Rehtey Hain Saath Saath Mai Aur Meri Tanhai

by waheed_rose2004 on December 18, 2004, 04:45:21 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 5700 times)
waheed_rose2004
Guest
Reply with quote
Rehtey Hain Saath Saath Mai Aur Meri Tanhai
Kartey Hain Raaz Ki Baat Mai Aur Meri Tanhai

Din To Guzar Hi Jata Hai Logon Ki Bheer Mai
Kartey Hain Basar Raat Main Meri Tanhai

Saanson Ka Kya Bharosa Kab Chor Jain Saath
Laikin Rahain Gay Saath Main Aur Meri Tanhai

Aaye Na Tumhe Yaad Kabhi Bhul Kar Bhi Hum
Kartey Hain Tumhe Yaad Main Aur Meri Tanhai

Aa Ke Paas Kyon Door Ho Gaye Hum Se
Kartey Hain Teri Talash Main Aur Meri Tanhai

Tum Ko Rakhain Gay Saath Zeenat Bana Kay Ghar Ki
Reh Jain Phir Na Tanha Main Aur Meri Tanhai................................
Logged
Meena
Guest
«Reply #1 on: December 22, 2004, 07:28:57 PM »
Reply with quote
gud one waheed ji!

 :D
Logged
prannav
Guest
«Reply #2 on: December 23, 2004, 11:02:07 AM »
Reply with quote
Toooooo gooood man, Keep it up !
Logged
khirbar
Guest
«Reply #3 on: December 24, 2004, 07:19:32 AM »
Reply with quote
hi friends
 Usual Smile

AAb kay ruat badli to khushbu ka safer daykhay ga kon
Zakhaam phuloon ki terhaan mehkain gay per daykhay ga kon

Daykhna sab raqsa-e-bismill main magaan ho jaian gay
Jis teraf say teer aay ga udher daykhay ga kon

Zaghaam jitnay bhi thay sab mansoob qateel say huay
Teyray haathoon kay neshaan aay char-e-gger daykhay ga kon

WO hawass ho yah wafa ho baat mehroomee ki hay
Log to phaal phool daykhaian gay shager daykhay ga kon

Meyri aawazoon kay saayeh meyray bam-o-der pey hain
meyray lafzoon main uter ker meyra gher daykhay ga kon

Hum caragha-e-shab hi jab thehray to phir kiya sochna
Raat thee kis ka mooqader aur seher daykhay ga kon

AA faseel-e-sheher say daykhain ghanim-e-sheher ko
Sheher jalta ho to tujh ko baam per daykhay ga kon

Her koi appni hawa main masst phirta hay Faraz
Sheher-e-na purrasaan main teyri chashm-e-ter daykhay ga kon


i hope u like it
 

bye take care
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #4 on: December 25, 2004, 12:34:56 PM »
Reply with quote
ur welcome meena.............parnav.........

too good khirbar...........
Logged
Talat
Guest
«Reply #5 on: December 25, 2004, 02:08:12 PM »
Reply with quote
Bohot achche Waheed n Khirbar!!
Logged
salaam2all
Guest
«Reply #6 on: December 26, 2004, 01:22:36 PM »
Reply with quote
bahut accha likha hay waheed bhai...

Ye tanhai bhi apni ab mughey lagti nahi aqsar
Sawalo may ghira hoon may jo karti hay wo phir aqsar
Koi tou ho jisay may kah saku iss dil ki sub baatein
Wo kahti hay mughey doondho koi apna koi humsar
Kahan say doondh kay laau may iss tanhai ka saathi
Nazar aata hay mughko phir wohi kamra wohi bistar
Logged
lovebites
Guest
«Reply #7 on: December 27, 2004, 08:31:26 AM »
Reply with quote
Nice alllzz....................!
Logged
diljala
Guest
«Reply #8 on: April 02, 2008, 03:08:24 AM »
Reply with quote
waheed ji
Adab... arj hai
Tanhaio.n ko na badnaam karo ae waheed
ye to tab bhi sath hoti hai.n jab koi sath nahi hota.
jab-jab bhi mai.n gujara ho.n gurdisho.n se main..
mera sathi bas aur sirf Tanhai thi....
Logged
diljala
Guest
«Reply #9 on: April 02, 2008, 03:18:23 AM »
Reply with quote
Bahut din bad likh raha hu.n koi galti ho to mafi ka talab gar hu.n
na liku.n bahut par accha likhu.n isi bat ka bus abb garjurar hu.n
Tanhai na hoti to kab ka gujar gaya hota dunya se mai.n
jabki jinda hu.n aur na likhu.n to gunhagar hu.n
bahut shiddat se kar raha tha mai.n is waqut ka intejar mai.n
bas ek aap ke najar ka phir se talab gar hu.n

" bad muddat ke phir se shru kiya hai likhna aee. waheed
  nahi bhula hu.n mai.n kisi ko wo gunhagar hu.n"
Logged
Roja
Guest
«Reply #10 on: April 02, 2008, 03:27:38 AM »
Reply with quote
hi friends
 Usual Smile

AAb kay ruat badli to khushbu ka safer daykhay ga kon
Zakhaam phuloon ki terhaan mehkain gay per daykhay ga kon

Daykhna sab raqsa-e-bismill main magaan ho jaian gay
Jis teraf say teer aay ga udher daykhay ga kon

Zaghaam jitnay bhi thay sab mansoob qateel say huay
Teyray haathoon kay neshaan aay char-e-gger daykhay ga kon

WO hawass ho yah wafa ho baat mehroomee ki hay
Log to phaal phool daykhaian gay shager daykhay ga kon

Meyri aawazoon kay saayeh meyray bam-o-der pey hain
meyray lafzoon main uter ker meyra gher daykhay ga kon

Hum caragha-e-shab hi jab thehray to phir kiya sochna
Raat thee kis ka mooqader aur seher daykhay ga kon

AA faseel-e-sheher say daykhain ghanim-e-sheher ko
Sheher jalta ho to tujh ko baam per daykhay ga kon

Her koi appni hawa main masst phirta hay Faraz
Sheher-e-na purrasaan main teyri chashm-e-ter daykhay ga kon


i hope u like it
 

bye take care

Very nice try Khirbar ji.. accha laga padkar
Logged
Pooja
Guest
«Reply #11 on: May 23, 2008, 07:07:57 PM »
Reply with quote
Din To Guzar Hi Jata Hai Logon Ki Bheer Mai
Kartey Hain Basar Raat Main Meri Tanhai

Saanson Ka Kya Bharosa Kab Chor Jain Saath
Laikin Rahain Gay Saath Main Aur Meri Tanhai

Aaye Na Tumhe Yaad Kabhi Bhul Kar Bhi Hum
Kartey Hain Tumhe Yaad Main Aur Meri Tanhai



bahoot khoob waheed bhai!! bahoot sahi likha apne!!!
Logged
Rajnish.raaj
Guest
«Reply #12 on: May 03, 2013, 12:00:17 AM »
Reply with quote
nice 1,
waheed ji,
Logged
angelsoni
Guest
«Reply #13 on: June 07, 2013, 11:19:01 AM »
Reply with quote
 icon_geek
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 22, 2024, 03:00:52 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.12 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer