mohabbat meri tumhare liye...

by diya786 on March 07, 2008, 02:00:49 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1619 times)
diya786
Guest
Reply with quote
Rothey ho mujhse mujhe manana nahin aata
kyun tumhari hi tarah tumhe satana nahin aata

Jaan ban gaye ho meri yeh jaan lo tum
ab tumhare bina mujhe jeena nahin aata

Naaraz ho mujse tumhe manao kaise
apne is pyar ka yakeen tumhe dilao kaise

Kyun aitbaar nahin karte tum meri is mohabbat pe
ab iske siwa mujhe aur kuch kaam nahin aata

Kyun door chale gaye ho tum mujhse
mujhe to tumhe apne paas bulana nahin aata

Tumse door kaise chale jaye hum
humein tumse door hona nahin aata

Pyar karte hain tumse bahut yeh kaise kahein hum
hum jaante hain shayad humein yeh kehna nahin aata...
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
tumhare liye by aryan_mantri in Shairy-e-Dost (Friendship Poetry)
tumhare liye by gstyagi in Shayri for Dard -e- Judai
Likho uske liye jo tumhare liye khas hai by deepika_divya in Chit - Chat & General Discussion « 1 2 ... 25 26 »
Meri mohabbat ;-) mere dosto ke liye! by salma786 in Shayri for Khumar -e- Ishq
Mere liye meri mohabbat hai wo shaks...!!..Miru by Miru;;;; in Shayri for Khumar -e- Ishq
Roja
Guest
«Reply #1 on: March 07, 2008, 02:35:27 PM »
Reply with quote
Nice
Logged
Talat
Guest
«Reply #2 on: March 07, 2008, 02:42:00 PM »
Reply with quote
Bohot khoob Diya Applause
Logged
Pooja
Guest
«Reply #3 on: March 07, 2008, 03:43:04 PM »
Reply with quote
wah kaya baat hai diya... kitne simple words mai apne apne pyar ka izhaar kis khoobi se kiya hai!! bahoot hi achi rachna likhi hai apne!!! Good creation!!!
Logged
zakhmola
Guest
«Reply #4 on: March 07, 2008, 03:49:46 PM »
Reply with quote
Teri Mohabbat mein
mainey khud ko bhula diya
ab jabbhi kabhi ayegi tu
Mujhey mera naam bata deina...
Logged
diya786
Guest
«Reply #5 on: March 08, 2008, 12:34:39 PM »
Reply with quote
thanks a lot pooja ji, talatji, zakmola ji, rojaji
aapka bahut bahut shukriya jo itne simple words ke peeche chupi shayari ko pehchana
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #6 on: March 21, 2008, 01:17:01 PM »
Reply with quote
Nice One Diya Ji,.
Kamaal ka Likha Hai Aapne,.
 Applause
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #7 on: March 21, 2008, 01:21:26 PM »
Reply with quote
Roothe Hum Tumse Ye Sitam Zindagi Par Hoga,.
Hum To Chahtein Hain Tumhe Chahaton Se Bardkar,.

______________________________--Jaanasheen-
Logged
Muhammed
Guest
«Reply #8 on: November 13, 2008, 04:57:37 AM »
Reply with quote
Rothey ho mujhse mujhe manana nahin aata
kyun tumhari hi tarah tumhe satana nahin aata

Jaan ban gaye ho meri yeh jaan lo tum
ab tumhare bina mujhe jeena nahin aata

Naaraz ho mujse tumhe manao kaise
apne is pyar ka yakeen tumhe dilao kaise

Kyun aitbaar nahin karte tum meri is mohabbat pe
ab iske siwa mujhe aur kuch kaam nahin aata

Kyun door chale gaye ho tum mujhse
mujhe to tumhe apne paas bulana nahin aata

Tumse door kaise chale jaye hum
humein tumse door hona nahin aata

Pyar karte hain tumse bahut yeh kaise kahein hum
hum jaante hain shayad humein yeh kehna nahin aata...


Diyaa..Itna achha kalaam Likha Hai,,Jisko Main padh padh k bhi aisa dusra kalaam likh nahi sakta...
bahot hi kashish hai Tumhare Likhne Main..
allah se dua hai..' wo Tum par qaram ki bauzaar karein '..amin

Roothe Hum Tumse Ye Sitam Zindagi Par Hoga,.
Hum To Chahtein Hain Tumhe Chahaton Se Bardkar,.

______________________________--Jaanasheen-


Mujhe pata Tha...Koi aisa thread nahi Jahaan Azeem Na Ho !!!
Bhai Mere 'shayar ho'...
bahot hi khub.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #9 on: November 17, 2008, 09:18:59 AM »
Reply with quote
Shukriya Bhaijaan,.
Is Bhai Ka saath Dene Ke Liye,.
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 14, 2024, 04:04:51 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.106 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer