bazish
Guest
|
«Reply #30 on: November 26, 2004, 06:30:39 PM » |
|
Thanks Yasir
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
bazish
Guest
|
|
«Reply #31 on: November 26, 2004, 06:33:33 PM » |
|
Mujhe bhulaanevaale tujhe bhii chain na aaye Tuu bhii jaage tuu bhii tadape tuu bhii niir bahaaye
Baadal garaje bijalii chamake tadap tadap rah jaaye Patajhad aaye chhaye udaasii man mein aag lagaaye Tuu bhii in ko yaad kare aur thaam ke dil rah jaaye
Aramaanon kaa mahal banaake aap hii tuune tod diyaa Ek suhaanaa giit sunaayaa Merii niinden chhiin lii tuune aise Khvaab dikhaaye
Jab bhii saavan lekar aaye pyaar bharii barasaaton ko Yaad kare tuu baiTh ke tanhaa saath guzaarii raaton ko Merii tarah tere man mein bhii barakhaa aag lagaaye
|
|
|
Logged
|
|
|
|
lovebites
Guest
|
|
«Reply #32 on: November 27, 2004, 08:40:08 AM » |
|
umeed thi jinse milne ki woh milay toh kuch is tarha se milay main nazar utha ke tadap gaya woh nazar jhuka ke guzar gaye
|
|
|
Logged
|
|
|
|
waheed_rose2004
Guest
|
|
«Reply #33 on: November 27, 2004, 04:12:31 PM » |
|
wow wow bewafa.....very nice.......too good lovebites....
|
|
|
Logged
|
|
|
|
bazish
Guest
|
|
«Reply #34 on: November 27, 2004, 08:05:52 PM » |
|
Wah Kia Baat Hai LoveBites...
|
|
|
Logged
|
|
|
|
bazish
Guest
|
|
«Reply #35 on: November 27, 2004, 08:08:00 PM » |
|
Rone se aur ishq mein bebaak ho gaye Dhoye gaye ham aise ki bas paak ho gaye
Kahataa hai kaun naalaa-e-bul_bul ko beasar Parde mein gul ke laakh jigar chaak ho gaye
Karane gaye the us se tagaaful kaa ham gilaa Kii ek hii nigaah ki bas Khaak ho gaye
Is rang se uthaai kal us ne 'Asad' kii naash Dushman bhii jis ko dekh ke Gamnaak ho gaye
|
|
|
Logged
|
|
|
|
bazish
Guest
|
|
«Reply #36 on: November 27, 2004, 08:28:38 PM » |
|
Aap ko bhuul jaayen ham itane to bevafaa nahin Aap se kyaa gilaa karen aap se kuchh gilaa nahin
Shiishaa-e-dil ko todanaa unakaa to ek khel hai Hamase hii bhuull ho gai unakii koii Khataa nahin
Kaash vo apane Gam mujhe de dein to kuchh sukuun mile Vo kitanaa badanasiib hai Gam hii jise milaa nahiin
Karanaa hai gar vafaa to kyaa kaise vafaa ko chhod duun Kahate hain is gunaah kii hotii koi sazaa nahiin
|
|
|
Logged
|
|
|
|
lovebites
Guest
|
|
«Reply #37 on: November 28, 2004, 04:26:02 AM » |
|
zaberdast bazish..........!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Nedura!
Guest
|
|
«Reply #38 on: November 28, 2004, 07:04:25 AM » |
|
wahhhhhhh kya baat hai bazish bahut achhe
|
|
|
Logged
|
|
|
|
lovebites
Guest
|
|
«Reply #39 on: November 28, 2004, 08:10:57 AM » |
|
*~~.....Kaash koyi hum se bhi poochey raat gaey tuk kyun jaagte ho main duriya se bhi durta hoon tum duriya se bhi gehrey ho koun si baat hai tum mein aisi ItNe AcHaY kYuN lugTe Ho.....~~*
|
|
|
Logged
|
|
|
|
waheed_rose2004
Guest
|
|
«Reply #40 on: November 28, 2004, 03:24:07 PM » |
|
*~~.....Kaash koyi hum se bhi poochey raat gaey tuk kyun jaagte ho main duriya se bhi durta hoon tum duriya se bhi gehrey ho koun si baat hai tum mein aisi ItNe AcHaY kYuN lugTe Ho.....~~* wow wowow bahot khoobsurat likha aap ne lovebites....very nice diljale...........
|
|
|
Logged
|
|
|
|
lovebites
Guest
|
|
«Reply #41 on: November 28, 2004, 04:07:25 PM » |
|
*~~.....Kaash koyi hum se bhi poochey raat gaey tuk kyun jaagte ho main duriya se bhi durta hoon tum duriya se bhi gehrey ho koun si baat hai tum mein aisi ItNe AcHaY kYuN lugTe Ho.....~~* wow wowow bahot khoobsurat likha aap ne lovebites....very nice diljale........... HuMm~! Diljale well thanksssssssss
|
|
|
Logged
|
|
|
|
bazish
Guest
|
|
«Reply #42 on: November 28, 2004, 08:14:29 PM » |
|
very Nice Lovebite..but i dont think its like DILJALE..its a pure Madhoshi of Love.
|
|
|
Logged
|
|
|
|
lovebites
Guest
|
|
«Reply #43 on: November 28, 2004, 09:09:10 PM » |
|
hama waqt ranj-o malal kya jo guzar gaya woh guzar gaya use yaad karke na dil dukha jo guzar gaya woh guzar gaya
na gila kiya na khafa hue yunhi raste me juda hue na tu bewafa na main bewafa jo guzar gaya woh guzar gaya
woh ghazal ki aik kitab tha woh gulon me aik gulaab tha zara der ko koi khwab tha jo guzar gaya woh guzar gaya
woh udas dhoop samet kar kahin waadiyon me utar chuka use ab na de mere dil sada jo guzar gaya woh guzar gaya
yeh safar bhi kitna taweel hai yahan waqt kitna qaleel hai kahan laut ker koi aayega jo guzar gaya woh guzar gaya
woh wafayen thin ke jafayen thin yeh na soch kis ki khatayen thin jo tera hai usko gale laga jo guzar gaya woh guzar gaya
koi farq shah-o gada nahi ke yahan kisi ki baqa nahi ye ujaad mahlon ki sun sada jo guzar gaya woh guzar gaya
tujhe aitbar-o yaqeen nahi nahi dunya itni buri nahi na malal kar mere saath aa jo guzar gaya woh guzar gaya
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|