Ro diye honge wo bhi... Intezar !

by Intezar on October 05, 2010, 08:37:08 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 2119 times)
Intezar
Guest
Reply with quote
Ro diye honge wo bhi jab yaad unhe wo pal aaya hoga
Kheench kar maala gale se jab aaine pe de maara hoga,

Sun.ne ko mere lafz wo bhi tarse honge us wakt jab
tanhai mein usne apne haatho se wo kangan utaara hoga

pal wo ishrat ke bhool na paaye honge door ja kar bhi
yaad meri to aayi hogi, jab zulfon ko usne sawaara hoga

daud kar wo darwaaze tak to aaye hi gaye honge us wakt,
baato hi baato mein kisi ne jab naaam mera pukaara hoga

na chah kar bhi agar bechain ho jao kabhi mere liye tum
tab sochna kaise tumhare bin  ek pal bhi maine gujaara hoga

jab doobne lago apne hi wafa ke samandar mein tum agar
tumhari doobti kashti ke liye meri baahon ka  kinaara hoga

Dekhti rahengi raah kisi ka unki nazare bhi har wakt
kya jane un aankhon mein bhi shayad Intezar hamaara hoga

is baar to khaak ho gaye mil kar is mitti se  hum shayad
par yaad rahe is baar laute agar to bas "Intezar" tumhara hoga… !

                                             Shukriya
                                             Intezar… !

Ishrat means- Affection
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
OH AUR HONGE by ali_246 in Shayri for Khumar -e- Ishq
Ronde honge..... by sharma.reema@yahoo.com in Pain in Love : Punjabi poetry
kabhi toh honge 1 by Guest in Other Languages
saaye ki jagah hum honge by STHAN in Shairy-e-Dost (Friendship Poetry)
Sambhle Honge, Bikhar Gaye Honge....!! by Talat in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 3  All »
neelgold
Guest
«Reply #1 on: October 06, 2010, 12:26:12 AM »
Reply with quote
WAH WAH WAH !!!!!!!!!!!!!!

Bhut hi khoob .....



 Applause Applause Applause Applause Applause

SONA
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #2 on: October 06, 2010, 08:39:58 AM »
Reply with quote
bhai lagta hai tumhe jaadugar lehke bulaana padega... shabdon ka jaadu jaante ho tum... aisa jaadu jo kisi ka bhi dil jeet le.. bahut bahut khoobsurti se tumne is rachna ko likha hai.. too good hai bhai.. kaash main tum jaisa likh paataa.. ab tumhe padh padh ke sikhne ki koshish karunga... bahut achcha likha hai dear...!!!

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Intezar
Guest
«Reply #3 on: October 06, 2010, 09:17:02 AM »
Reply with quote
Kapil bhai aap hume sharminda mat kariye ye keh kar ki kaash aap hum jaisa likh paate maine aap ko padha hai aur khaas kar shuru ki rachna aapki wakayi bahut behtareen hain...

Lekin main take dil se aap ka Shukriya ada karta hun ki aap ne mujhe kisi kaabil samjha aur meri rachna aap ko bahut pasand aayi bahut bahut Shukriya Kapil Bhai...

Intezar

bhai lagta hai tumhe jaadugar lehke bulaana padega... shabdon ka jaadu jaante ho tum... aisa jaadu jo kisi ka bhi dil jeet le.. bahut bahut khoobsurti se tumne is rachna ko likha hai.. too good hai bhai.. kaash main tum jaisa likh paataa.. ab tumhe padh padh ke sikhne ki koshish karunga... bahut achcha likha hai dear...!!!

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
AbhiTamrakar
Guest
«Reply #4 on: October 06, 2010, 09:24:45 AM »
Reply with quote
aji intezaar sahab kaha se chun laate he labzz zara hame bhi bataye .. badi mast pehskash he apki..maja aya padhkar...asha he or padhne aka mauka jald hi milegaaa~

Logged
Intezar
Guest
«Reply #5 on: October 06, 2010, 09:34:35 AM »
Reply with quote
Sona ji aap ka bahut bahut shukriya !

Intezar
Logged
Intezar
Guest
«Reply #6 on: October 06, 2010, 09:36:30 AM »
Reply with quote
Abhi ji Lafzo ka kya hai jo kabhi bayaan nahin huye aaj wo kagaz par utar aate hain...

aur aap ka bahut bahut bahut shukriya aap ko hamaari rachna pasand aayi...

Intezar
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #7 on: October 06, 2010, 10:15:21 AM »
Reply with quote
intezar ji ....sab itna sara keh chuke hain k main kya kahun...bas aapki rachna ko padhke jo feelings aai wo yahan pesh hai...

lamhe wo yaad hain mujhe har ek baat yaad hai
sath tumhare jo gazari wo har raat yaad hai

machal jati hun aaj bhi soch k main tumko
tujh sang bitai wo khushnuma shaam yaad hai

kyun chale gaye tum mujhe chhod kar bich safar me
maine kiye jo tumpe sitam wo har sitam yaad hai

har dard tera mere dil ko aaj bhi roand deta hai
teri aankhon se baehte wo lahu k ashk yaad hain

nahin keh sakti kisise jo kuch kiya hai maine
lekin meri ruuh pe rahe jo wo har bojh yaad hai

jise thukraya tha teri khatir uski bhi baddua mili
mere sanammujhe mili har baddua mujhe yaad hai....!!!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #8 on: October 06, 2010, 10:19:25 AM »
Reply with quote

Ro diye honge wo bhi jab yaad unhe wo pal aaya hoga
Kheench kar maala gale se jab aaina pe de maara hoga,

Sun.ne ko mere lafz wo bhi tarse honge us wakt jab
tanhai mein usne apne haatho se wo kangan utaara hoga

pal wo ishrat ke bhool na paaye honge door ja kar bhi
yaad meri to aayi hogi, jab zulfon ko usne sawaara hoga

daud kar wo darwaaze tak to aaye hi gaye honge us wakt,
baato hi baato mein kisi ne jab naaam mera pukaara hoga

na chah kar bhi agar bechain ho jao kabhi mere liye tum
tab sochna kaise tumhare bin  ek pal bhi maine gujaara hoga

jab doobne lago apne hi wafa ke samandar mein tum agar
tumhari doobti kashti ke liye meri baahon ka  kinaara hoga

Dekhti rahengi raah kisi ka unki nazare bhi har wakt
kya jane un aankhon mein bhi shayad Intezar hamaara hoga

is baar to khaak ho gaye mil kar is mitti se  hum shayad
par yaad rahe is baar laute agar to bas "Intezar" tumhara hoga… !

                                             Shukriya
                                             Intezar… !

Ishrat means- Affection


Bahut bahut Aur bahut Khoob Intezaar Ji..

Lajawaab!!!! Lafz nahi mere paas Tareef ke liye..ek maahol sa aankhon ke saamne aakar tehae gaya,bahut hi Gehre Jazbaat!!!

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Intezar
Guest
«Reply #9 on: October 06, 2010, 12:02:35 PM »
Reply with quote
Kasak ji Bahut Bahut Shukirya Aapka... aap ko padh kar bas itna hi kehna chahenge...

Teri duniya roshan  rahe shaam o seher
Kasak,  is andhere se bas yahi fariyaad hai ,

Kis tarah dar jaate the tum andhere mein
Mujhe bhi wo teri  sehmi si raat yaad hai

Us khaamosh raat mein hum tum akele rahe
Aur tanhayi me siskiyon bhari wo har baat yaad hai

Kayi arsa hua tere nazdeek gaye mujhko Aye Jaan
Lekin Aaj tak honntho se guzarti har saugaat yaad hai

Kaise main tumse juda ho gaya khuda jaane
Par main mit kar  bhi tera raha itna mujhe yaad hai

Jeete jee jo sitam kiye wo to hum bhool jaate
Magar baad marne ke ye sitam phir bhi yaad hai

Tere aansu aaj bhi bechain kar jaate hain hume
aankho se wo kazal beh jaana aaj bhi mujhe yaad hai

Khud ko kyo muzrim mera  samajhte ho  “Kasak”
Tera “ Intezar“ to mar kar bhi tere liye Shaad hai… !


Intezar
Logged
Intezar
Guest
«Reply #10 on: October 06, 2010, 12:04:21 PM »
Reply with quote
Khwaish Ji Gehraayi mein utarne ke liye Bahut bahut Shukriya aapka... !

Intezar
Logged
Sajid_Ghayel
Guest
«Reply #11 on: October 07, 2010, 06:24:47 AM »
Reply with quote
Nice work Intezaar jee par Matle me Qafiya gadbada gaya aapka..........gaur kare.

Logged
Sajid_Ghayel
Guest
«Reply #12 on: October 07, 2010, 06:26:03 AM »
Reply with quote
intezar ji ....sab itna sara keh chuke hain k main kya kahun...bas aapki rachna ko padhke jo feelings aai wo yahan pesh hai...

lamhe wo yaad hain mujhe har ek baat yaad hai
sath tumhare jo gazari wo har raat yaad hai

machal jati hun aaj bhi soch k main tumko
tujh sang bitai wo khushnuma shaam yaad hai

kyun chale gaye tum mujhe chhod kar bich safar me
maine kiye jo tumpe sitam wo har sitam yaad hai

har dard tera mere dil ko aaj bhi roand deta hai
teri aankhon se baehte wo lahu k ashk yaad hain

nahin keh sakti kisise jo kuch kiya hai maine
lekin meri ruuh pe rahe jo wo har bojh yaad hai

jise thukraya tha teri khatir uski bhi baddua mili
mere sanammujhe mili har baddua mujhe yaad hai....!!!

Aap to shayri ki Factory ho hahahahaha.........kya kehne aapke.
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #13 on: October 07, 2010, 06:44:33 AM »
Reply with quote
Aap to shayri ki Factory ho hahahahaha.........kya kehne aapke.

ji shukriya ghayel ji....
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #14 on: May 23, 2011, 07:47:41 PM »
Reply with quote
Janaab Intezaar Sahaab Aadab!

Aik taweel arsa hua aapko yahaaN dekhe huye... ?
Ummid hai aap laut aayeNge is ummid meiN aapke is
khubsurat kalaam par dil se daad O mubarakbaad dene
ko jee chaaH raha hai Usual Smile

Waqai behad khoob ahsaas O khayaaloN behsh kimti lafzoN
se sawaari hai aapne apni yeH kalaam Usual Smile         



Ro diye honge wo bhi jab yaad unhe wo pal aaya hoga
Kheench kar maala gale se tab aaine pe de maara hoga,

Kia kahne janab behad khoob ahsaas O khayaal aur behad umdaa soch ko bayaaN kiya hai aapne daad Usual Smile         

Sun.ne ko mere lafz wo bhi tarse honge us wakt jab
tanhai mein usne apne haatho se wo kangan utaara hoga

Kia baat hai janab achcha sher kaha hai aik
manzar sa ban gaya daad Usual Smile         


pal wo ishrat ke bhool na paaye honge door ja kar bhi
yaad meri to aayi hogi, jab zulfon ko usne sawaara hoga

Kia baat hai bahut khoob daad Usual Smile         

daud kar wo darwaaze tak to aaye hi gaye honge us wakt,
baato hi baato mein kisi ne jab naaam mera pukaara hoga

Behad khoob janab achcha sher hai daad Usual Smile         

na chah kar bhi agar bechain ho jao kabhi mere liye tum
tab sochna kaise tumhare bin  ek pal bhi maine gujaara hoga

Waah kia kahne janab waah bahut khoob bahut umda.. behad achcha sher kaha hai janab Usual Smile         

jab doobne lago apne hi wafa ke samandar mein tum agar
tumhari doobti kashti ke liye meri baahon ka  kinaara hoga

Waah janab ise kahte hai shayari... behad achcha sher kaha hai behad khob daad daad daad Usual Smile         

Dekhti rahengi raah kisi ki unki nazare bhi har wakt
kya jane un aankhon mein bhi shayad Intezar hamaara hoga

Achcha khayaal hai daad .. Usual Smile         

is baar to khaak ho gaye mil kar is mitti se  hum shayad
par yaad rahe is baar laute agar to bas "Intezar" tumhara hoga… !

Waah janab waah kia sher kaha hai... aapka takhallus behad achche se fit hua hai do tarfa waar kar raha hai janab daad Usual Smile           

                                             Shukriya
                                             Intezar… !

Ishrat means- Affection


Intezaar Sahaab ....... Aapki is undaa kalaam par nazar deri se gayi iske liye mazzarrat chahte hai ...

Par abhi aapke wapas aane ka Intezaar raheNga hume Usual Smile

Aate rahiye... Likhate rahiye..
Khush O aabaad rahiye..
khuda hafez Usual Smile         

Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 28, 2025, 02:32:03 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.119 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer