Poojaji Sach puchhiye aap ka jawab padh k dil bagh bagh ho gaya....kitna detail mai aapne vishleshan kiya hai superb...
Kavyatmak jawab bhi aapka ati sunder hai....
Meri lines aapko achhi lagi..uske liye Dhanyawad...Aapne utsahit kiya tou kalam kuchh aur lines likh gayi....pesh hain...
Zindagi hamesha sawaal karti hai
Hum ta-umra jawab dhundhte hain
Uttar bhi sahi-galat milte hain
Par sach hai Tazurbe k saath arth badalte hain
Dharm aur karm ka chakkar bhi wahi purana hai
Pehle anda aaya ya murgi,iska hal kisne jaana hai
Man mai ho vishwaas tou basant basant he hote hain
Erade ho majboot tou,saari kaaynaat saath hoti hai
(The Alchemist by Paulo Coelho tou padhi hogi v om shanti om bhi dekhi hogi)
Wah wah wah kaya baat hai…. Yakin mane shayad 5th class mai thi jab pahli baar pandit ji ko sawal kiya tha.. bacha samjh kar hans diye… uske baad bhi kai baar discussion chali magar koi jawab santushat nahi kar paya is man ko… ab umar kahe ya jeevan dekh chuke hai yah samjhe… magar apki lines man ko bahoot santosh de gai hai… shukaria!!!
Yah do line bahoot sahi kahe hai apne, lubo per hansi bhi aai aor ek achambha bhi hua ki… kin baato ki wajah se yah lines apki kalam likh gai…waise apki yah do line bahoot kuch likhneko kah rahi hai.. dekhein kalam kaya kahti hai...:
Zindagi ko yu belagaam n aap chhodiye
Kuchh tou samaj k niyamo se aap jodiye
Yakinan apne yah sahi kaha hai.. magar kai baar insaan niarasha main he marne ki nahi sochta.. kai baar usko kisi wajah se itna sakoon aa jaata hai ki sari insecurity, duvidha door ho jaati hai aor dil kah uthta hai ki ab to mout bhi aa jaaye koi parwah nahi.. shayad kuch aise bhav the jab antim Morr ka likha gaya… aor kuch wo line jayada rythem mai bhi chali gai
Zindagi to hamesha samjhati hi rahti hai
Waqat ke sath magar Arth badalati bhi rahti hai
Arth jo atta hai samjh umar 15 main insaan ko
Wo he arth umar 30 main zindagi badalti rahti hai
Sahi karam he hai sahi dharma aor dharma per chalna hai sahi karm
Yah dohari baat mujhko hamesha uljhaati rahti hai
Man chahe dekhu basant, per wo basant jaise ho agar
Basant ki patjhar magar, Kal ho na ho bas itna Pooja ko kahti rahti hai