kuchh nahi...kuchh bhi to nahi mere paas....
jawaani ki dahleez pe dum todti ek yateem laash
mere paas mera apna kuchh nahi
in aakhon me koi sapna ab tik.ta nahi
bahut sharm aati hai kisi ko apna dil dikhane me
ek bikhra hua toota sa ye ghar dikhane me
ab dil bhi nahi maanta ke ye usi ke naam ka ghar hai
kabhi kabhi main bhi sochta hun kya yahin mera dar hai
ek taraf jazbaaton ki dhundhli kursiyaan
toote armaano si tooti khirkiyaan hain
tumhe kya dikhaaon main kya bharosa jataaun main
tumhare poochhne par is ghar me kahin chhup na jaaun main
ye jise paar kar abhi tum andar aaye....
vo hi meri jawaani ki dahleez hai
aur jo aah sunke tum chaunk padi thi
haan ye abhi usi ne li thi
darna mat yahan ka haal dekhke
taras bhi na khana iski naseeb ka chaal dekhke
puraana sa hai ye par purana nahi
rahna hai yahin mujhe kahin jana nahi
ye jo har jagah paani hi paani hai
yahi to in intzaar karti aakhon ka paani hai
vo tooti deewaar kuchh roz pehle gir gayi
vo ummeed thi naummedi ki baarish me dhah gayi
jagah jagah zameen pe jo ye ghadde se hain
yahi vo dhoke hain jo hume apno se mile hain
unhone badi khushi se diye hain aur humne bhi khushi se liye hain..
ye mej jo thodi kareene se rakhi hui hai
isi par maine khuda ki qitaab rakhi hui hai
halki si dhool hai par jo chhaayi hai is ghar ghar me
ruswaaiyaan purani hain jo ab tak tiki hui hain is ghar me
ye aaina pehle thheek tha ab thoda chitak gaya hai
hasrat tha ye ab simat gaya hai
vo chiraag hi zindagi hai
jo us taraf rakha bujh bujh ke jal raha hai
jaise ek luta hua musaafir anjaani manzil pe badh raha hai....