n paher dil behlaane main..!


Ek choti si gustakhi....

Do kadam ka faasla kam na janiyo
Ek umr guzari hai dilo ke aane jaane mein..

SG

Logged
nazar ghouri
Guest
«Reply #10 on: May 30, 2010, 11:44:35 PM »
Reply with quote
A.Qadeer bhai shikayat to hai aap se lekin aap ne wajeh batadi hai.Allah aap ko har mushkil se bachae.bahot bahot shukriya aap ne hamari is koshish ko pasand kiya..insha Allah bahot jald baat hogi aap se . Allah hafiz
bhai nazar saheb walekum aadab ,,

yaar taqir ke liye mazrath khaw hon , Makkah shareef aya howa hon ,, zara job ko lekar ke piche khuch dino se parehsaan tha ,, aaj fariq hon to yoindia pe tashreef farma hon ,, bhai apke kya kahene yaar hamesha la jawab kahete ho .. har ashar dil pe acer chudta hai ,, hazaro dad apki is taqleeq pe qubool karen .. allah apko hamesha khush rakhe ..


apka bhai

qadeertoopchi
Logged
Shihab
Yoindian Shayar
******

Rau: 27
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
29 days, 4 hours and 51 minutes.

Maut To Ek Shuruaat Hai...

Posts: 2082
Member Since: Dec 2006


View Profile
«Reply #11 on: May 31, 2010, 10:02:05 PM »
Reply with quote
Wah Nazar Ji Kya Kehne Aake
Behad Khoobsurat Peshkash Ki Hai
Bahut Hi Umda Janaab...

Dad Hazir Hai.....
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #12 on: May 31, 2010, 10:11:33 PM »
Reply with quote
Wah wah bahut khoob Nazar ji,heart touching poem.mindblowing creation.Sajid ji aapne bhi kamaal ke lines likha.excellent Hats off to you! icon_thumleft Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
nazar ghouri
Guest
«Reply #13 on: June 06, 2010, 02:15:57 AM »
Reply with quote
hum dum saheb aapki hausla afzai mere shouq-shayeri ko jila bakhashti hai..aapka behad mamnoon hoon.
Wah Nazar Ji Kya Kehne Aake
Behad Khoobsurat Peshkash Ki Hai
Bahut Hi Umda Janaab...

Dad Hazir Hai.....

Logged
nazar ghouri
Guest
«Reply #14 on: June 06, 2010, 02:17:41 AM »
Reply with quote
shihab saheb aapki nawazish ka bahot bahot shukriya aap ne waqt nikaala aur iss haqeer ki ghazal padhi ..aur daad se nawaza
Wah Wah Nazar Sahab Kya Khoobsurat Ghazal Bazm Ko Ata Ki Hai
Bade Hi Khoobsurat Andaaz Ke Saath Saaf Saaf Lafzon  Mein Ek
Bahut Hi Pyaari Ghazal Likhi Hai Aapne Bahut Umda Peshkash
Bahut Khub Janaab....

Dad Hazir Hai Kabul Karen...!


Khush Rahiye...


~Shihab~

Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 06:39:28 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.14 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer