laut auo...

by Anushka on June 10, 2006, 03:19:13 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 2509 times)
Anushka
Guest
Reply with quote
Kuch yadain dil per jum jati hain
jinhay nah barish ka pani mita sakta haii
na hi unhay hawa ka zoor doour laiy ja
sakta haii
nah yee kisi terha hawa mai tahleel
ho sakti hain
nah mai inhe khurach ker
nikl sakti hain
aaisi hi ek yaad mery dil per hai
woh ekpal jisme humne dunya ji li
woh lamha amer ho chuka hai
lakin
aaj bhi tumhary doour hone ka sadma kam nahi hota
sunno ek baatkahni hai
laut aou... .....laut aou
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
....~~Aa jaoo laut ker tum~~.... by HumTum in Shayri-E-Dard
laut aayein... by Naya_Daur in Shayri-E-Dard
laut kar fir wo jamane na aaye by kaushikbhawna008 in Shayeri for Dard -e- Bewafai
****gar wo laut kar na aaya hota***** by kaushikbhawna008 in Shayri-E-Dard
ranjana
Guest
«Reply #1 on: June 10, 2006, 04:09:10 AM »
Reply with quote
bahut khub Anushka............

mere dil ki pukar un tak nahi jaati
woh kahan hai yeh khabar bhi toh nahi aati
unke aane ki liye hamne mangi hai duayien
ab toh laut aao ki yeh duri ab sahi nahi jaati
Logged
Naya_Daur
Guest
«Reply #2 on: June 10, 2006, 04:10:02 AM »
Reply with quote
wah bhut khoob...

appne dil ka haal kya bataun
tujh bin abb koi pal katTa nahi hai

tasbur mein bass chuke ho tum aaise
ki koi aor chehra mujhe ko abb jachta nahi hai

Is dard-e-judai ka hai kuch aaisa alam
ki aaine mein bhi tere siwa,koi dikhta nahi hai ...!!!
Logged
Anushka
Guest
«Reply #3 on: June 10, 2006, 04:13:25 AM »
Reply with quote
Bahut khub Jeet...

Neend nahee aati hay raatoon ko aaj kal
mukhtasar kion kertay ho tum baatoon ko aaj kal
Bay khaber hi chal paray muhabat kee raah pay hum
dekhtain hain is raah pay huzaaroon ko aaj kal  :D
Logged
Naya_Daur
Guest
«Reply #4 on: June 10, 2006, 04:31:38 AM »
Reply with quote
jo hasrat-e-deedar yaar ki ajj poori ho jaye
toh iss bechain dil ko kuch karar aajaye

muddhat ho gayi in ankhon ko pyaas lagge
jo ajj kuch reham ho,to har arzoo poori ho  jaye ...!!!
Logged
ranjana
Guest
«Reply #5 on: June 10, 2006, 04:36:10 AM »
Reply with quote
bahut khub JEET ur ANUSHKA..............

woh meri jindagi se kuch aise juda hue
jaise tan se jaan juda ho jaati hai

hamne har aate jaate lamahe se pucha
ki unko bhi yaad hamari aati  hai...........

ham toh apna har pal bas unki yaad mein betaate hain
raato ko chamakte  sitaare hi ab hamara saath nibhate hain

laut aao ab toh yeh hawa bhi kuch  keh jaati hai
kyu jab koi yaad nahi karta hame toh hame kyu unki yaad aati hai
Logged
Anushka
Guest
«Reply #6 on: June 10, 2006, 04:49:18 AM »
Reply with quote
Atay sundar ranjana....
kebhi kebar..

Apne Aagaaz Se Aaj tak Zindagi
Teri Hi Yaad Main Gum Rahi
Phir Bhi Jaane Kyon Yeh ehsaas Hai
Jaise Chaahat Meri Kam Rahi Huh??
Logged
ranjana
Guest
«Reply #7 on: June 10, 2006, 05:47:47 AM »
Reply with quote
shukriya Anushka..........bahut sundar likha aapne.....

maine dil se tukho chaha
tujhko khabar na hui
mere dil mein tere liya
ehasase mohabbat kam na hui
tu  dur dur  mujhe hota hi gaya
mere dil ko bas tujhe hi yaad karne ki adat si rahi
Logged
gumnam
Guest
«Reply #8 on: June 11, 2006, 03:02:16 PM »
Reply with quote
BAHUT KHUB AAP SABNE BAHUT ACHHA LIKHA...ANUSHKA VERY NICE.....RANJANA KA KYA KAHNA......

HAQ MERI JAAT AUR KHAAMOSHI,
                     KUCHH KHAYALAAT AUR KHAAMOSHI.
HI KITNA UDAAS MANZAR HAI,
                      CHAANDANI RAAT AUR KHAAMOSHI.
Logged
ranjana
Guest
«Reply #9 on: June 12, 2006, 09:20:14 AM »
Reply with quote
shukriya ji ........aur bahut khub........


chandani raat ki khamoshi mein hui unse mulakte yaad aayi
waise toh kiya na yaad hamne apne ishqe ki rahagujar ko
par jab bhi suni unki awaz  hamne, unse judi har baat bahut yaad aayi
Logged
Anushka
Guest
«Reply #10 on: June 12, 2006, 09:28:21 AM »
Reply with quote
Quote from: "ranjana"
shukriya ji ........aur bahut khub........


chandani raat ki khamoshi mein hui unse mulakte yaad aayi
waise toh kiya na yaad hamne apne ishqe ki rahagujar ko
par jab bhi suni unki awaz  hamne, unse judi har baat bahut yaad aayi


Bahut acha ranjan... dil ki baat boldi aapnay..

Har judi hui baat sunker ... ayi tumhari yaad
Yaadey to dehgeye... lekin dil hamara todgeye
Kash hum tumper aseh fida na hotay..
Khuda kisi ko kis par fidaa na kare,
Agar kare to Qyamat tak judaa na kare
Logged
ranjana
Guest
«Reply #11 on: June 12, 2006, 12:21:32 PM »
Reply with quote
bahut khub ANU.......

yaad ne unki mujhe diwana bana ke chora
na paa sake hum unko,yeh khel kismat ne mujhse  kaisa khela
khaai thee kasme unhone jindagi ki raha per ek saath  chalne ki
 unki judaai ne  mujhe anjaani raah ka musafir bana ke chora
Logged
Anushka
Guest
«Reply #12 on: June 12, 2006, 09:52:22 PM »
Reply with quote
Wah bahut gehri baat keh dali aapnay Ranjana.... very sweet.

Chodgeye woh hamay akela... kisi anjani raah per
Jo raah hamnay saath chelnay thi saath, benker meray humsafar.
 Ab to aks khushbo houn,bikharnay se na rookay koi
aur bikhar jaon tu mujh ko na sameetay koi

kamp uthti houn main yea sooch ke tanhai may
merey chahray per terah nam perh na lai koi
jis tarah khawab meray hoo gaey reezah reezaiss
iss tarah se na kabhi toot ke bikharay koi
Logged
gumnam
Guest
«Reply #13 on: June 14, 2006, 02:37:38 PM »
Reply with quote
Quote from: "ranjana"
shukriya ji ........aur bahut khub........


chandani raat ki khamoshi mein hui unse mulakte yaad aayi
waise toh kiya na yaad hamne apne ishqe ki rahagujar ko
par jab bhi suni unki awaz  hamne, unse judi har baat bahut yaad aayi
aapka jawab nahi.......

Hum khaamosh rahe jindagi bhar,
aur unhe gumaan tha ki hume shikayat nahi unse.....
Logged
Anushka
Guest
«Reply #14 on: June 15, 2006, 12:03:35 AM »
Reply with quote
THX GUNMAN.. BAHUT ACHA LIKHA
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 03:34:23 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.127 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer