Mujhe Tum Nazar Se Giraa To rahe Ho,.

by Jaanasheen on February 13, 2008, 09:02:44 AM
Pages: [1] 2 3 4 5 ... 9
ReplyPrint
Author  (Read 6975 times)
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
Reply with quote
One Of My Fav8 Shayari,.
Hope U Too Like This,. Roll Eyes

Mujhe Tum Nazar Se Giraa To Rahe Ho,.
Mujhe Tum Kabhi Bhi Bhoolaa Na Sakoge,.

Najaane Mujhe Kyun Yakheen Ho Chalaa,.
Meri Yaad KO Tum Mitaana Na Sakoge,.

Meri Yaad Hogi Jidhar Jaaoge Tum,.
Kabhi Nagma Banke, Kabhi Banke Aansoon,.
Tadapta Mujhe Har Taraf Paaoge Tum,.

Shamaa Jo Jalaai Meri Wafaa Ki,.
Bujhaana Bhi Chaaho Bhujhaa Na Paaoge Tum,.

Kabhi Naam Baaton Mein Aaaya Jo Mera,.
To Bechain Hoke Dil Thaam Loge,.
Nigaahon Pe Chaayegaa Gham ka Andheraa,.
kisine Jo Poocha Sabab Aansoon Ka,.
Bataana Bhi Chaaho Bataa Na Paaoge Tum,'

_____________________________-Masoor Anwar-
Logged
zakhmola
Guest
«Reply #1 on: February 13, 2008, 12:18:58 PM »
Reply with quote
jaanasheen aapney girney giraney ki baat ki, toh chaliye Girne ki baat ko kalam ke zoar sey zara aur ootha diya jaaye :

Mere Haalat par na Hans
Aey mujhey giraney waaley
ab Darta hai tu mujhey girta hua dekhkar
jab girney ki adat si ho gayi hai mujhey.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #2 on: February 13, 2008, 05:17:56 PM »
Reply with quote
nice sharing Lil bro.. Good lines Zakhmola ji!!
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #3 on: February 20, 2008, 08:15:13 AM »
Reply with quote
shukriya Didi,.
And Nice One Zakhmola Ji,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #4 on: February 20, 2008, 08:16:57 AM »
Reply with quote
Achcha Hua ke Thukar Mujhe Lagi,.
Main Geer Pada To Sara Carwaan Samabhal Gaya,.

___________________________________-NM-
Logged
farahahmed
Guest
«Reply #5 on: February 20, 2008, 06:01:42 PM »
Reply with quote
mithas hai yeh dard ki ya hai dil ki chubhan
ek kasak see hai aapke khojaane mein yaad ki
hum aatishe zamaane se bach kar guzar gaye
par hosaka na ghaafil tere ghum ke vaar se
jehan bhi chale jaayen aap saath hee to honge
dil ki chubhan ban ke humaare hee saath saath
Logged
farahahmed
Guest
«Reply #6 on: February 20, 2008, 06:05:21 PM »
Reply with quote
samhle hue thae tujh se milne ke baad bhi
yaadonke sahaare khadee thee deewar
ayenah hum ne dekha to woh keh pada
judaayee mein bhi humaara apne saath de diya
ankhonmein aapka manzar dil beqarar hai
chahat thee kyonki mujhse dil beqarar hai
Logged
Pooja
Guest
«Reply #7 on: February 20, 2008, 06:11:09 PM »
Reply with quote
nice one farahahmed ji!!

Janati hu sab jo mujhe smjha rahe ho
Door mujhse bahoot door tum ja rahe ho
Kah dete sab saaf saaf mujhe, tum jo
Gir kar najro main meri, mujhe gira rahe ho

Maana sath tha itna, ajj kisi aor raah ja rahe ho
Khamoshi meri ko, bewafa ka naam bata rahe ho
Kaya kahe ab hum, jamane ko khud hi bata rahe ho
Gir kar meri najar main, mujhe gira rahe ho...
Logged
sharmaarunkumar
Guest
«Reply #8 on: February 22, 2008, 12:05:04 PM »
Reply with quote
nice one farahahmed ji!!

Janati hu sab jo mujhe smjha rahe ho
Door mujhse bahoot door tum ja rahe ho
Kah dete sab saaf saaf mujhe, tum jo
Gir kar najro main meri, mujhe gira rahe ho

Maana sath tha itna, ajj kisi aor raah ja rahe ho
Khamoshi meri ko, bewafa ka naam bata rahe ho
Kaya kahe ab hum, jamane ko khud hi bata rahe ho
Gir kar meri najar main, mujhe gira rahe ho...


wah very nice pooja ji!!!

Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #9 on: February 22, 2008, 12:28:24 PM »
Reply with quote
Nice One Farahahmed Ji,.
Bahot Khoob,. Grin
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #10 on: February 22, 2008, 12:35:29 PM »
Reply with quote
Raaton mein gar na ashk bahaauun to kya karun
ik pal bhi us ko bhuul na paauun to kya karun

main ne sunaa hai un ko andhere nahin pasand
raahon mein ab main dil na jalaauun to kya karun

tumhi kaho ki chhord de jab zindagi bhi saath
phir maut ko gale na lagaauun to Kya Karun

sochaa to tha ki chhord Dun us ki gali 'Murad'
lekin kahi qaraar na paauun To Kya Karun,.

_______________________________-Murad Lucknowi-

Logged
farahahmed
Guest
«Reply #11 on: February 22, 2008, 06:38:35 PM »
Reply with quote
Bahut acha Jaanasheenji aur Sharmaarun kumarji.Kya kehne hai! waah!
Logged
farahahmed
Guest
«Reply #12 on: February 22, 2008, 06:43:56 PM »
Reply with quote
ask bahayenge aap do dil jalaayenge
guzare hue zamane jub yaad aayenge
soncha karenge fareb kyon aapko mila
karne se faydah naheen hai kijiye na yun gila
aage badh ke dekhiye duniyan mein aur hain
haseenon ki yeh duniya jawan dil aur hain
chaha na jisne apko woh khud mehroom hai
ek mukhlis dil mila tha mager junoon hai
naahaq usne munh ko moda jo apse
qatil to ban gayee woh apke hisaabse
khoone dil ko ab waqt ki dawa to dijiye
ayse junoonse dil chota na kijiye
Logged
Pooja
Guest
«Reply #13 on: February 22, 2008, 06:47:24 PM »
Reply with quote
good one lil bro and farahahmed

bahoot bahoot shukaria AKS ji apki meri likhi kavita pasand aai !!!
Logged
farahahmed
Guest
«Reply #14 on: February 22, 2008, 06:49:56 PM »
Reply with quote
jaane ko na rokiye gar woh ja rahee hai
qismet se kehker woh chod ja rahee hai
ruswa naheen hue hain woh jo wafadaar hain
gham ke naheen khushee ke woh talabgaar hain
jaane kahan qismet le jaa raheee use
jane bhi deejiye na rokiye use
chahat ki usko aapki jab khud parakh naheen
bhool jaaiye bhi usko ki usko qader naheen
Logged
Pages: [1] 2 3 4 5 ... 9
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 08:23:25 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.108 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer