Mein, mahaz eik nazar key liye beychain rahaa!

by abdbundeli on July 08, 2008, 05:22:41 PM
Pages: 1 2 [3] 4 5
ReplyPrint
Author  (Read 4330 times)
sajid_ghayel
Guest
«Reply #30 on: February 14, 2009, 07:38:45 AM »
Reply with quote
Wah Wah Abd Bhai and Angel super kya mehfil sajayee hain... Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
abdulqadeer
Guest
«Reply #31 on: February 14, 2009, 08:00:16 AM »
Reply with quote

Jaane Ko To Chale Bhi Jaayein Hum Uski Panahon Mein,
Par Ek Bhatakte Hue Musafir Ka Aashiyaan Kahan Hoga??


Bahoth umda ashar likha hai apne Angel excellent !!

Qadeer Toopchi
Logged
angel4u
Guest
«Reply #32 on: February 14, 2009, 08:44:38 AM »
Reply with quote
Beyhtar hai ham raheyn na kisee ki panaah mein!
Rahteyn hain sab, kisee na kisee khwaabgaah mein!
Apnee bhi khwaabgaah zameen par banaaiye:
Kahiye, ki, "Aaiye isee panaahgaah mein!!"

                              - abd bundeli



Khwaabon ki mehfilon mein tootte taare hai ye,
naha aaye jo dard ki chandni me saare hia ye,
Ek chadar hi hia ye jispe daag laga teri bewafayi ka,
ise roshni na samajh, teri di hui aag ke sharare hai ye...
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #33 on: February 14, 2009, 09:21:43 AM »
Reply with quote
Wah Wah Abd Bhai and Angel super kya mehfil sajayee hain... Clapping Smiley Clapping Smiley
Thanks Saijd bhaayi!
              - abd bundeli
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #34 on: February 14, 2009, 09:36:41 AM »
Reply with quote

Khwaabon ki mehfilon mein tootte taare hai ye,
naha aaye jo dard ki chandni me saare hia ye,
Ek chadar hi hia ye jispe daag laga teri bewafayi ka,
ise roshni na samajh, teri di hui aag ke sharare hai ye...

Beywafaayi huyi hai, go ki, numoodaar yahaan;
Woh kisee aur key liye hai wafaadaar wahaan!
Ham ko lagtaa hai baawafaa hain akeyley ham hee;
Aur bhi saikrhoun hotey hain wafaadaar jahaan!!

                         - abd bundeli


Logged
angel4u
Guest
«Reply #35 on: February 14, 2009, 02:38:00 PM »
Reply with quote
Beywafaayi huyi hai, go ki, numoodaar yahaan;
Woh kisee aur key liye hai wafaadaar wahaan!
Ham ko lagtaa hai baawafaa hain akeyley ham hee;
Aur bhi saikrhoun hotey hain wafaadaar jahaan!!

                         - abd bundeli





Ek hi tarah se dhadakta hia uska dil bewafayi ke baad,
Jaise Kaanta hasta hai hamesha phool bikhar jaane ke baad,
socha tha mere ashqon ko sametega apni palkon ki qataron mein,
jhulsa diya uski aankhon ki berukhi ne patthar banne ke baad...

Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #36 on: February 14, 2009, 03:16:15 PM »
Reply with quote

Ek hi tarah se dhadakta hia uska dil bewafayi ke baad,
Jaise Kaanta hasta hai hamesha phool bikhar jaane ke baad,
socha tha mere ashqon ko sametega apni palkon ki qataron mein,
jhulsa diya uski aankhon ki berukhi ne patthar banne ke baad...


Aadmi, aadmi hai, koyi farishtah to naheen;
Jab ki, "Shaitaan farishtah hai!", log kahtey hain!
Wafaaiyoun key, beywafaaiyoun key kissey hain;
Azal sey, katm-e-adam sey, qadam bahaktey hain!!

                          - abd bundeli
Logged
angel4u
Guest
«Reply #37 on: February 14, 2009, 03:54:13 PM »
Reply with quote

Aadmi, aadmi hai, koyi farishtah to naheen;
Jab ki, "Shaitaan farishtah hai!", log kahtey hain!
Wafaaiyoun key, beywafaaiyoun key kissey hain;
Azal sey, katm-e-adam sey, qadam bahaktey hain!!

                          - abd bundeli


Behekte hai qadam maana humne aye dost,
kabhi kabhi mohabbat me wajood behekte hia,
beh jaaye har ek qatra mohabbat mein jo,
wohi lahoo ke dariya mehekte hai...
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #38 on: February 14, 2009, 04:49:31 PM »
Reply with quote
Behekte hai qadam maana humne aye dost,
kabhi kabhi mohabbat me wajood behekte hia,
beh jaaye har ek qatra mohabbat mein jo,
wohi lahoo ke dariya mehekte hai...


Rooh mein ishq aadmi key hai, aurat key hai!
Ishq hotaa na, to insaan bhi naheen hotaa!!
Ishq insaan key wuzood sey waabastah hai;
Ishq hotaa na, to shaitaan bhi naheen hotaa!

Kamaal-e-ishq hai, ki, saat arab hain ab ham!
Wafaaiyaan hain bahut, beywafaaiyaan hain kam!
Yeh bhi sach hai, ki, bahut hotey hain aurat pai sitam;
Fir bhi khushiyaan hain bahut; aur, bahut kam hain gam!!

                                      - abd bundeli

Logged
angel4u
Guest
«Reply #39 on: February 14, 2009, 04:57:08 PM »
Reply with quote
Rooh mein ishq aadmi key hai, aurat key hai!
Ishq hotaa na, to insaan bhi naheen hotaa!!
Ishq insaan key wuzood sey waabastah hai;
Ishq hotaa na, to shaitaan bhi naheen hotaa!

Kamaal-e-ishq hai, ki, saat arab hain ab ham!
Wafaaiyaan hain bahut, beywafaaiyaan hain kam!
Yeh bhi sach hai, ki, bahut hotey hain aurat pai sitam;
Fir bhi khushiyaan hain bahut; aur, bahut kam hain gam!!

                                      - abd bundeli



Gamon Ki Numaayish Ab Karte Nahin Hai Hum,
Isliye Log samajhte Hai Ghamzada Nahi Hai Hum,
Chhuke dekhe koi mere dilke aayine ko,
dekhun jo khudko to bas inme dikhte hai gam...
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #40 on: February 14, 2009, 05:14:12 PM »
Reply with quote
Gamon Ki Numaayish Ab Karte Nahin Hai Hum,
Isliye Log samajhte Hai Ghamzada Nahi Hai Hum,
Chhuke dekhe koi mere dilke aayine ko,
dekhun jo khudko to bas inme dikhte hai gam...


Gamoun sey torhiye, khushiyoun sey jorhiye rishtah!
Chhorhiye doosrey, apnoun sey jorhiye rishtah!
Yuun to rishtoun mein zakhm aakey chaley jaatey hain;
Gar ho naasoor, to, beyhtar hai chhorhiye rishtah!!

                          - abd bundeli

Logged
angel4u
Guest
«Reply #41 on: February 14, 2009, 05:18:37 PM »
Reply with quote

Rishte Aise Tootte to Alag Hoti Daastaanein,
Khamoshi Khoti Wajood Apna, Na Hote Sannatein,
Khushiyon Ko yunhi Paana Bas Mein Nahi Sabke,
Milti Khushi Har Ek Ko To Na Hoti Gam Ki Silwatein...
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #42 on: February 14, 2009, 06:10:22 PM »
Reply with quote

Rishte Aise Tootte to Alag Hoti Daastaanein,
Khamoshi Khoti Wajood Apna, Na Hote Sannatein,
Khushiyon Ko yunhi Paana Bas Mein Nahi Sabke,
Milti Khushi Har Ek Ko To Na Hoti Gam Ki Silwatein...


Aisaa hai gar, to, kyoun na gam khushee sey jiye jaayen?
Do din ki zindagee ko kuchh sukoon diye jaayen?
Lagtaa hai hamain zahr gar aab-e-hayaat bhi;
Peenaa hai, to, fir kyoun na jaam-e-lutf piye jaayen?

                             - abd bundeli

Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #43 on: February 14, 2009, 06:13:15 PM »
Reply with quote
Wah wah bohat maza aa raha is mehfil ka bohat khoob bhai and Angel too good  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #44 on: February 15, 2009, 04:04:11 AM »
Reply with quote
Wah wah bohat maza aa raha is mehfil ka bohat khoob bhai and Angel too good  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Sajid ji! Shukriyah!
           - abd bundeli
Logged
Pages: 1 2 [3] 4 5
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 09:52:46 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.119 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer