MERI WAFA

by SADIQA JAWED on October 31, 2004, 05:44:25 PM
Pages: [1] 2 3 4 5
ReplyPrint
Author  (Read 6037 times)
SADIQA JAWED
Guest
Reply with quote
MERI WAFA FAREEB THI MERI WAFA PAY KHAK DAL
TUJH SA HI KOI BAWAFA TUJH KO MILY KHUDA KARY
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Meri wafa kay kabil nahin ho tum by sarafz in Shayri-E-Dard
Meri Wafa ko, Itna rulaaty kayun ho... by Pooja in Critics and Review only Forum
~meri wafa meri maut ki waje bangayi..~ by roshni246 in Shayri-E-Dard « 1 2 ... 6 7 »
meri wafa by injured.warrior in Shayri for Khumar -e- Ishq
Ae jaane wafa meri Zustuju hai tu by sarfaraz_sagar in Shairy-e-Dost (Friendship Poetry)
sharmaarunkumar
Guest
«Reply #1 on: November 28, 2004, 06:40:15 PM »
Reply with quote
Waah Ji Sadiqa Jawed ji!! Bahut Khoob!!!

Gair Kya Jaaniye Kyon Mujh ko Bura kahte hain!
Aap Kahte hain jo Aisa To Baza Kahte hain!

Waqai Tere Is Andaaz ko Kya Kahte Hain!
Na zafa kahte Hain Jisko Na Wafa Kahte hain!

Shikwa-e-Hizr karein Kis Dil se,
Hum Khud Apne ko bhi Apne se Juda Karte hain!


(NM)
Logged
SADIQA JAWED
Guest
«Reply #2 on: November 29, 2004, 02:55:39 PM »
Reply with quote
HMMMMMMM..........
KHOOL MAN... GOOD


 "Ham dil kee kahaani keh denge
Ham dil kee kahaani keh denge
Samjhe na jise tum aaNkhoN se
Wo baat zabaan se keh deNge

PhooloN ki tarah jab hoToN pe
Ik shoKH tabassum bikhrega
Dheere se tumhaare kaanoN meiN
Ik baat puraanee keh deNge

Izhaar-e-Wafa tum kya jaano
Ikraar-e-Wafa tum kya jaano
Ham zikr karenge GHairoN ka
Aur apnee kahaanee keh deNge

Mausam to baRa hee zaalim hai
Toofaan uTHaata rehta hai
Kuch log magar is halchal ko
Bad-mast javaanee keh deNge
Logged
sharmaarunkumar
Guest
«Reply #3 on: November 29, 2004, 03:07:50 PM »
Reply with quote
Thanks!!! & Very Lovely Lines!!! Tremendous !!!
Very Nice written Sadiqa jaweed ji!!
Logged
SADIQA JAWED
Guest
«Reply #4 on: November 29, 2004, 03:14:29 PM »
Reply with quote
:D... THNK U ARUN JEE...

Kabhi hum bhi khoobsorat thay
Kitaboon may bashi kushbo ki manind
Sanc sakin thi,
Buhat say un kahay lafzoon say taswirain banatay thay
Parindoon kay paroon pay nazam likh kar
Door kay deasson may basnay walay,
Logon ko sunatay thay,
Jo hum say door, laykin hamray pass rehtay thay,
Gaye din ki musafat jab kiran kay sath
Khirki say aangan may utarti thi
Tu hum kehtay thay
"Kay Aami Titliyoon kay par buhat khoobsorat hain"
Hamin mathay pay bosa do
Kay hum ko Titliyoon kay,
Jugnoon kay deas jana hay
Kay hum ko Rangon ki titli,
Roshni kay jugno awaz daytay hay.
Hamin mathay pay bosa do
Hamin mathay pay bosa do
Kabhi hum bhi khoobsorat thay
Logged
sharmaarunkumar
Guest
«Reply #5 on: November 29, 2004, 03:20:44 PM »
Reply with quote
Waah! Kya Baat Hai Bahut khoob Likha hai aapne ji! Sadiqa jawed ji!!!
Logged
SADIQA JAWED
Guest
«Reply #6 on: November 29, 2004, 03:29:38 PM »
Reply with quote
THNKX ARUN JEE....MAIN TO LIKHTI HI HON . BUT AP BHI BOHAT ACHA LIKHTY HAIN Usual Smile


Merri kaamat say tu kuch doost bhi jal jatay hain
Dushmanoo say bhi kuch agay hi, nikal jatay hain


Ghaer tu Ghaer hain,Ghaeroon say Gilla kia kerna
Kia kahien Unn ko jo teeer apnoo say chal jatay hain


Aasteenoo ko bacha kar tu buhat rakhtay hain
Phir bhi kuch saanp jo Anjanay main pal jatay hain


Aap iss Shakhs ko Pathar bhi nahi keh saktay
Garri_e_Ishq say pathar bhi pighal jatay hain


Apnay haathoon main liey phirti hay Dunia SOORAJ
Ik hum hain kay CharraGhoon say Behal jatay hain


Itni jaldi tu badaltay nahi Mossam bhi Zahra
Jitni teezi say Yahaan Loog baddal jatay hain
Logged
sharmaarunkumar
Guest
«Reply #7 on: November 29, 2004, 03:32:24 PM »
Reply with quote
Waaaah!! Waaaah! waaah! bahut hi Khoobsoorat lines!!! hain! Sadiqa ji!!


>Aasteenoo ko bacha kar tu buhat rakhtay hain
Phir bhi kuch saanp jo Anjanay main pal jatay hain<  Just Superb!!!
Logged
SADIQA JAWED
Guest
«Reply #8 on: November 29, 2004, 03:38:23 PM »
Reply with quote
:D

HMM THNK U ARUN , TAHNK U VERY MUCH ......

Laut kar ana bhi bhool jao, itne duur mat jana
Chah kar bhi na palat pao, itne duur mat jana

Ye fasley har rabta bhi phir torr dain
Mere bad tum mujhe bolao, itne duur mat jana

Tumhari har baat pe hai dil ko aitebar
Zaroorat pare ke yaqeen dilao,itne duur mat jana

Waqt ke saath har umeed hi mar jaye
Ye bhi ke tum wapis aao,itne duur mat jana

Kuch na baqi rahe phir humare darmiyan
Har yaad ko tum bhulao,itne duur mat jana
Logged
sharmaarunkumar
Guest
«Reply #9 on: November 29, 2004, 03:41:55 PM »
Reply with quote
Wah Ji gazab gazab!! gazab!!! Excellent written Sadiqa ji!!!
Logged
SADIQA JAWED
Guest
«Reply #10 on: November 29, 2004, 03:54:49 PM »
Reply with quote
HAHAH...THNK U THNK U ...PASAND KARNY N APPRICIATE KARNY K LIYH VERY VERY THNKX JEE...

Rahnay do kam az kam roh ko is jisam may
Umeed kay setaroon say sajaon ga is ko
Logged
lovebites
Guest
«Reply #11 on: November 29, 2004, 04:38:49 PM »
Reply with quote
waooooooo Sadiqa kya collection hai ......!

Apna Gham Bhool Gaye, Teri Jafa Bhool Gaye
Hum To Har Baat Mohabbat Ke Siwa Bhool Gaye

Hum Akele Hi Nahin Pyaar Ke Diwaane Sanam
Aap Bhi Nazren Jhookaanen Ki Adaa Bhool Gaye

Ab To Socha Hai Ke Daaman Hi Tera Thaamenge
Haath Jab Humne Uthaaye Hain Dua Bhool Gaye

Shukr Samjho Ya Ise Apnee Shikaayat Samjho
Tumne Wo Dard Diya Hai Ke Dawa Bhool Gaye
Logged
Nedura!
Guest
«Reply #12 on: November 29, 2004, 06:36:00 PM »
Reply with quote
wahhhhhhh sadiqa wahh arun wahhh lovebites

bahut achhi shayari hai !!!!!!!!
Logged
sharmaarunkumar
Guest
«Reply #13 on: November 29, 2004, 06:38:42 PM »
Reply with quote
Shukriya Nedura ji!! N Very Nice written Lovebites ji!!
Logged
lovebites
Guest
«Reply #14 on: November 29, 2004, 07:03:18 PM »
Reply with quote
Thanks a lot u both Nedura and Arun...........!
Logged
Pages: [1] 2 3 4 5
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 09, 2024, 01:43:29 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.091 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer