KYUuuuu???????

by poppoetry on June 07, 2009, 10:31:04 AM
Pages: 1 ... 7 8 9 10 [11] 12
ReplyPrint
Author  (Read 7339 times)
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
«Reply #150 on: March 18, 2010, 04:30:06 PM »
Reply with quote
Bahut bahut Shukriya Sureshji,Sabaji Aur Bhai Rahim..

Aap Sab ka Teh Dil Se shukriyaaaa  icon_salut
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
«Reply #151 on: March 19, 2010, 07:26:12 AM »
Reply with quote
Meri ehmiat log samajte nahin bas mujhe istamal karke chorr dete hai,
'Rahim' yun bhi khud toot kar logon ke kam aya hai...
Bahut Bahut Khoooob Rahim Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Zindagi To Apne Hi Kadmo Par Chalti Hai Yaaron!!!
Auron Ke Sahaare Sirf Janaaze Utha Karte Hai..
                   -N.M-
Logged
dead heart
Guest
«Reply #152 on: March 19, 2010, 12:24:33 PM »
Reply with quote
Aha kya baat hai..Faraz Saheb ka yeh shaer apne share karke dil khush kar diya!!

Ager woh mere janaze ko utha kar kandha de de toh yeh bahaut baddi baat hai mere liye,
Zindagi main na sahi; maut ke baad toh usne 'Rahim' ko sahara dia!!
Logged
Saba_Saba is back
Guest
«Reply #153 on: March 30, 2010, 01:22:32 PM »
Reply with quote
Applause Rahim Ji... aur Faraz ki to mai fan hu

Bohat nadan hote hai hum ishq k maare
K jis ne jaan li usi par hai dil haare

-------------------------
°ღ•ŚÁßÁ●•٠•˙
Logged
dead heart
Guest
«Reply #154 on: March 30, 2010, 01:45:47 PM »
Reply with quote
Shukriya Saba jee..Faraz Saab ka toh main bhi fan hoon...

Wah bahaut acha likha hai apne!! Applause Applause
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #155 on: March 30, 2010, 02:39:06 PM »
Reply with quote
Bahut Bahut Khoooooooooob Pooja Ji & Khwaish Bhai.. Bahut Hi Khubsoorat likh rahe Hain aap dono.. Yunhi Likhte Rahiye.. Applause Applause

**~** Mann **~**
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #156 on: March 31, 2010, 03:44:55 PM »
Reply with quote
Bahut Bahut Khoooooooooob Pooja Ji & Khwaish Bhai.. Bahut Hi Khubsoorat likh rahe Hain aap dono.. Yunhi Likhte Rahiye.. Applause Applause

**~** Mann **~**
bahut bahut bahut shukriya....aapne hamesha hi hausla afzayi ki hai........bahut bahut shukriya mann ji
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #157 on: March 31, 2010, 03:46:45 PM »
Reply with quote
Aha kya baat hai..Faraz Saheb ka yeh shaer apne share karke dil khush kar diya!!

Ager woh mere janaze ko utha kar kandha de de toh yeh bahaut baddi baat hai mere liye,
Zindagi main na sahi; maut ke baad toh usne 'Rahim' ko sahara dia!!
Waah bahut vadhiya Rahim ji
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
«Reply #158 on: April 04, 2010, 10:51:10 AM »
Reply with quote
Bahut Bahut Khoooooooooob Pooja Ji & Khwaish Bhai.. Bahut Hi Khubsoorat likh rahe Hain aap dono.. Yunhi Likhte Rahiye.. Applause Applause

**~** Mann **~**

Bahut bahut Shukriya Mannji..Aapne Apna Waqt Diya Teh Dil Se Aapka Shukriya Aur Agar Pooja ji Ka Aage Bhi Saath Raha To Zaroor Likhte Rahenge.. Usual Smile
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
«Reply #159 on: April 18, 2010, 02:01:44 PM »
Reply with quote
bahut khoob, badhia likha hai Pooja ji aapne aur Khwaish dear aapne bhi,bahut khoob  Applause Applause Applause Applause Clapping Smiley Clapping Smiley
Raheem bro,Saba ji aapne bhi acha likha hai  Applause Applause Applause

Bahut Bahut Shukriya Kaashji..

Aapne Apna Waqt Diya..Teh Dil Se Aapka Shukriya.. icon_flower
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #160 on: April 24, 2010, 03:21:14 PM »
Reply with quote
bahut khoob, badhia likha hai Pooja ji aapne aur Khwaish dear aapne bhi,bahut khoob  Applause Applause Applause Applause Clapping Smiley Clapping Smiley
Raheem bro,Saba ji aapne bhi acha likha hai  Applause Applause Applause
shukriya kaash ji
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #161 on: April 24, 2010, 03:31:03 PM »
Reply with quote
Bahut Bahut Khoooooob pooja..

Ab Kuch Bhi Kahunga To Suna-Suna Sa Lagega..

Bahut Hi Pyaaaaaare Jazbaat!!! Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Kuch Beete Hue Palo Ka Tumhe Aaj Ek kissa Sunaata Hoon..
Jis Shaks Ne Mujhe Mere Har Gham par Apna Saath Diya
Usse Main Apna Banata Hoon.

Uski Kahi Hui Har Baat,Har Lafz Mere Liye Ek Ghazal Ho jaise!!!
Meri Tanhaiyon Mein Main uski Har Baat Gunguunata Hoon..

Dard-e-Gham Ki Baatein Karte Rahe to Zindagi Yuhi Beet Jayegi,
Aaj Suuno meri Iss Baat Ko,Tujhe Yaad Kar Main Bas Muskurata Hoon...

Sirf Teri Khushiyon Mein main Tere Saath Nahi..
Tere Har Ek gham Ko Bhi Main Apne Gale Lagata Hoon..

"Khwaish" Kisi Ke dil mein Jagah Naa Bhi Bana Paaye To Gham Nahi!!!
Par Yakeenan Kabhi Kisi Ke Palkon par Ek sapna Bankar Jhilmilaata Hoon

Kuch pal Aise Bhi Hote hai Jinhe Hum Bas Yuhi Jee Lete Hai,
Aur Kuch Pal Yuh Jeene Hum Jeete Hai!!!!
Aaj iss Haseen Pal Ko Jee Raha Hoon Main,
Tujhe Yeh Batlaata Hoon..

Bas Itni Si Guzaarish Hai "Pooja",
Ke Kyuuun Ke Iss Silsile Ko Humesha Jaari Rakhna!!!!!!!
Kabhi Guzarti Zindagi mein, Jab Bhi Inn Panho Ke Taraf Dekhoge,
Ek Haseen lamha Bankar Palkon Ke Saamne Aa Jaayenge Yeh Pal!!!!!
Tumhe Iss Baat Ka Main Yakeen Dilaata Hoon....

Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley.... Applause Applause Applause.......
Unlimited claps...........

Kaafi waqt baad jwaab mein khuch likh rahi hu.....ummid hai pasand aayega...

Kyu khamosh rha khuch pal ye samaa,kya hum kahe
Dil toh chahe ye mausam yu hi khushunuma rahe

Kal tak the anjaan tumse,aaj tum hi ho jo hamein humse zyada jaanne lage ho
Dua hai yahi ,bheed mein mila hai jo apna wo apna hi rahe

Khuch the gile hamein,tumse the shikwe khuch
Baaton baaton mein jo door ho gaye
Tum ho anjaan lekin ab tak,khuch toh tumhe bhi khabar rahe

Dooriyan toh aani hi hai darmiyaan
Chalna apne apne raaston par hai
Toh kyu haqiqat par khwabon ka ye parda rahe
Kyu khamosh rha khuch pal ye samaa, kya hum kahe

Jwaab ban kar tumhara swaal iss tarah rooh mein bas gya hai
K koi swaal na rha ab, Phir kaise tumhare Kyuun k jwaab mein khuch hum kahe

Baaton ne tumhari kha,khamoshi ne hamari kha
Baat dil ki dono hi keh gaye ek-duje se
Ek sapne se jaage,haqiqat na tha wo
khuch iss tarah se anjaan hum dono rahe

Kyu khamosh rha khuch pal ye karwa,kya hum kahe
Khwaish hai apni bhi yu hi ye silsila jaari rahe

Kho jaaye jab apni apni zindagi mein dono,aur tanha ho khuch palon k liye
Yaad karein jab pal beete hue,aur khole inn panno ko
Uss waqt bhi ye alfaaz yu hi mehakte rahe
Logged
KOYAL46
Guest
«Reply #162 on: April 24, 2010, 06:53:07 PM »
Reply with quote
Gr8 going Nikhaar-di....
Yr Kyuuuuu is big hit....
Mehak rahe hain....saare kalaam.... icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
«Reply #163 on: April 26, 2010, 01:10:33 PM »
Reply with quote
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley.... Applause Applause Applause.......
Unlimited claps...........

Kaafi waqt baad jwaab mein khuch likh rahi hu.....ummid hai pasand aayega...

Kyu khamosh rha khuch pal ye samaa,kya hum kahe
Dil toh chahe ye mausam yu hi khushunuma rahe

Kal tak the anjaan tumse,aaj tum hi ho jo hamein humse zyada jaanne lage ho
Dua hai yahi ,bheed mein mila hai jo apna wo apna hi rahe

Khuch the gile hamein,tumse the shikwe khuch
Baaton baaton mein jo door ho gaye
Tum ho anjaan lekin ab tak,khuch toh tumhe bhi khabar rahe

Dooriyan toh aani hi hai darmiyaan
Chalna apne apne raaston par hai
Toh kyu haqiqat par khwabon ka ye parda rahe
Kyu khamosh rha khuch pal ye samaa, kya hum kahe

Jwaab ban kar tumhara swaal iss tarah rooh mein bas gya hai
K koi swaal na rha ab, Phir kaise tumhare Kyuun k jwaab mein khuch hum kahe

Baaton ne tumhari kha,khamoshi ne hamari kha
Baat dil ki dono hi keh gaye ek-duje se
Ek sapne se jaage,haqiqat na tha wo
khuch iss tarah se anjaan hum dono rahe

Kyu khamosh rha khuch pal ye karwa,kya hum kahe
Khwaish hai apni bhi yu hi ye silsila jaari rahe

Kho jaaye jab apni apni zindagi mein dono,aur tanha ho khuch palon k liye
Yaad karein jab pal beete hue,aur khole inn panno ko
Uss waqt bhi ye alfaaz yu hi mehakte rahe

Kya Kahoon Pooja..Aapne Itna Acha Likha Hai ke Lafzon Mein Shayad Hi main Kabhi Bayaan Kar sakoon..Bahutttttttt Hi Khoobsurat Ehsaas...har Lafz Ko Maine Itne baar padha hai ke ab Ginti Bhi Nahi..

Bahut Bahut Aur Bahut Khoob!!!!!

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Khamoshiyon ne jo dil ki baatein keh di
Ab unn baaton ko Zubaan se bataayen Kya...

Gar Mohabbat Jurm hai To Jurm Hi sahi
Sach kehne se Hum Sharmaaye Kya...

Mere Dil Ki Har baat Jaanewaale,
Tujhse Ab hum Nazrein Churaye kya..

Dooriyan Kismat Mein Likha Kar laaye the Hum Dono!!!
Ek duje ko Ab hum Haal-E-Dil Aur sunaaye kya...

Teri har baat,teri har Ada par "Khwaish" Kurbaan hai
Yeh dil Ki Baatein Hai Inn Baaton Ko hum ab dohraayen kya..

Chaahtein Ek Aag Ki Tarah Hai Jo Ek Baar Lag jaaye To Bujhti nahi
yeh aag mein mujhe jalne de,ab daaman-e-dil ko Hum bachaye kya...

teri aarzoo ab bhi rakhoon to Guneghaar keh laau,
Ab Gunehghaar keh laana manzoor hai Humein!!!!
jab chalna hi Hai Iss Raah mein to Ladkadayen kya..

Suuna Hai Ek Chirag Ki Roshni Saare Ghar Ko Bhi Roshan kar Deti Hai!!!
Eh Mere Jism-e-rooh ko roshan karne wale ab hum aur tere aage sar jhukaaye kya....

Tujhse Bichadne ka dard Tujhse Milne Ki khushi se Kayi Badhkar hai!!!
ab Sach to yeh hai ke Jab Gham sehne Ki aadat hai humein To ab hum Muskuraaye kya..

"Khwaish" Tujhe Apne Kalam Mein Yuh Kalam-Band Kar Leta Hai
Ke jab Bhi Teri Yaad Aaye,Iss Ghazal Ke Ilaava Aur Hum Gungunaaye Kya....

Logged
poppoetry
Guest
«Reply #164 on: May 06, 2010, 04:16:24 PM »

Jo seekha hai yahi se seekha hai....aap sabse hi seekha hai...bahut bahut shukriya......aur aapka toh jwaab hi nahi.....behaaaaaaaad khubsurat.....

Gunguna le uss lamhe ki kahani jo naam tere hai kiya
Har khushi ka,zindagi ka wo pal tumhe humne diya

Nibhayege jab talak, dil se nibhayege iss rishte ki reet ko
Kal jo maanga tha waada tumne, aaj wo tumse hai kiya

Chand ki chandni mein,raahe hai roshan hamari
Aur andheri raahon ko tumne chaand sa roshan kiya

Manzil par pahuchne ki khushi khoob hogi innaankhon mein
Tumse door jaane ka gham bhi hoga magar
Muskuraayege uss pal,uss hunar k saath jo tumne hai humko diya

Intza hai itni si,jo kho gaye apni duniya mein hum
Dosh na dena iss nadaan ko k bhula diya tumhe
Bas samajh jana,zindagi ka ek naya safar shuru kiya humne

Logged
Pages: 1 ... 7 8 9 10 [11] 12
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 26, 2024, 07:39:26 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.114 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer