~~~Phir haath nahi aata...~~~

by vitasta on May 19, 2009, 11:08:47 AM
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 2059 times)
vitasta
Guest
Reply with quote
kho jo jaata hai ik lamha, phir haath nahi aata
raat saath guzaar sapna, phir haath nahi aata

aati hai yaad uski subah bhi, shaam bhi yaar
sochun chookar dekhun, phir haath nahi aata

ek nazm, do nazm, hazaaron hi nazm qurban
dhundha har lafz 'Noor' jo phir haath nahi aata

na jaam, na aaraam, chain kahan paye 'Viti' ab
ulfat ka ek katra bhi kabhi phir haath nahi aata...
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
dost hota nahi her haath milane wala by samnoj in Shairy-e-Dost (Friendship Poetry) « 1 2 3 4 »
dil churana nahi aata by sandip4u in Shairi for Manzar -e- Kudrat
Agar gale nahin milta to haath bi nahi mila by Sonia01 in Ghazals « 1 2  All »
NAHI AATA by manoj12021989 in Shayri for Khumar -e- Ishq
Murjhana nahi aata by @kaash in Shayri-E-Dard
Talat
Guest
«Reply #1 on: May 19, 2009, 11:41:33 AM »
Reply with quote
Bohot Khoob !!
Logged
vitasta
Guest
«Reply #2 on: May 19, 2009, 11:44:39 AM »
Reply with quote
shukriya Usual Smile
Logged
dead heart
Guest
«Reply #3 on: May 19, 2009, 06:19:24 PM »
Reply with quote
Bahaut khoob
Logged
vitasta
Guest
«Reply #4 on: May 19, 2009, 06:33:14 PM »
Reply with quote
Bahaut khoob
shukriya Usual Smile
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #5 on: May 19, 2009, 06:41:21 PM »
Reply with quote
wah wah wah VITASTA, wah bahut hi khoob


DEH JAYE ISS DIL KOH KARARAAR, WOH SHAKHS NAHI AATA
LEH JAYE USS PAAR, WOH MAJDHAAR NAHI AATA

KISS SEY GILA KAREY, KOI NAZAR NAHI AATA
BHEED MEH BHI TANHA HAI, APNA NAZAR NAHI AATA



JASBIR SINGH
hira_company@yahoo.com


Logged
vitasta
Guest
«Reply #6 on: May 19, 2009, 06:52:01 PM »
Reply with quote
wah wah wah VITASTA, wah bahut hi khoob


DEH JAYE ISS DIL KOH KARARAAR, WOH SHAKHS NAHI AATA
LEH JAYE USS PAAR, WOH MAJDHAAR NAHI AATA

KISS SEY GILA KAREY, KOI NAZAR NAHI AATA
BHEED MEH BHI TANHA HAI, APNA NAZAR NAHI AATA



JASBIR SINGH
hira_company@yahoo.com



shukriya jasbir, bahut achcha likha aapne Usual Smile

jaam se bhi kabhi gham nahi jaata
neend mein sapna nazar nahi aata
tu aake de ja kuch to sukun zalim
saaya kya tera ab zikr bhi nahi aata
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #7 on: May 19, 2009, 07:02:45 PM »
Reply with quote

Thanks Vitasta
and bahut badiya jawaab dia aap neh


MURJHAYE PHOOLOH PAR BHAVRA NAHI AATA
ROSHNI SE TOH ABB YEH DIL BHI GHABRATA
GAIROH SEY GILA KYA KAREY HUM JASBIR
ABB TOH APNA SAYA BHI SAATH NAHI NIBHATA



JASBIR SINGH
hira_company@yahoo.com



Logged
vitasta
Guest
«Reply #8 on: May 19, 2009, 07:10:55 PM »
Reply with quote

Thanks Vitasta
and bahut badiya jawaab dia aap neh


MURJHAYE PHOOLOH PAR BHAVRA NAHI AATA
ROSHNI SE TOH ABB YEH DIL BHI GHABRATA
GAIROH SEY GILA KYA KAREY HUM JASBIR
ABB TOH APNA SAYA BHI SAATH NAHI NIBHATA



JASBIR SINGH
hira_company@yahoo.com




wah Usual Smile

shama ke bina main parwaana nahi kehlaata
zakhm khaata hun main, nahi unhe sehlaata
deewangi 'Viti,' hai jaa chuki hadhon ke paar
dil ko apne todta rehta hun, nahi use behlaata
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #9 on: May 19, 2009, 07:21:37 PM »
Reply with quote
wah Usual Smile

shama ke bina main parwaana nahi kehlaata
zakhm khaata hun main, nahi unhe sehlaata
deewangi 'Viti,' hai jaa chuki hadhon ke paar
dil ko apne todta rehta hun, nahi use behlaata




ah ha, bahut hi khoob


RAH GUJAR YU MAJBOOR HO CHUKA HU
CHOT KHA KEY BHI ROH NAHI PATA
NA POOCH LEY KOI ISS DARD KI WAJAH
HASTEY HUYE SAB KOH MAIN NAZAR AATA HU



JASBIR SINGH
hira_company@yahoo.com

Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #10 on: May 19, 2009, 07:23:48 PM »
Reply with quote
kho jo jaata hai ik lamha, phir haath nahi aata
raat saath guzaar sapna, phir haath nahi aata

aati hai yaad uski subah bhi, shaam bhi yaar
sochun chookar dekhun, phir haath nahi aata

ek nazm, do nazm, hazaaron hi nazm qurban
dhundha har lafz 'Noor' jo phir haath nahi aata

na jaam, na aaraam, chain kahan paye 'Viti' ab
ulfat ka ek katra bhi kabhi phir haath nahi aata...


Viti Ji....... Kamaal ki Shayara hain aap.. Pahali baar hi aaj aapko padhne ka Mauka Mila.. aur Yakin maaniye padh kar bahut accha laga.. ab to aapki aane wali sabhi Post ka besabri se Intzaar rahega.. Usual Smile Usual Smile

Lafzon ko Behad Khubsoorati se Piroya hai aapne Is Poem me. yehi iski sabse badi Khasiyat hai.. jo is poem ko khubsoorat bana rahi Hai.. Great work.. Bahut Khooooooooooob.. Applause Applause


**~** Mann **~**
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #11 on: May 19, 2009, 07:29:19 PM »
Reply with quote
Jasbir Bhai aapne Bhi Kamaal likha hai.. Bahut Bahut Khoooooob.. ek ke baad ek Khubsoorat Jawab Applause Applause

**~** Mann **~**
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #12 on: May 19, 2009, 07:33:29 PM »
Reply with quote
Vitasta and Jasbir

Nice going Applause Applause

Keep going Thumbs UP

Vicky bro...aap ki kalam mein ink khatam ho gayi kya? tongue3
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #13 on: May 19, 2009, 07:34:57 PM »
Reply with quote
Jasbir Bhai aapne Bhi Kamaal likha hai.. Bahut Bahut Khoooooob.. ek ke baad ek Khubsoorat Jawab Applause Applause

**~** Mann **~**

tHANKS MANN JI

JASBIR SINGH
hira_company@yahoo.com
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #14 on: May 19, 2009, 07:36:07 PM »
Reply with quote
Vitasta and Jasbir

Nice going Applause Applause

Keep going Thumbs UP

Vicky bro...aap ki kalam mein ink khatam ho gayi kya? tongue3

Thanks Rajbir Ji
aap bhi kuch saath nibha detey
apni kalam sey kuch alfaaz bayaan kartey



jasbir singh
Logged
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 14, 2024, 04:05:21 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.108 seconds with 20 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer