MERI WAFA

by SADIQA JAWED on October 31, 2004, 05:44:25 PM
Pages: 1 [2] 3 4 5
ReplyPrint
Author  (Read 6147 times)
SADIQA JAWED
Guest
«Reply #15 on: November 30, 2004, 07:17:35 AM »
Reply with quote
THNK NEDURA , ARUN JEE. VERY THNKX
N ITS KHOOL LOVEBITES...TOO GOOD
KEEP WRITTING FRIENDS..!!!!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Meri wafa kay kabil nahin ho tum by sarafz in Shayri-E-Dard
Meri Wafa ko, Itna rulaaty kayun ho... by Pooja in Critics and Review only Forum
~meri wafa meri maut ki waje bangayi..~ by roshni246 in Shayri-E-Dard « 1 2 ... 6 7 »
meri wafa by injured.warrior in Shayri for Khumar -e- Ishq
Ae jaane wafa meri Zustuju hai tu by sarfaraz_sagar in Shairy-e-Dost (Friendship Poetry)
SADIQA JAWED
Guest
«Reply #16 on: November 30, 2004, 07:23:35 AM »
Reply with quote
Apnaiy kirdar-e-Azmat ko rusawa na kiya hum nai
Dhookhiy tu buhat khaye per dhookha na Diya hum nai
Logged
lovebites
Guest
«Reply #17 on: November 30, 2004, 07:24:32 AM »
Reply with quote
Quote from: "SADIQA JAWED"
THNK NEDURA , ARUN JEE. VERY THNKX
N ITS KHOOL LOVEBITES...TOO GOOD
KEEP WRITTING FRIENDS..!!!!


Shukriya with Taslemat's...........!
Logged
sharmaarunkumar
Guest
«Reply #18 on: November 30, 2004, 07:53:10 AM »
Reply with quote
Nice Sadiqa ji!! Thanx!~!!
Logged
SADIQA JAWED
Guest
«Reply #19 on: November 30, 2004, 07:54:27 AM »
Reply with quote
Dard Woh Hai Jiska Koi Humdard Bhi Nahee
Manzil Woh Hai Jiska Koi Saathi Bhi Nahee
Sapnay Woh Hai Jismey Koi Apnay Bhi Nahee
Dil Woh Hai Jismey Koi Dhadkan Bhi Nahee
Aankhey Woh Hai Jismey Koi Hya Bhi Nahee
Sumander Woh Hai Hey JisMey Koi Lehreyn Bhi Nahee
Mohabat Woh Hai Hey JisMey Koi Manjil Bhi Nahee
Payar Woh Hai JisMey Koi Hya Bhi Nahee
Dil Woh Hai JisMey Koi Rah Bhi Nahee
Phool Woh Hai Jismey Koi Kushbo Bhi Nahee
Mahek Woh Hai Jis Mey Taazgi Bhi Nahee
Bhook Woh Hai Jiski Ko Payas Bhi Nahee
Payas Woh Hai Jiski Koi Aas Bhi Nahee
Zindagi Won Hai Jismey Koi Maza Bhi Nahee
Moot Woh Hai Jiska Koi Pata Bhi Nahee...
Logged
lovebites
Guest
«Reply #20 on: November 30, 2004, 07:55:56 AM »
Reply with quote
dil hijr ke dard se bojhal hai ab aan milo to behtar hai
iss baat say hamko kya matlab ye kaise ho, ye kyunkar ho

ik bheek ke dono kasey hein, ik pyas ke dono pyaley hein
ham kheti hein tum badal ho, ham nadya hein tum sagar ho

ye dil hai ke jalte seene mein aik dard ka phora alhar sa
na geet rahey na phoot bahey, koi marham ho koi nishtar ho

ham sanjh samey ki chaya hein, tum charhti raat ki chandarma
ham jatey hein tum aatey ho, phir mail ki surat kyunkar ho

ab husn ka rutba aali hai, ab husn se sehra khali hai
chal basti mei banjara ban, chal nagri mein sodagar ho

wo raatein chand ke saath gayeein, woh baatein chand ke saath gayeein
ab sukh ke sapne kya dekhein jab dukh ka suraj sar par ho

ab insha ji ko bulana kya, ab pyar ke deep jalana kya
jab dhoop aur chaya aik se hon, jab din aur raat barabar ho
Logged
SADIQA JAWED
Guest
«Reply #21 on: November 30, 2004, 08:15:33 AM »
Reply with quote
dil hijr ke dard se bojhal hai ab aan milo to behtar hai
iss baat say hamko kya matlab ye kaise ho, ye kyunkar ho

this is too good lovebites........khool
Logged
SADIQA JAWED
Guest
«Reply #22 on: November 30, 2004, 08:17:33 AM »
Reply with quote
abhi say haar ker beth gay lab-e-dariya
abhi to aik aur samnder uboor karna tha
Logged
lovebites
Guest
«Reply #23 on: November 30, 2004, 08:55:35 AM »
Reply with quote
Quote from: "SADIQA JAWED"
dil hijr ke dard se bojhal hai ab aan milo to behtar hai
iss baat say hamko kya matlab ye kaise ho, ye kyunkar ho

this is too good lovebites........khool


Skuriya...........and nicely written..............!
Logged
SADIQA JAWED
Guest
«Reply #24 on: November 30, 2004, 09:09:05 AM »
Reply with quote
Usual Smile....... SHUKRIYA...
Main nay cha ha us ko par izhar na karna aaya,
umer kat gai hamin pyaar na karna aaya
us nay mangi bhi too eik jodai mangi
aur hum thay kha hamin inkar na karna aaya...
Logged
lovebites
Guest
«Reply #25 on: December 01, 2004, 04:41:35 AM »
Reply with quote
Tehar Jana , Samajh Laina ,
K Ab Wapas Palatnay Ka Aamal Aagaz Hota Hay


Qadam Mushkil Say Uthtay Hon, Erada Dagmagaey To
Koe Madham SAy Lehjay Main Tumhay Wapas Bulaey To


Tehar Jana , Samajh Laina ,
K Ab Wapas Palatnay Ka Aamal Aagaz Hota Hay

Kabhe Tanhaeon Ka Dard Aankhon Main Samaey To
Koe Lamha Guzeshta Chahaton ka Jab Sataey To


Tehar Jana , Samajh Laina ,
K Ab Wapas Palatnay Ka Aamal Aagaz Hota Hay

Kese Ke Yaad Main Rona , Tumhay Bhee Khoon Rulaey To
Aagar Tum Say Tumhara Dil Kese Din Rooth Jaey To


Tehar Jana , Samajh Laina ,
K Ab Wapas Palatnay Ka Aamal Aagaz Hota Hay
Logged
sharmaarunkumar
Guest
«Reply #26 on: December 01, 2004, 04:47:31 AM »
Reply with quote
Waaah!! Nice all!!
Logged
SADIQA JAWED
Guest
«Reply #27 on: December 02, 2004, 07:12:15 AM »
Reply with quote
WAH.... GAZAB....GOOD.......... :D

BHOL SAKTA NAHI DIL YH MEA CHAHT TERI
AJ JO KUCH BHI HON MAIN , HAI ENYATA TERI
Logged
lovebites
Guest
«Reply #28 on: December 02, 2004, 09:57:42 AM »
Reply with quote
HuMm~!

Ek Jhoonka Sar Shaam Aya,
Mein Samjha Tera Pegaam Aya
Logged
SADIQA JAWED
Guest
«Reply #29 on: December 02, 2004, 02:02:22 PM »
Reply with quote
Neendein Meri Aankhon sey churaata hai wohi Shakhs
Sou jaaoon tou khawabon mein bhi Aata hai wohi Shakhs
Hur Zukhm ka khaaliq bhi koi aur nahin hai
Hur Zakhm par Murhum bhi lagaata hai wohi Shakhs
Logged
Pages: 1 [2] 3 4 5
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 03:31:01 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.105 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer