Mausam.e.Hijr

by majid on February 15, 2009, 08:29:51 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 3051 times)
majid
Guest
Reply with quote





                  Udaas  Har  Manzar , Aur  Mausam-e-Hijr Zehar Hoga
                  Kya  Mujhsey Bichhadna , Uske  Liye  Bhi  Qahar  Hoga

                  Na  Jaane  Kitne  Zamaney  Guzre  ,  Usse  Dekhe  Bina
                  Kya  Aaj  Bhi  Us  Bewafa  Ka  Chehra , Munavvar Hoga

                  Yeh Tanhaai Aur Yeh Dard  Ke Udte  Hue  Kaale Baadal
                  Kya  Uski  Aankhon  Se   Bhi  Behta  ,  Samunder  Hoga.

                  Chhoda Uske Waste Sab Par Usne Mujhe Hi Chhod Diya
                  Ab Khuda  Hi  Jaane  Aakhir  Kiska Faisla , Behtar Hoga
  
                  Kho  Kar  Usse  Aaj  Ajib  Si  Uljhano  Mein Rehta Hoon
                  Kya  Uske  Zehan  Mein  Bhi , Sawaalon  Ka Sehar Hoga.!!!




                                            {Shihab}
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Hijr-o-visaal by Brijinder in Shayri for Khumar -e- Ishq
hijr :( by anmolkhan in Shayri for Dard -e- Judai
Hijr Mausam me ye Barish ka Barasna kaisa... by awais_007 in Occassion Specific Poetry
hijr-o-visaal by Brijinder in Shayri for Khumar -e- Ishq
Hijr by drpandey in Ghazals
sajid_ghayel
Guest
«Reply #1 on: February 15, 2009, 01:50:52 PM »
Reply with quote
Kasam khuda ki aisa lagta hain Shihab ne Ghayel ka dil nikal ke rakh diya is ghazal me specially 2nd sher  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Hone ko to kehde GHAYEL, bohat kuch hua hoga
Raat ke kisi pehar me, woh bhi roya hoga

Usne bhi kabhi yaad kiya, hoga meri wafao ko
Woh bevafa kabhi khud par bhi hasa hoga

Bas yaar..... Crying
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #2 on: February 15, 2009, 04:05:21 PM »
Reply with quote
Wah Waah waah iam speechless yaar,.
Kya Ghazab Ka Likha Hai Majid Bhai,.

Subhan Allah, Allah Tumhe Aur Nawaaze Mere Bhai,.
Yunhi LIkhte raho,.

Khush Raho,.
Logged
chitralsony
Guest
«Reply #3 on: February 15, 2009, 04:59:11 PM »
Reply with quote
jo bay wafa hay tari nazer may wo kitna tanha hoga
hokay  majboor kisi baat say wo jo   bhichra hoga
keh kay osko baywafa tu nay to  drd may kami krli
tu nay  socha kay is baat pay kysay wo terpa hoga
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #4 on: February 16, 2009, 07:36:33 AM »
Reply with quote
jo bay wafa hay tari nazer may wo kitna tanha hoga
hokay  majboor kisi baat say wo jo   bhichra hoga
keh kay osko baywafa tu nay to  drd may kami krli
tu nay  socha kay is baat pay kysay wo terpa hoga

Waah Kyua Lines Hain Yaar, Bohat Achche,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #5 on: February 16, 2009, 07:46:04 AM »
Reply with quote
Good Job Chitral Ji...

Shaam Ke Hote Hi Khud Ko Sanwaara Hoga
Khushiyon Tale Apna Waqt Guzaara Hoga

Jisne Sheesa Samjahkar Tod Diya Dil Mera
Aap Hi Bole Wo Shakhs Kaise Bechara Hoga



Nice One Again Bhai,.

Kuch To Majbooriyaab Hui Hongi,.
Yunhi Koi Bewafaa Nahi Hota,.

________________--NM--
Logged
Roja
Guest
«Reply #6 on: February 16, 2009, 07:58:25 AM »
Reply with quote
Wah sab ne bahut accha likha hai. Nice thread...
Sajid ji and Majid aap dono ka likha bahut accha laga padkar
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #7 on: February 16, 2009, 08:01:00 AM »
Reply with quote
Shukaria Bhai And Nice Sharing

Kaash Koi Majburi Hoti To Baat Hi Alag Hoti
Usne To Mujhe Chaha Hai Zaruraton Ki Tarha


Nice One,.

Khush Naseeb Hai Tu, Ke Kisi Ki Zaroorat To Banaa "Maajid,.
Mujhse To Is Jahaan Me, Kisi Ne Nazar Bhi Theek Se Na Milaai
Logged
Roja
Guest
«Reply #8 on: February 16, 2009, 08:02:11 AM »
Reply with quote
Nice One,.

Khush Naseeb Hai Tu, Ke Kisi Ki Zaroorat To Banaa "Maajid,.
Mujhse To Is Jahaan Me, Kisi Ne Nazar Bhi Theek Se Na Milaai

aha...  Usual Smile
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #9 on: February 16, 2009, 08:25:39 AM »
Reply with quote
Nazuk Se Kuch Armaan Tootkar Bikhar Jaate Hai
Udaash Tab Har Manzar Aankhon Ko Nazar Aate Hai.

Dil Hi Jaanta Hai Azeem Kya Guzarti Hai Dil Par
Jab Log Matlab Nikalne Par Phir Chhod Jaate Hai



Us Manzar Ki Na Baat Dohraao "Maajid,.
Aaj Bhi Wo Samaan Meri Aankhon Mein Phirta Hai,.

Kisi Ke Thukraane Ke Baad Maine ye Jaan Liya,.
Ke Kaise Insaan, Apni Hi Nazar Se Girta Hai,.

___________________________-Jaanasheen-
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #10 on: February 18, 2009, 08:54:37 AM »
Reply with quote
Kisi Ko Andaaz Na Ho Saka Mere Dard Ka
Mein Aksar Haal.e.Dil Chhupa Leta Hoon.

Di Hai Khuda Ne Mujhe Bhi Kuch Khubiyan
Azeem Gir Ke Khud Ko Phir Sambhal Leta Hoon




Great Lines Yaar Bohat Achche,.

Main Tootke Giraa Bhi To Taaron Ki Taraah,.
Jinka Tootna Bhi Zamaane Ko Khushi Deta Hai,.

Tera Tootna To Tha Darakht Ke Phal Ki Tarah,.
Jo Giraa Bhi To Ek Naye Paode Ko Zindagi Deta Hai,.

Tera Andaaz Judaa,.
Mera Andaaz Judaa,.

__________________________-Jaanasheen-
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #11 on: February 18, 2009, 09:07:42 AM »
Reply with quote
Wah Bhai Kya Baat Kahin Hai.

Gar Mera Andaaz.e.Ghum Tujhse Juda Hota
To Aaj Teri Baat Pe Mera Ashq Na Gira Hota.




Thank U, And Nice Lines Yaar,.

Andaaz Sabke Bhale Judaa Hote Hain,.
Lekin Sabke Gham Ek Saa Hote Hain,.

Tere Rone Ka Bahaana Alag Hai,.
Mere Rona Ka Fasaana Alag Hai,.

Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #12 on: February 18, 2009, 09:34:37 AM »
Reply with quote
Koi Bhi Ho Bahaana Azeem Par Ashqon Ka Rang To Ek Hai
Kitne Alag Kyun Na Ho Dard Par Isse Sehta To Dil Ek Hai





Waah Kya Khoob Kaha Hai Bhai,.

Dil Ek Hai Isliye To Dard Ka Zyaada Ehsaas Hota Hai,.
Dil Ka Koi Saathi Nahi, Tabhi To Wo Tanha Aur Udaas Hota Hai,.

Logged
salma786
Guest
«Reply #13 on: February 19, 2009, 09:30:27 AM »
Reply with quote
Bahoot khoob shihab ji n azeem ji:thumbup:
Logged
Muhammed
Guest
«Reply #14 on: April 05, 2009, 06:34:39 AM »
Reply with quote
  Udaas Har Manzar Aur Mausam.e.Hijr Zehar Hoga
   Kya Mujhse Bichhadna Uske Liye Bhi Qahar Hoga

   Na Jaane Kitne Zamaney Guzre Usse Dekhe Bina
   Kya Aaj Bhi Us Bewafa Ka Chehra Munavvar Hoga

   Ye Tanhaai Aur Ye Dard Ke Udte Hue Kaale Baadal
   Kya Uski Aankhon Se Bhi Behta Samunder Hoga.

   Chhoda Uske Waste Sab Par Usne Mujhe Hi Chhod Diya
   Ab Khuda Hi Jaane Aakhir Kiska Faisla Behtar Hoga
 
   Kho Kar Usse Aaj Ajib Si Uljhano Mein Rehta Hoon
   Kya Uske Zehan Mein Bhi Sawaalon Ka Sehar Hoga.!!!


Shihab baba...baawre ho gaye ho kya..? Itna Acha bhi koi Likhta Hai Kya... 
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 15, 2024, 12:53:06 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.114 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer