Mujhe Tum Nazar Se Giraa To rahe Ho,.

by Jaanasheen on February 13, 2008, 09:02:44 AM
Pages: 1 2 3 4 [5] 6 7 8 9
ReplyPrint
Author  (Read 7067 times)
Pooja
Guest
«Reply #60 on: February 28, 2008, 03:51:07 PM »
Reply with quote
shukaria lil bro.. app bhi to likho kuch... magar apna..
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Online Online

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #61 on: February 28, 2008, 03:55:35 PM »
Reply with quote
Nagri Nagri Phira Musafir Ghar Ka Rastaa Bhool Gaya.,
Kya Hai Tera Kya Hai Mera Apna Praayaa Bhool Gaya,.

Apni Beeti Jag Beeti Hai, Jab Se Dil Ne Jaan Liya.
Hanste Hanset Jeevan Beeta Rona Dhonaa Bhool Gaya,.

Andhere Se Ek Kiran Ne Jhaank Ke Dekha Sharmaai,
Dhoond Si Chab To Yaad Rahi, Kaisa Tha Chehraa Bhool Gaya,.

Hansi Hansi Mein Khel Khel Mein Baat Ki Baat Mein Rang Gaya,.
Dil Bhi Hote Hote Aakhir Ghaan Ka Rishtaa Bhool Gaya,.

Ek Nazar Ki Ek Hi Pal Ki Baat Hai Dori Saanson Ki,
Ek Nazar Ka Noor Mitaa Jab Ek Pal Bitaa Bhool Gaya,.

Jis Ko Dekho Us Ke Dil Mein Shikwa Hai To Itna Hai,.
Hume To Sab Kuch Yaad Raha Par Hum Ko Zamaanaa Bhool Gaya,.

Koi Kahe ye Kisne Kahaa Tha keh Do Jo Kuch Jee Mein hai,.
"Miraj" Keh Kar Pachtaaya Aur Phir Kehne Bhool Gaya,.

_______________________________________-Miraj-
Logged
Pooja
Guest
«Reply #62 on: February 28, 2008, 03:56:44 PM »
Reply with quote
wah kaya baat hai.. bahoot khoob.. good sharing lil bro
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Online Online

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #63 on: February 28, 2008, 03:59:54 PM »
Reply with quote
Theek Hai Sis Ek Koshish Aapke Liye,.

Geerta Hain Taara Aasmaan Ka Khwaaish Poori Karne Ko,.
Hum To Geere Zameen Par Ek Kashish Poori Karne Ko,.

Hume Geerta Hua Dekhkar Unhe Unhe Tassalli Hogi, "Ye Socha Humne,.
Aur Geer Gaye Dekho Hum Bhi "Azeem" Ek Aazmaaish poori Karne Ko,.

______________________________________-Jaanasheen-
Logged
farahahmed
Guest
«Reply #64 on: February 28, 2008, 06:14:01 PM »
Reply with quote
Gham utha kar hee ae dost zindagee sikhatee hai
fareb aur dhoke ki duniyan bahut kuch sikhatee hai
barbadiyon se sabaq naya seekhna hai humko
dafan hone se pehle bada kaaam hai humko
Logged
Pooja
Guest
«Reply #65 on: February 28, 2008, 06:14:44 PM »
Reply with quote
wah kaya baat hai... Lil bro ek ek line itani achi likhi hai apne... bahoot khoob.. apne app hi likha karo.. bahoot acha likhte ho app!!
Geerta Hain Taara Aasmaan Ka Khwaaish Poori Karne Ko,.
Hum To Geere Zameen Par Ek Kashish Poori Karne Ko,.

Hume Geerta Hua Dekhkar Unhe Unhe Tassalli Hogi, "Ye Socha Humne,.
Aur Geer Gaye Dekho Hum Bhi "Azeem" Ek Aazmaaish poori Karne Ko,.

wah ... mere shabdo main.. Aanand bhawti... ek ek line kamal..
Logged
farahahmed
Guest
«Reply #66 on: February 28, 2008, 07:30:50 PM »
Reply with quote
Waah Pooja ji! jawaab naheen apka.
Logged
farahahmed
Guest
«Reply #67 on: February 28, 2008, 07:32:32 PM »
Reply with quote
Taare zameen par dekhe chamakte hue
aapke jaise likhne waale chehekte hue
koshish hai meri ki main bhi asmaan choo sakun
wahan tak na pahuchun na aaptak pahunch sakun
Logged
farahahmed
Guest
«Reply #68 on: February 28, 2008, 07:36:09 PM »
Reply with quote
sitaare mang mein bhi waah kya chamak rahe thae
ankhonke sitaare raat mein sulag rahe thae
dil mein hai sitaare jinke chamakne ki arzu
zakham mager harae hai na thandak ki arzu
khwaahish meri hai humdum tum khwaab mein milo
jannat ki chaandni mein chah ke milo
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Online Online

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #69 on: March 02, 2008, 12:32:03 PM »
Reply with quote
Shukriya Didi,.
Jo Aapne Hamare Kaam Ko Saraaha,.
Waise Dil Bahoot Udaas Hai,.

And Nice One Farahahmed Ji,.
Yunhi Likhte Rahiye,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Online Online

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #70 on: March 02, 2008, 12:40:15 PM »
Reply with quote
Ghamon Ka Daur Jaari Hai, Shayad Is Liye Bekharaari Hai,.
Dil Toota Hai To Kismat Ka Dosh Nahi, Khataa Ye Hamaari Hai,.

Humne Chaha Tha Unhe Jaan Se Bardkar, "Azeem",.
Samjha Na Unhone Hamaari Chahaton Ko, Ye Unki Raazdaari Hai,.

Jaane Kyun Har Baar Toot-ta Raha Mera Hi Gardeesh Ka Taara,.
Shayad Khuda Ko Bhi Hamari Dard-e-Dili Pyaari Hai,.

GeeraaTha Main Zameen Par, Nazar Se Jo Geerna Gawaara Na Samjha,.
Aur Zakham Aise Lage Thokaron Ke Jo Zindagi Par Bhaari Hai,.

_______________________________________-Jaanasheen-
Logged
farahahmed
Guest
«Reply #71 on: March 02, 2008, 01:42:56 PM »
Reply with quote
Waah jaanasheenji! Khoob likha hai apne!
Logged
Roja
Guest
«Reply #72 on: March 03, 2008, 12:11:09 AM »
Reply with quote
Theek Hai Sis Ek Koshish Aapke Liye,.

Geerta Hain Taara Aasmaan Ka Khwaaish Poori Karne Ko,.
Hum To Geere Zameen Par Ek Kashish Poori Karne Ko,.

Hume Geerta Hua Dekhkar Unhe Unhe Tassalli Hogi, "Ye Socha Humne,.
Aur Geer Gaye Dekho Hum Bhi "Azeem" Ek Aazmaaish poori Karne Ko,.

______________________________________-Jaanasheen-


Wah wah.. bahut accha likha hai aapne Jaanasheen ji.
Logged
Roja
Guest
«Reply #73 on: March 03, 2008, 12:12:22 AM »
Reply with quote
Ghamon Ka Daur Jaari Hai, Shayad Is Liye Bekharaari Hai,.
Dil Toota Hai To Kismat Ka Dosh Nahi, Khataa Ye Hamaari Hai,.

Humne Chaha Tha Unhe Jaan Se Bardkar, "Azeem",.
Samjha Na Unhone Hamaari Chahaton Ko, Ye Unki Raazdaari Hai,.

Jaane Kyun Har Baar Toot-ta Raha Mera Hi Gardeesh Ka Taara,.
Shayad Khuda Ko Bhi Hamari Dard-e-Dili Pyaari Hai,.

GeeraaTha Main Zameen Par, Nazar Se Jo Geerna Gawaara Na Samjha,.
Aur Zakham Aise Lage Thokaron Ke Jo Zindagi Par Bhaari Hai,.

_______________________________________-Jaanasheen-


Very good... her line dil ko chu gaya hai. Keep up Jaanasheen ji.
Logged
Roja
Guest
«Reply #74 on: March 03, 2008, 12:17:45 AM »
Reply with quote
Quote
sitaare mang mein bhi waah kya chamak rahe thae
ankhonke sitaare raat mein sulag rahe thae
dil mein hai sitaare jinke chamakne ki arzu
zakham mager harae hai na thandak ki arzu
khwaahish meri hai humdum tum khwaab mein milo
jannat ki chaandni mein chah ke milo

Aapne bahut accha reply mein diya hai farahahmed ji.
All are very good. Daad hazir hai.
Logged
Pages: 1 2 3 4 [5] 6 7 8 9
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 26, 2025, 06:56:05 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.197 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer