NAZAM: USKE JAANE KA GHAM NA KARO....taasir siddiqui

by Taasir siddiqui on July 19, 2011, 07:39:55 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 2285 times)
Taasir siddiqui
Guest
Reply with quote
TRIBUTE TO BELOVED FRIEND LATE NISHIT GOYAL
 
who ek shaks jo jahaan chhod gaya sab se khafa hokar;
 
suna hai bohat sataaya tha use apno ne apna hokar,
 
magar uske jaane ka tum gham na karo,
 
uski yaadon mein aakhen nam na karo,
 
ke faqat jaan se juda hua hai woh hamare dil se nahin,
 
sirf nazar ki had se dur gaya hai khayaalon ki mehfil se nahin,
 
dekho sitaara ban ke aasmaan par chamak raha Hai,
 
woh hamare hothon par hasi ban ke damak raha Hai,
 
har raat woh khwaab ban kar utar aata hai Humhari nazar me,
 
chalo milne chalte hain use, rehta hai ab woh yaadon ke shehar me,
 
dil ke panne palat kar dekho likha hai usi ka afsaana,
 
aaj woh jahan hai kal hume bhi wahin hai jaana….
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
WON THE COMPETITION OF GHAZAL AUG'09 BY TAASIR SIDDIQUI by Taasir siddiqui in Ghazals
NAZM : GHAR KE GHAM KO BANWAAS HO JAYE( POET: TAASIR SIDDIQUI) by Taasir siddiqui in Shairi - E - Zindagi
DIWALI KI RAAT by taasir siddiqui by Taasir siddiqui in Shayri-E-Dard
doha ----by taasir siddiqui by Taasir siddiqui in Other Languages
eh KAZAA uske jaane tak to, THAHAR jaane de...!! by ghayal_shayar in Shayeri for Dard -e- Bewafai
madhuwesh
Guest
«Reply #1 on: July 19, 2011, 08:00:28 AM »
Reply with quote
Bahut khoob Taasir ji.khoobsurat nazam likha apne dost ki yaad mein.very sad,may her soul rest in peace. icon_thumleft
Logged
kamal aggarwal
Guest
«Reply #2 on: July 19, 2011, 09:29:53 AM »
Reply with quote
taasir ji apne dost ke liye aapki ye koshish uski ruh ko sukoon de
Logged
khujli
Guest
«Reply #3 on: July 19, 2011, 10:14:58 AM »
Reply with quote
TRIBUTE TO BELOVED FRIEND LATE NISHIT GOYAL
 
who ek shaks jo jahaan chhod gaya sab se khafa hokar;
 
suna hai bohat sataaya tha use apno ne apna hokar,
 
magar uske jaane ka tum gham na karo,
 
uski yaadon mein aakhen nam na karo,
 
ke faqat jaan se juda hua hai woh hamare dil se nahin,
 
sirf nazar ki had se dur gaya hai khayaalon ki mehfil se nahin,
 
dekho sitaara ban ke aasmaan par chamak raha Hai,
 
woh hamare hothon par hasi ban ke damak raha Hai,
 
har raat woh khwaab ban kar utar aata hai Humhari nazar me,
 
chalo milne chalte hain use, rehta hai ab woh yaadon ke shehar me,
 
dil ke panne palat kar dekho likha hai usi ka afsaana,
 
aaj woh jahan hai kal hume bhi wahin hai jaana….



 tearyeyed tearyeyed tearyeyed tearyeyed Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #4 on: July 19, 2011, 05:24:35 PM »
Reply with quote
Taseer Sahaab aadaab!

Behad dil se likhe ahsaas hai bahut khoob..
Aapne jiske bhi liye likhe haiN Allaah Unki
RooH ko chaiN O sukuN bakhshe aameeen Usual Smile


Likhate rahiye....
Khush O aabaad rahiye..
Khuda Hafez Usual Smile         

Logged
poppoetry
Guest
«Reply #5 on: July 19, 2011, 05:44:31 PM »
Reply with quote
bhawnao ko bakhubi pesh kiya hai aapne...aapki ye nazm padh kar khuch bhi nahi kh pa rahi hu...nazm k aehsaason se kisi apne ki yaadein taaza ho gayi aaj....
uss laamhe ki yaadein....khuda aapke dost ki ruh ko jannat bakshe...aue mere uss apne ki rooh ko bhi...aameen
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 12:24:15 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.084 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer