Mere Humsafar.......!

by Delicate_Doll on February 21, 2007, 12:01:36 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1508 times)
Delicate_Doll
Guest
Reply with quote
Unke pyaar ko main kyun na samaj payi,
Ek choti si deri ki,itni badi saza paa gayi.

Unse bichadne ka khuwab jab bhi dekha,
Meri rooh kap uthi aur aankho me ashq dekha.

Jin khusiyon ka mujhe barson tha intezar,
phiki padh gayi ab o khusiyan,kar k dil ko bekarar.

Akele hain wo uss jahan mein khuda,
Meri galti ki na dein tu unko tanhayee ki saza.

Raat bhar unki khyalaon mein doobti thi,
Har waqt unki salamati ki dua mein karti thi.

Kaise tod doon unki ye khusiyon ka bharam,
Muskaan na cheen unki,ae-khuda itna kar de tu mujhpe karam.

Samne manzil tha,phir bhi main kyun na samaj payi,
Ek choti si galti ki aur apne sapno ka ghar tod aayi.

Kaise bayan karon Mere Humsafar,meri ye majboor,
Ghabrati hu main,kahin aa na jaye dilon mein doori.

khasmakhas mein ab rehti hu main,
Kaise saja lain sapnay apni udaas ankhoon main.

Judai ke gham se dil roo deta hai,
Judai hi naseeb me hoto,maut kyun nahi aati hai.

Bewafa nahi hu mein,lekin wafa na kar payi,
Tere pyaar ki kabil kyun na ban payi.

Khusiyan cheeni hai maine unki,Ya khuda mujhe maut de de,
Khudko unki zindagi se door ki hai,mujhe tanhayi de aur unne abaad kar de...!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
::::::: Mere Humsafar :::::::: by Saba_Saba in Shayri-E-Dard
Mere Humsafar by Nomi786 in Songs & Lyrics
Aye Mere Humsafar by angel4u in Shayri-E-Dard
***Mere Humsafar*** by AVTAR RAYAT in Shayri for Khumar -e- Ishq
ميرے ہم سفر، ميرے ہم نشن Mere Humsafar Mere Humnashiin by ehsaas chahat ka in Share: Poetry of Pain
Shikha12
Guest
«Reply #1 on: February 21, 2007, 12:47:18 PM »
Reply with quote
Nice one... Salma... Usual Smile
Logged
samnoj
General Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
19 days, 10 hours and 36 minutes.

always smile

Posts: 15216
Member Since: Aug 2004


View Profile
«Reply #2 on: February 23, 2007, 06:49:31 AM »
Reply with quote
bahut ache salma

ye tumne likha hai?
Logged
Delicate_Doll
Guest
«Reply #3 on: February 23, 2007, 12:52:07 PM »
Reply with quote
Quote from: "Shikha12"
Nice one... Salma... Usual Smile


Thanks jiji... chalo kisko toh pasand aaya.. :oops:
Logged
Delicate_Doll
Guest
«Reply #4 on: February 23, 2007, 12:55:40 PM »
Reply with quote
Quote from: "samnoj"
bahut ache salma

ye tumne likha hai?


thanks a lot mateeeeeeeeeeeeeeeen  glasses2

kyun bhai kyun ..itna bada shak hai tumko  :lol:

haan sar fod fod k likha ..kuch zyada bada hogaya likhte likhte glasses2

haan maine hi likha..aacha nahi likha ..pata nahi kya likh diya  glasses2  :oops:

fir socha abhi band karti hu ,warna aise hi likhte chale jaate na  Shocked
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #5 on: February 23, 2007, 06:03:15 PM »
Reply with quote
nice  Salma.........   jo  bhi likhi  ho  jaise bhi  ....accha hai.....main  bhi 2-4  lines aap ki  khidmat mein likhta hoon... tongue3

Kaun hansayega tumhein kis se jaaker poochoon
zindagi k is mod per tum khadi rahogi  kabtak
kabtak takdeer youn tumse khel khelti  rahegi
nakaam hasraton ko lekar roti rahogi kabtak.....
Logged
Delicate_Doll
Guest
«Reply #6 on: February 24, 2007, 09:36:50 AM »
Reply with quote
Quote from: "waheed_rose2004"
nice  Salma.........   jo  bhi likhi  ho  jaise bhi  ....accha hai.....main  bhi 2-4  lines aap ki  khidmat mein likhta hoon... tongue3

Kaun hansayega tumhein kis se jaaker poochoon
zindagi k is mod per tum khadi rahogi  kabtak
kabtak takdeer youn tumse khel khelti  rahegi
nakaam hasraton ko lekar roti rahogi kabtak.....


Thanks a lot waheed glasses2

jo bhi likha hai jaise bhi ...mathlab bina padhe reply diye ho kya  Shocked

aacha hai ya nahi pata nahi..bas aise hi likh diya :oops:

n haan tumne ek dam zabardast jawab diya hai :oops:

na poochon mujhe koun haseyega
jee lenge hum jahan bhi rehenge
khud se bas ek hi  fariyad aur dua hai
unne ke daman me phool aur humpe kaante barsaye
Logged
Delicate_Doll
Guest
«Reply #7 on: February 24, 2007, 09:37:50 AM »
Reply with quote
Main Khayal Hoon Kisi Aur Ka
Mujhe Sochta Koi Aur Hai
Sar-e-Aeenah Mera Aks Hai
Pas-e-Aaina Koyi Aur Hai


Main Kisi Key Dast-e-Talab Mein Hoon
To Kisi Keh Harf-e-Dua Mein Hoon
Main Naseeb Hoon Kisi Aur Ka
Mujhe Maangta Koyi Aur Hai


Ajab Aitabar-0-Bey Aitebaari
Key Darmiyan Hai Zindaigi
Main Qareeb Hoon Kisi Aur Key
Mujhe Jaanta Koyi Aur Hai


Mujhe Doston Ka Pata Nahin
Mujhey Dushmanon Ki Khabar Nahin
Meri Daastan Koyi Aur Thi
Mera Waaqiya Koyi Aur Hai


Jo Milein Kabhi Unhein Poochna
Dekhna Unhein Ghaur Sey
Jinhein Raastey Mein Khabar Hoyi
Keh Yeh Raasta Koyi Aur Hai


Jo Meri Reyazat-e-Neem Shab
Ko Saleem Subh Na Mil Saki
To Iss Key Ma'ane To Yeh Huwa
Keh Mera Humsafar Koyi Aur Hai
nm
Logged
paani
Guest
«Reply #8 on: February 24, 2007, 10:13:48 AM »
Reply with quote
hey good one Doll
Logged
Delicate_Doll
Guest
«Reply #9 on: February 28, 2007, 11:26:43 AM »
Reply with quote
Thanks a lot paani :oops: Usual Smile
Logged
samnoj
General Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
19 days, 10 hours and 36 minutes.

always smile

Posts: 15216
Member Since: Aug 2004


View Profile
«Reply #10 on: February 28, 2007, 11:53:38 AM »
Reply with quote
bahut bahut acha likha hai salma
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 02:29:28 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.121 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer