ROODAD-E-WAFA..................MAMTA BAJPAI

by mamta bajpai on July 13, 2010, 09:01:03 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 2037 times)
mamta bajpai
Guest
Reply with quote
ROODAD-E-WAFA KA  UNWAAN NAHI ,NA HI SAHI
HAASHIYE PAR BHI MERA NAAM NHI ,NA HI SAHI

GUHAR TERI SADAF KA MERI AANKH KE PARDE ME
MAGAR US-SE TUJHE KOI KAAM NAHI, NA HI SAHI

SAAWAN MERI AANKHON KA KUCH KAAM TERE AAYE
AUR US-SE BHI AGAR AARAM NAHI, NA HI SAHI

MAI BAAIS-E-HASTI HOON TERA KHABAR HAI TUJHKO
IS PAR BHI TU MERA ANJAAM NAHI, NA HI SAHI

TERI RUG RUG ME RAVAN HAI MERA KHOON-E-JIGAR
TUJHE ISKA BHI ZARA AHSAAN NAHI ,NA HI SAHI
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
MAI BE WAFA MAMTA BAJPAI by mamta bajpai in Shayeri for Dard -e- Bewafai « 1 2  All »
TERI KHWAHISH.................MAMTA BAJPAI by mamta bajpai in Shayri for Dard -e- Judai « 1 2  All »
NAKAMIYON SE NISBAT.........MAMTA BAJPAI by mamta bajpai in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
TERE NAAM.................MAMTA BAJPAI by mamta bajpai in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
AB BHARAM AUR NAHI....................Mamta Bajpai by mamta bajpai in Share: Poetry of Pain
mohsin akhter
Guest
«Reply #1 on: July 13, 2010, 09:09:55 AM »
Reply with quote
bahut khoob

AKSAR MERI NIGAHON MAIN UNKA CHEHRA HOTA HAI
YE BAAT AUR HAI KI WO MUJHSE PYAAR NAHI KARTA

ASMAAN BHI RO DETA HAI MERE DARD KE SATH
YE BAAT AUR HAI KI WO MUJH PER AITBAAR NAHI KARTA
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #2 on: July 13, 2010, 09:29:25 AM »
Reply with quote
HMMMMM........BHT BADHIYA JI
Logged
mamta bajpai
Guest
«Reply #3 on: July 13, 2010, 02:35:26 PM »
Reply with quote
SHUKRIYA MOHSIN JI BAHUT BAHUT SHUKRIYA!
AAP KAMAAL KA LIKHTE HAI .HUME ACHCHA LAGA ISI SILSILE KO AAGE BADHATE HUE........

KAH GAYA NAAZ-O-ANDAZ SE JO KAHNA THA USE
YE BAAT OR HAI KI WO MUJH SE IKARAR NAHI KARTA
Logged
mamta bajpai
Guest
«Reply #4 on: July 13, 2010, 02:36:28 PM »
Reply with quote
SHUKRIYA KASAK JI!
Logged
mohsin akhter
Guest
«Reply #5 on: July 14, 2010, 04:46:32 AM »
Reply with quote
sukriya mamta ji agar aapne is khayal ko itna age badaya hai to main bhi apni taraf se poori kosish karoonga

USKI NAZAR MAIN ANE KE LIYE USKI RAH SE GUJARTA HUN
YE BAAT AUR HAI KI WO MERA DEEDAR NAHI KARTA
Logged
Abhi Tamrakar
Guest
«Reply #6 on: July 14, 2010, 07:02:33 AM »
Reply with quote

MAI BAAIS-E-HASTI HOON TERA KHABAR HAI TUJHKO
IS PAR BHI TU MERA ANJAAM NAHI, NA HI SAHI


wah mamta ji kya baat kahi he~~

kuchh meri or se~

chilmano se juda kaha ishq ka suroor yaron,
dastaane ishq ke parwaaz likha karte he,
ye chilman hi udkar kabhi dhakkar rukh ko,
kabhi ruswai or kabhi wafa kiya karte he~~
Logged
mamta bajpai
Guest
«Reply #7 on: July 14, 2010, 08:08:51 AM »
Reply with quote
ABHI JI BAHUT BAHUT SHUKRIYA!! AAP KI KOSHISH PASAND AAYEE MAGAR 'DHAKKAR' KA MEANING SAMAJH NAHI AAYA.
Logged
Abhi Tamrakar
Guest
«Reply #8 on: July 14, 2010, 08:14:30 AM »
Reply with quote
ABHI JI BAHUT BAHUT SHUKRIYA!! AAP KI KOSHISH PASAND AAYEE MAGAR 'DHAKKAR' KA MEANING SAMAJH NAHI AAYA.

mamta ji sukriya ~

chilman ka matlab hota he "parda" is line me keh raha hu ki ye chilman jo unke rukh ko chupaye huye he/ dhaka hua he wo uthta he to mehboob ki wafa or rukh ko chhupa le to ruswai si lagti he~
Logged
mamta bajpai
Guest
«Reply #9 on: July 14, 2010, 08:18:54 AM »
Reply with quote
MOHSIN JI BEHAD SHUKRIYA !  Applause Applause Applause Applause Applause
LEEJIYE KHAYALON KI RAAH ME IK AUR QADAM.......   

SHEESHA-DIL ME MERA AKS LIYE FIRTA HAI
YE BAAT OR HAI WO MUJHSE NAZAREN CHAR NAHI KARTA
Logged
mamta bajpai
Guest
«Reply #10 on: July 14, 2010, 08:22:15 AM »
Reply with quote
AHI JI BAHUT BAHUT SHUKRIYA AAP NE JO TARJUMANI KI US SE MATLAB EKDAM SAAF HO GAYA. WAAQAI KAMAAL KI SOCH HAI.BAHUT ACHCHA LAGAPADH KAR.......
Logged
Abhi Tamrakar
Guest
«Reply #11 on: July 14, 2010, 08:30:06 AM »
Reply with quote
MOHSIN JI BEHAD SHUKRIYA !  Applause Applause Applause Applause Applause
LEEJIYE KHAYALON KI RAAH ME IK AUR QADAM.......    

SHEESHA-DIL ME MERA AKS LIYE FIRTA HAI
YE BAAT OR HAI WO MUJHSE NAZAREN CHAR NAHI KARTA

AHI JI BAHUT BAHUT SHUKRIYA AAP NE JO TARJUMANI KI US SE MATLAB EKDAM SAAF HO GAYA. WAAQAI KAMAAL KI SOCH HAI.BAHUT ACHCHA LAGAPADH KAR.......

mamta ji it is actually my privilage ki mujhe aap logo ki anmol kritiyan padhne mil rah he or

khyalo ka to rishta hi khyalo se hota he..
kuchh bantne se kuchh likh dene se hi haqiqat ka aina rubaroo nazar aata he~


dhanyawad~

Logged
mohsin akhter
Guest
«Reply #12 on: July 14, 2010, 09:27:48 AM »
Reply with quote
MOHSIN JI BEHAD SHUKRIYA !  Applause Applause Applause Applause Applause
LEEJIYE KHAYALON KI RAAH ME IK AUR QADAM.......   

SHEESHA-DIL ME MERA AKS LIYE FIRTA HAI
YE BAAT OR HAI WO MUJHSE NAZAREN CHAR NAHI KARTA

MAMTA JI ISI BAAT KO AGE BADA RAHA HOON

WO PARESAAN HO JATA HAI MERI PARESAANI SE
KESE KAH DUN KI WO MERA KHYAL NAHI KARTA
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #13 on: July 14, 2010, 01:30:15 PM »
Reply with quote
ROODAD-E-WAFA KA  UNWAAN NAHI ,NA HI SAHI
HAASHIYE PAR BHI MERA NAAM NHI ,NA HI SAHI

GUHAR TERI SADAF KA MERI AANKH KE PARDE ME
MAGAR US-SE TUJHE KOI KAAM NAHI, NA HI SAHI

SAAWAN MERI AANKHON KA KUCH KAAM TERE AAYE
AUR US-SE BHI AGAR AARAM NAHI, NA HI SAHI

MAI BAAIS-E-HASTI HOON TERA KHABAR HAI TUJHKO
IS PAR BHI TU MERA ANJAAM NAHI, NA HI SAHI

TERI RUG RUG ME RAVAN HAI MERA KHOON-E-JIGAR
TUJHE ISKA BHI ZARA AHSAAN NAHI ,NA HI SAHI

 Applause Applause Applause Applause
wow mamta ji....bahooooooooot hi behtreen andaz hai aapka.....behaaad behaaad umda likhti hain aap...dil ke har kone se aapko is rachna ke liye hazaron lakhon daad......
Logged
nazr ghouri
Guest
«Reply #14 on: July 14, 2010, 05:11:00 PM »
Reply with quote
bahoot khoob mamta saheba ..
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 07:46:54 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.11 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer