Pardesiyo ki Eid........( Ghayel & Qadeer )

by Sajid_Ghayel on September 09, 2010, 09:30:19 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 5776 times)
Sajid_Ghayel
Guest
Reply with quote
Yeh kalam maine aur mere dost Abdul Qadeer saheb ne tab likha tha jab hum dono Eid ke mauke par ghar se door the........bohat mushkil hota hai jab koi khushi ya gham ka mauka ho aur apne humse door ho.....socha is Eid ke mauke par phir wahi dard taza kiya jaye. Yeh koi sochi samjhi peshkash nahi hai bas yuhi do dost jo dil me aaya likhte chale gaye.......


Ye eid ka chand mere watan me bhi jalwagar hoga !!
mai tadap raha hon jaise wo bhi to tadap raha hoga !!


Ye majburiyan ye dooriyan ye faasle ye tanha-e- eid ke din !!
Meri tarha mera beta bhi mujhe dekh ne ko machal raha hoga !!


Tum eid mana-o hum matham karenge apni badnaseebi ka !!
Wahan eid ki siwayan hongi , yahan koi sisak raha hoga !!



Koi sajata hoga khudko dulhan ki tarah aaj
Koi kajal koi gajra koi dupatta tadap raha hoga


Nam aakhe liye mujhko dhoondti hogi meri maa
Bheega aachal liye dil maa ka tadap raha hoga


Seene se lage beta mera abba ki aarzoo hogi
Mujhe dene ko eidi dil unka tadap raha hoga


Teri yaaden , teri baten , teri umid pe Ghayel !!
Ajj koi tasveer se be tahasha lipat raha hoga !!



Yu to har baat par jo Qadeer hua karte the
Bewatan zameer unka bohat tadap raha hoga


-Ghayel & Qadeer-

Green.....By Me

Blue......By Abdul Qadeer
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #1 on: September 09, 2010, 09:38:33 AM »
Reply with quote
sajid ji and Quadeer ji.......ye dard hum bhi mehsuus karte hain har bar jab diwali ya raksha bandhan pe dil ma pa k paas jane ka karta hai...

aapki ye nazm padhte padhte kab aankhen bhar aai aur kab chhalak padi aur kab tak behti rahin pata hi nahin chala na jane kitni bar padhi ye nazm....

ye kehna k bht khub hai kya likha hai sab bemaane hain iss feeling k saamne.....dil ka dard kagaz pe utar aaya hai...

dua karti hun uss khuda se k kabhi koi bachcha apne pariwar apne apno se kabhi durr na ho....

Aaameennnnn.....
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #2 on: September 09, 2010, 08:42:52 PM »
Reply with quote

Sajid Sahab and Qadeer Sahab..... Aapki is yadap ne dil meiN teiseN utha dii humare.... sad5

In ahsaasoN per wah waah kar ke hum sharmsaar nahi hona chahte...
Bus Allah se dua hai ke aapne jaise EID ko apno se door rahkar
Apno ko yaad kar kar ke sisak sisak ke manaya hai... Aisa auroN ke saath na ho..
Aap jab muluk meiN wapas laute tab hi humne kaha tha ke.... Allah aapko yahaaN hi woh sab khushiyaaN de jiski talaash meiN aap abrod gaye the...

Bus mayoos sa chehra ho gaya hai humara..... sad5

Allah Sab ko khush o Aabaad rakheN aameen Usual Smile
     

Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #3 on: September 09, 2010, 09:32:15 PM »
Reply with quote
Qadeer Bhai Aur Sajid Bhai...

Aaj Yeh kalaam Padhkar kuch Beeta Hua Daur Aankhon Ke saamne Aakar Khada sa Ho gaya..Yeh padhkar Har insaan Jazbaati Zaroor Ho Sakta Hai par Khuda Kare Koi Insaan Iss Daur Se Naa Guzre..

Sache Dil se Yeh Ardaas hai ke Jin Zaroorato ko puri karne ke liye aap yaa koi bhi insaan Pardes jaata hai, unki har woh zaroorat aur har woh Jaayaz Khwaishe Poori Ho...

iss Kalaam Ki Jo tareef mein kuch keh sake,Utna Mere Likhe hue lafzon mein Dam Nahi..

Aapk Dono ko Mera Salaam!!!!!!!
Logged
mamta bajpai
Guest
«Reply #4 on: September 10, 2010, 03:44:56 PM »
Reply with quote
Qadeer saaheb or Ghayal saaheb,
                              Sab se pahle aap dono ke Eid kee hardik shubh-kaamnaayeN.umeed hai saparivaar Eid ke jashn me mubtala hoNge.......
aap donoN ka ye dard bharaa kalaam paRha.......yaqeen jaaniye dard kee aisee jugalbandee aajtak naheeN dekhne ko milee.sach hee hai jo is dard se guzara ho wahee is dard ko jee bhee sakta hai........jo bhee ho ...dil ko gahrayee tak chhoo gayaa aap ka ye kalaam......

mamta bajpai
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 06:01:02 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.756 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer