Phir bhi wo mera huaa nahin... Intezar !

by Intezar on October 04, 2010, 09:18:48 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1525 times)
Intezar
Guest
Reply with quote

Main Shaamil to teri har saans mein raha har lamha
Lekin, Tujhe hi shayad kabhi mehsoos huaa nahin…

Bheegta to main bhi raha tere aansuon mein
Lekin, zikra kabhi is baat ka tumse huaa nahin…

Yun to sadiyon se chal raha hun banke musaafir
Lekin, aaj do kadamo ka faasla tay humse huaa nahin…

Tumse milna to kabhi hua nahin zindagi rehte
Lekin, mar kar bhi main juda tumse huaa nahin…

Waise to is baar bhi chot wahi puraani thi dost
Lekin, jaane kyon ye dard aaj pehle sa huaa nahin…

Poochh leta main bhi in lakeeron ki hakeekat
Lekin, saamna kabhi mera us khuda se huaa nahin…

Humne to rakh diye kadmo me unke dono Jahaan
Lekin, “Intezar” phir bhi  wo mera huaa nahin… !



                                     Shukriya
                                     Intezar… !
Logged
dead heart
Guest
«Reply #1 on: October 04, 2010, 09:58:19 PM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #2 on: October 05, 2010, 02:18:13 AM »
Reply with quote
maan gaye bhai aapko....  kamaal ka likhte ho aap... fan ho gaye hum aapke lekhni ke... dost yunhi mast mast shaayari karte raho aur humein padhwaate raho.. sach bahut bahut bahut bahut bahut bahut bahut bahut bahut bahut bahut bahut bahut bahutbahut bahut bahut bahut bahut bahut bahutbahut bahut bahut bahut bahut bahut bahutbahut bahut bahut bahut bahut bahut bahutbahut bahut bahut bahut bahut bahut bahutbahut bahut bahut bahut bahut bahut bahutbahut bahut bahut bahut bahut bahut bahutbahut bahut bahut bahut bahut bahut bahutbahut bahut bahut bahut bahut bahut bahutbahut bahut bahut bahut bahut bahut bahutbahut bahut bahut bahut bahut bahut bahutbahut bahut bahut bahut bahut bahut bahutbahut bahut bahut bahut bahut bahut bahutbahut bahut bahut bahut bahut bahut bahut mast likha hai aapne.... too good hai bhai... keep writing...!!!


 Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
Intezar
Guest
«Reply #3 on: October 05, 2010, 10:13:07 AM »
Reply with quote
itni tareef kapil bhai... hume ab jeene bhi dijiye!
bahut bahut shukriya aapka... aur ummeed hai aap hamare saath yun hi rahenge hamesha hamesha !

Intezar
 
maan gaye bhai aapko....  kamaal ka likhte ho aap... fan ho gaye hum aapke lekhni ke... dost yunhi mast mast shaayari karte raho aur humein padhwaate raho.. sach bahut bahut bahut bahut bahut bahut bahut bahut bahut bahut bahut bahut bahut bahutbahut bahut bahut bahut bahut bahut bahutbahut bahut bahut bahut bahut bahut bahutbahut bahut bahut bahut bahut bahut bahutbahut bahut bahut bahut bahut bahut bahutbahut bahut bahut bahut bahut bahut bahutbahut bahut bahut bahut bahut bahut bahutbahut bahut bahut bahut bahut bahut bahutbahut bahut bahut bahut bahut bahut bahutbahut bahut bahut bahut bahut bahut bahutbahut bahut bahut bahut bahut bahut bahutbahut bahut bahut bahut bahut bahut bahutbahut bahut bahut bahut bahut bahut bahutbahut bahut bahut bahut bahut bahut bahut mast likha hai aapne.... too good hai bhai... keep writing...!!!


 Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #4 on: October 05, 2010, 10:16:12 AM »
Reply with quote

Main Shaamil to teri har saans mein raha har lamha
Lekin, Tujhe hi shayad kabhi mehsoos huaa nahin…

Bheegta to main bhi raha tere aansuon mein
Lekin, zikra kabhi is baat ka tumse huaa nahin…

Yun to sadiyon se chal raha hun banke musaafir
Lekin, aaj do kadamo ka faasla tay humse huaa nahin…

Tumse milna to kabhi hua nahin zindagi rehte
Lekin, mar kar bhi main juda tumse huaa nahin…

Waise to is baar bhi chot wahi puraani thi dost
Lekin, jaane kyon ye dard aaj pehle sa huaa nahin…

Poochh leta main bhi in lakeeron ki hakeekat
Lekin, saamna kabhi mera us khuda se huaa nahin…

Humne to rakh diye kadmo me unke dono Jahaan
Lekin, “Intezar” phir bhi  wo mera huaa nahin… !



                                     Shukriya
                                     Intezar… !


Shayad pehli Baar Aapki lekhni padhi..

Dil Ko chuu Jaane Wale Ehsaas kalam-Band Kiye Hai Aapne

Bahut bahut Aur Bahut Khoob!! Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
AbhiTamrakar
Guest
«Reply #5 on: October 05, 2010, 10:19:09 AM »
Reply with quote
kya bat he intezar sahab bahut hi khoob bilkul theek tarah se tareef ki he kapil jiii ne ~

bahut badhiya ~
Logged
Intezar
Guest
«Reply #6 on: October 05, 2010, 10:28:31 AM »
Reply with quote
Khwaish ji Bahut bahut shukriya aapki nazar-e-inayat ka... jo aap humse ru ba ru huye...

Intezar
Logged
Intezar
Guest
«Reply #7 on: October 05, 2010, 10:31:03 AM »
Reply with quote
Abhi ji aap ka bahut bahut shukriya aap ne taareef Kapil ji se milaakar Do guni kar di... itna bhi hum kaise sahe... aap ka bahut bahut Shukriya !

Intezar

kya bat he intezar sahab bahut hi khoob bilkul theek tarah se tareef ki he kapil jiii ne ~

bahut badhiya ~
Logged
Intezar
Guest
«Reply #8 on: October 05, 2010, 10:32:03 AM »
Reply with quote
Rahim sahab aap ki khamosh nazaro ka bahut bahut Shukriya !

Intezar
Logged
AbhiTamrakar
Guest
«Reply #9 on: October 05, 2010, 10:41:51 AM »
Reply with quote
Abhi ji aap ka bahut bahut shukriya aap ne taareef Kapil ji se milaakar Do guni kar di... itna bhi hum kaise sahe... aap ka bahut bahut Shukriya !

Intezar

sahiye mat sahab likhte rahiye ham to bas padhne ke talabgaar he or aap itna achha likhate he..so likhte rahiye~
Logged
Intezar
Guest
«Reply #10 on: October 05, 2010, 10:46:07 AM »
Reply with quote
ek baar phir se aur... bahut bahut shukriya Abhi ji !
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 08:28:44 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.099 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer