KYUuuuu???????

by poppoetry on June 07, 2009, 10:31:04 AM
Pages: 1 2 [3] 4 5 6 7 ... 12
ReplyPrint
Author  (Read 7329 times)
poppoetry
Guest
«Reply #30 on: June 10, 2009, 05:42:34 PM »
Reply with quote
Bahot khoob likha hai PP ji aapne n nice reply Khwaish ji
bahut bahut shukriya Kaash ji.....aapne hmesha hausla bdhaya h
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #31 on: June 10, 2009, 05:44:43 PM »
Reply with quote
Wah wah Pooja ji and Khwaish ji,very nice and beautiful creation. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
bahut bahut bahut shukriya Madhu ji
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
«Reply #32 on: June 10, 2009, 05:46:56 PM »
Reply with quote

Bahut bahut accha reply diya hai aapne Khwaish bhaiya.. Applause Applause

Wah Wah ... superb  Thumbs UP

Thankyou Soooooooooo Much Roja Behna.. Usual Smile
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #33 on: June 10, 2009, 05:49:13 PM »
Reply with quote
Wah wah Wah Wah!!!! Bhaut Khoooooooooob Pooja..

Har Ek lafz,Mein Aapne Jaan SiPhoonk Di Hai..Itni khoobsurti Se Aapne Likha Hai Kya Kahen..Bahut Bahut Khoob Mere Dost.. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

tahe dil se shukriya Khwaish ji.....aapki poetry ne is thread ki shobha me char-chand lga diye.......bahut bahut shukriya
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
«Reply #34 on: June 10, 2009, 06:08:38 PM »
Reply with quote
bahut bahut bahuuuuuuuuut khub Khwaish ji........gustakhi bahut pyari h
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Pyar tha tujhe jatlaya to hota
Dur reh kar bhi mujhe apna bnaya to hota

Apna bna leti teri aankho se nikle ashko ko
Itna  mujhe apne karib laya to hota

Khud se hi karta rha swaal aur jwaab tu
Apni pareshaniyon ko aehsaas dilaya to hota

Gujre the dono hi raah k us mod se
Mudna h tjhe itna btaya to hota

Gar majburi thi teri yu muh pher kar jana
Jaate-jaate palko ko bhigoya to hota

Intzaar karte zindagi bhar ham tera
Laut aane ka vada nibhaya to hota

Mud jaate apni raahon se bhi ham
Apni khwaish ko dil se churaya to hota

Rehta har pal tu hi yaadon me meri
Gar is tarah se tu praya na hota

Jatlaakar Yuh Pyaar karna Mujhe Dushwaar hai,
Tere-Mere beech Jo yeh Khamoshi Hai,
Sochta Hoon,Yeh Khamoshi Hi Iss Pyaar Mein bani Deewar Hai!!!

Kuch Tum kehte, Kuch Main kehta!!
Kuch Tum Suunte, Kuch Main Suunta!!
Par Yeh Ho Naa Saka,
Ab Mehsoos Hota Hai Kuch Yuh,
Ke Majbooriyon Ki Qaid Mein Hum Dono Hi Giraftaar Hai!!

Baaton-Baaton mein Tujhse Kareeb sa Hota Gaya Main,
Kya kahoon!! Mehsoos Hota Hai Kuch Yuh,
Ke "Khwaish" Hi Har Baat Ka Guneghaar Hai!!

Tujhse Bahut Door Hoon Par Tujhse Koi Gila Nahi,
kabhi-Kabhi Insaan ke Liye,
Uska Aaena Hi Sabse Wafadaar Hai!!

Saath Chal To rahe The Par Ek Mod Par,
Mera Haath, Tere Haath Se Choot Sa Gaya!!!
Kuch Sawaalo Ka Jawaab Nahi Hota "Pooja",
Kuch Sawaalo Ke Jawaabo Ki Talaash mein,
 "Khwaish" Aaj Bhi Bezaar Hai!!

Apne Aansuo Ko Teri Nazro Se Chuupa Kar,
Main Tujhse Door To kahin Chala Gaya!!!
Par Yeh Dekh kar,Mere Aansu Bhi mujhse Kehte Hai Ke,
"Waah,"Khwaish", Tu Bhi Kya Fankaar Hai.."
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #35 on: June 10, 2009, 06:19:20 PM »

kya kahu Khwaish ji......behtrin , umda.....jo kahu wo kam h....bahut pyara likha h aapne.... Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
 
dil se ek hi baat nikal rhi h.......
                         Khuch is tarah se aapne yha rang barsaya h
                         Khuch nahi keh paye hum,sajde me ye sar jhukaya h
                                  notworthy notworthy
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
«Reply #36 on: June 11, 2009, 06:28:11 AM »
Reply with quote
tahe dil se shukriya Khwaish ji.....aapki poetry ne is thread ki shobha me char-chand lga diye.......bahut bahut shukriya

Pooja,Maine To Sirf yeh koshish Ki Hai Ke Main Aap Jitna Khoobsurat Likh Paau,

Ab Mehsoos Ho Raha hai Ke Shayad Meri Yeh Koshish Kuch Kaamyaab Hui.. icon_thumleft

Thankyou Sooooooooooooooo Much For Your Sooooo Sweet Words pooja.. Usual Smile
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #37 on: June 11, 2009, 11:49:43 AM »
Reply with quote
Jatlaakar Yuh Pyaar karna Mujhe Dushwaar hai,
Tere-Mere beech Jo yeh Khamoshi Hai,
Sochta Hoon,Yeh Khamoshi Hi Iss Pyaar Mein bani Deewar Hai!!!

Kuch Tum kehte, Kuch Main kehta!!
Kuch Tum Suunte, Kuch Main Suunta!!
Par Yeh Ho Naa Saka,
Ab Mehsoos Hota Hai Kuch Yuh,
Ke Majbooriyon Ki Qaid Mein Hum Dono Hi Giraftaar Hai!!

Baaton-Baaton mein Tujhse Kareeb sa Hota Gaya Main,
Kya kahoon!! Mehsoos Hota Hai Kuch Yuh,
Ke "Khwaish" Hi Har Baat Ka Guneghaar Hai!!

Tujhse Bahut Door Hoon Par Tujhse Koi Gila Nahi,
kabhi-Kabhi Insaan ke Liye,
Uska Aaena Hi Sabse Wafadaar Hai!!

Saath Chal To rahe The Par Ek Mod Par,
Mera Haath, Tere Haath Se Choot Sa Gaya!!!
Kuch Sawaalo Ka Jawaab Nahi Hota "Pooja",
Kuch Sawaalo Ke Jawaabo Ki Talaash mein,
 "Khwaish" Aaj Bhi Bezaar Hai!!

Apne Aansuo Ko Teri Nazro Se Chuupa Kar,
Main Tujhse Door To kahin Chala Gaya!!!
Par Yeh Dekh kar,Mere Aansu Bhi mujhse Kehte Hai Ke,
"Waah,"Khwaish", Tu Bhi Kya Fankaar Hai.."

Kasoor na tera tha na mera tha hamne to bas pyar kiya
Kar baithe itni si bhul pyar jtane se inkaar kiya
 
Khub kha tumne jwab nahi hote khuch swalon k
Yhi kehna tha mera us waqt jab tumne mjhse swal kiya

Mohabbat ki kalam se likha na  ek duje k liye
kha sirf unhi lafjo ko jinhone raahe duri par kiya
 
Gunahgaar tu akela nahi mai b shamil hu isme
Khamosh dil ki baaton par dono ne hi aitraaj kiya

Na tu khuch sunne ko raji tha na mai khuch kehna chahti thi
Ek-duje ki baaton ko hamne bhi kha manjur kiya

Aehsaas h tjhe bhi mjhe bhi h pashchatap
Majbooriyon k karan hi ek-duje ko dur kiya

Bahut hua.... ab mat chalka aankho se in aansuo ko
Teri har khwaish ko rab ne aaj manjur kiya

Kal kar diya tha jisne dur tujhe khud se
Aaj usne khud ko tere pyar k supudra kiya
pt]
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
«Reply #38 on: June 11, 2009, 06:20:56 PM »
Reply with quote
kya kahu Khwaish ji......behtrin , umda.....jo kahu wo kam h....bahut pyara likha h aapne.... Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
 
dil se ek hi baat nikal rhi h.......
                         Khuch is tarah se aapne yha rang barsaya h
                         Khuch nahi keh paye hum,sajde me ye sar jhukaya h
                                  notworthy notworthy

Thanks A Million Dear!!

Thakyou Sooooooooooooooooooooooooooo Much.....

Aapne Itna Kuch Keh Diya Ke Ab Main kya Kahoon???

humne Bhi Aapke Iss Ada Par Sar Jhukaya hai Pooja.. notworthy notworthy notworthy

                Thankyou !
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
«Reply #39 on: June 11, 2009, 06:35:17 PM »
Reply with quote
Kasoor na tera tha na mera tha hamne to bas pyar kiya
Kar baithe itni si bhul pyar jtane se inkaar kiya
 
Khub kha tumne jwab nahi hote khuch swalon k
Yhi kehna tha mera us waqt jab tumne mjhse swal kiya

Mohabbat ki kalam se likha na  ek duje k liye
kha sirf unhi lafjo ko jinhone raahe duri par kiya
 
Gunahgaar tu akela nahi mai b shamil hu isme
Khamosh dil ki baaton par dono ne hi aitraaj kiya

Na tu khuch sunne ko raji tha na mai khuch kehna chahti thi
Ek-duje ki baaton ko hamne bhi kha manjur kiya

Aehsaas h tjhe bhi mjhe bhi h pashchatap
Majbooriyon k karan hi ek-duje ko dur kiya

Bahut hua.... ab mat chalka aankho se in aansuo ko
Teri har khwaish ko rab ne aaj manjur kiya

Kal kar diya tha jisne dur tujhe khud se
Aaj usne khud ko tere pyar k supudra kiya
pt]

Wah Wah Wah Wah!!! Bahut bahut Khoob pooja..Aapne Itna Pyaara likha Hai Ke Kya Kahoon...Bahut Ache Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Itni Si Baat Ko Hum Samaj Nahi Paate,
Jaana Chaahte Hai Jitni Door,
Utne Hi Kareeb Hai Aa Jaate!!!

Khabar Dono Ko Hai Ke Faasle Bahut Hai Hum-Tum Ke Darmiyaan,
Par Khwaabo Par koi Zor Nahi Hota,
Khwaab To Kabhi bhi Hai Aaa Jaate!!!

Kasoor Kabhi Kisi Ka Bhi Nahi hota,
par Phir Bhi Log juda Ho Jaate hai,
Ajeeb Hai Yeh Duniya Aur iss Duniya Ke Rasm-0-Riwaaz,
Halaat Ke maare Hue Hi Hai Kyon Yahan par Bewaffa Keh Laate....

AWAAZ Teri Suuna Chaahte The Par Suun Bhi Naa Sake,
Yehi Hai Rasm-E-Mohabbat,
Bahut Kam Log hote Hai Jo
Mohabbat Ki Rasmo Ko hai Nibha Paate...

Tera Naam Zubaan Par Laata Bhi Hoon,
Aur phir Khamosh Bhi Ho Jaata Hoon,
Ajeeb Kashmakash Hai Yeh!!!
Phir Sochta Hoon,Khwaishe To Bahut Hoti Hai Dil mein,
Zaroori Nahi Ke Khwaishe Mukammal Bhi Hai Ho Paate.....

Kuch Raaz Hai Dil Mein Apne,
Sochta Hoon ke Kahoon tujhse,
Kehna Chaahta Bhi Hoon,Aur Naa Bhi,
Aise Mein To "Khwaish" Hum Chup Se Hai Ho Jaate.....
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #40 on: June 12, 2009, 11:20:39 AM »

bahut bahut khubsurat Khwaish ji.....kin lafjo me taarif karu aapki....... Hats off to you! Hats off to you! Hats off to you! Hats off to you!

Gam k thehre dariya ka h aehsaas mujhe
Tumhari har baat par h vishwas mujhe

Aasaan nhi h mohabbat ki raho par chalna
yu hi nhi pyar k jalte hue deep h bujhe

Na gwaraa tha duniya ko hmara is tarah milna
Logo ne hi behka diya jo samajh na payi mai tujhe

Khuch chipe raaz hote h har aashiq k dil me
Tere dil ki baat sunne ka h intzaar  mjhe

kyu zubaan par teri aate hi  naam mera ruk jata h
Bekrar dil sunne ko mai kaise smjhau tujhe

Khamoshiyon ki bhi apni ek awaaz hoti h
Gaur se sun in awaazon ko har jwab milega tujhe

Mana maine khuch khwaishe puri nahi ho pati h
Hum-tum ki khwaish hogi mukammal rab par aitbar h mujhe

Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
«Reply #41 on: June 12, 2009, 03:47:03 PM »
Reply with quote
bahut bahut khubsurat Khwaish ji.....kin lafjo me taarif karu aapki....... Hats off to you! Hats off to you! Hats off to you! Hats off to you!

Thankyou Soooooooooooo Much Pooja..Aap ne itna kuch keh diya ke ab tarref ke liye kuch baaki hi naa raha.. Usual Smile
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
«Reply #42 on: June 12, 2009, 03:49:26 PM »
Reply with quote

Gam k thehre dariya ka h aehsaas mujhe
Tumhari har baat par h vishwas mujhe

Aasaan nhi h mohabbat ki raho par chalna
yu hi nhi pyar k jalte hue deep h bujhe

Na gwaraa tha duniya ko hmara is tarah milna
Logo ne hi behka diya jo samajh na payi mai tujhe

Khuch chipe raaz hote h har aashiq k dil me
Tere dil ki baat sunne ka h intzaar  mjhe

kyu zubaan par teri aate hi  naam mera ruk jata h
Bekrar dil sunne ko mai kaise smjhau tujhe

Khamoshiyon ki bhi apni ek awaaz hoti h
Gaur se sun in awaazon ko har jwab milega tujhe

Mana maine khuch khwaishe puri nahi ho pati h
Hum-tum ki khwaish hogi mukammal rab par aitbar h mujhe

Bahut Bahut Bahut Khooooooob Pooja.. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Ab Humein Hi Tareef Karne Ke liye Naye Alfaaz Dhoondne Padenge..

Tooooo Goooood Pooja!! Thumbs UP
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #43 on: June 12, 2009, 05:41:28 PM »
Reply with quote
Bahut Bahut Bahut Khooooooob Pooja.. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Ab Humein Hi Tareef Karne Ke liye Naye Alfaaz Dhoondne Padenge..

Tooooo Goooood Pooja!! Thumbs UP

ye alfaaz mere liye kisi taarif se kam nahi h Khwaish ji.......bahut bahut shukriyan......aapne itne pyare jwab likhe isliye hi mai aage likh payi......bahut bahhuuuuuuut shukriya

                   Kis tarah se ada karu shukrana aapka jo aap yha aaye
                   Mehrbani aapki itne pyare nazmo k rang barsaye
                               icon_salut icon_salut icon_salut
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
«Reply #44 on: June 12, 2009, 06:07:04 PM »
Reply with quote
ye alfaaz mere liye kisi taarif se kam nahi h Khwaish ji.......bahut bahut shukriyan......aapne itne pyare jwab likhe isliye hi mai aage likh payi......bahut bahhuuuuuuut shukriya

                   Kis tarah se ada karu shukrana aapka jo aap yha aaye
                   Mehrbani aapki itne pyare nazmo k rang barsaye
                               icon_salut icon_salut icon_salut

Thankyou Sooooooooooo Much Dear!!! Yeh Sab Aapka Hi Kamaal Hai
 icon_salut icon_salut notworthy

And Thankyou Soooooooooo Much For that Soooooo sweet words
Logged
Pages: 1 2 [3] 4 5 6 7 ... 12
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 06:47:09 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.14 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer