Hai yun to kaun-o-makan pe qabuu magar muhabbat pe bas nahin hai!!!!!!
Bas ik nigaah-e-karam hai kafi agar unhen pesh-o-pas nahin hai
zahe tamana ki meri fitrat aseer-e-hirs-o-havas nahin hai
nazar se shayad dur ho jaa yahaN tera mujh pe bas nahin hai
chaman ko barbaad karne waale ye aashiyan hai qafas nahin hai
kisi ke jalwe tarap rahe hain huduud-e-hosh-o-Khirad ke aagay
huduud-e-hosh-o-Khirad ke aagay nigaah ke dastaras nahin hai
jahan ki nayarangiyon se yaksar badal gai aashiyan ki surat
qafas samajhti hain jin ko nazren wo dar-haqeeqat qafas nahin hai
kahan ke naale kahan ki aahen jami hain un ki taraf nigaahen
kuch is qadar mahv-e-yaad hun main ki fursat-e-yak-nafas nahin hai
tasawur-e-ishrat-e-guzishtaa ka husn-e-taasir ALLAH ALLAH
wahi fazaayen wahi hawaayen chaman se kuch kam qafas nahin hai
kisi ke be'etanaaiyon ne badal hi Dala nizaam-e-gulshan
jo baat pehle bahar men thi wo baat ab ke baras nahin hai
ye buu-e-sumbul, ye Khaandaa gul aur aah! ye dard bhari sadaayen
qafas ke andar chaman ho shayad chaman ke andar qafas nahin hai
na hosh-e-Khilwat na fikr-e-mahfil ayan ho ab kis pe halaat-e-dil
main aap hi apna ham-nafas hun mera koi ham-nafas nahin hai
karen bhi kya shikvaa-e-zamana kahen bhi kya dard ka fasana
jahan men hain laakh dushman-e-jaan koi masihaa nafas nahin hai
suni hai ahal-e-junun ne aksar Khamoshi-e-marg ki sadaayen
suna ye tha kaaravaan-e-hasti rahin-e-baang-e-jaras nahin hai
chaman ki azadiyan muaKhKhar tasavur-e-aashiyan muqaddam
Gam-e-aseerihai naa-mukammal agar Gam-e-Khaar-o-Khas nahin hai
na kar mujhe sharmsaar nashe main dil se majabur hun ki jis ka
hai yun to kaun-o-makan pe qabuu magar muhabbat pe bas nahin hai
kahan wo umeed aamad aamad kahan ye ifaae ahad-e-fardaa
jab aitbaar-e-nazar na tha kuch ab aitbaar-e-nafas nahin hai
wahin hain naGmen wahi hai naale sun ai mujhe bhul jane wale
teri sama'at se dur hun main jabhi to naalon men ras nahin hai
"Shakeel" duniya men jis ko dekha kuch us ki duniya hi aur dekhi
hazaar naqqaad-e-zindagi hain magar koi nuktaaras nahin hai
Hai yun to kaun-o-makan pe qabuu magar muhabbat pe bas nahin hai!!!!!!
NM