Roothe Yaar Ko Kaise Manaaun?

by majid on August 25, 2008, 09:34:56 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 60678 times)
majid
Guest
Reply with quote
Bhale Teri Yaad Main, Mom Ki Maanind Jalta Jaaun
Par Muskura Dena Tum Gar Bhule Se Kabhi Yaad Aaun

Beshak Khushi Khushi Apni Aankhon Se Gira Dena Mujhe
Gar Kabhi Dard Bhare Aansu Banke Jo Chhalak Jaaun.

Main Itna Bhi Aadi Nahi Hoon Na De Itni Naarazgi
Tu Hi Bata Teri Judaai Ka Bojh Aakhir Kaise Uthaaun.!

Agar Gawara Nahi Hai Teri Aankhon Ko Meri Surat To
Dua Hai Aey Dost Main Aaj Aur Abhi Hi Mar Jaaun

Ye Tanhaai Ye Teri Berukhi Har Waqt Dashti Hai.
Ya Khuda Roothe Hue Yaar Ko Aakhir Kaise Manaaun.!!!

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Roothe yaar ko mana0n kaise... by fakharenaveed in Shayri-E-Dard
ROOTHE HUE HAIN.......(GHAYEL) by sajid_ghayel in Shairy-e-Dost (Friendship Poetry) « 1 2  All »
ROOTHE KHUDA SE. by SURESH SANGWAN in Shairy-e-Dost (Friendship Poetry)
Roothe roothe sanam by saahill in Shayri for Khumar -e- Ishq
Khafa hain sanam manaaun kaise by saahill in Miscellaneous Shayri
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #1 on: August 25, 2008, 10:40:28 AM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause
good creation bro..... Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #2 on: August 25, 2008, 12:16:39 PM »
Reply with quote
very gooddddddddd shihab maza aa gaya keep it up
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #3 on: August 25, 2008, 12:24:18 PM »
Reply with quote
Bahut kamaal ka likha hai Shihab aapne... Applause Applause
Logged
k.shael
Guest
«Reply #4 on: August 25, 2008, 12:28:44 PM »
Reply with quote
 Applause  Applause
BAHUT KHOOB LIKHA HAI,
SHIHAB JI...
SUPERABB,GR8 CREATION,
BY. K.SHAEL
Logged
sayani kuri
Guest
«Reply #5 on: August 25, 2008, 12:34:58 PM »
Reply with quote
jinhy chor ay thy wahe dro bam yaad ay
Aj hamy bholy hoy kuch naam yad ay
Hum judai k manzar ko yad ker k ro pary
Wo hamy jab sare shaam yaad aye...
Logged
~princess~
Guest
«Reply #6 on: August 26, 2008, 01:26:42 PM »
Reply with quote
Bhale Teri Yaad Main, Mom Ki Maanind Jalta Jaaun
Par Muskura Dena Tum Gar Bhule Se Kabhi Yaad Aaun

Beshak Khushi Khushi Apni Aankhon Se Gira Dena Mujhe
Gar Kabhi Dard Bhare Aansu Banke Jo Chhalak Jaaun.

Main Itna Bhi Aadi Nahi Hoon Na De Itni Naarazgi
Tu Hi Bata Teri Judaai Ka Bojh Aakhir Kaise Uthaaun.!

Agar Gawara Nahi Hai Teri Aankhon Ko Meri Surat To
Dua Hai Aey Dost Main Aaj Aur Abhi Hi Mar Jaaun

Ye Tanhaai Ye Teri Rushwaai Har Waqt Dashti Hai.
Ya Khuda Roothe Hue Yaar Ko Aakhir Kaise Manaaun.!!!




Hum sach kahein to hum apki yeh kalam ek dam achi nahi lagi...
Aur sabse buri lagi apki yeh line:

Agar Gawara Nahi Hai Teri Aankhon Ko Meri Surat To
Dua Hai Aey Dost Main Aaj Aur Abhi Hi Mar Jaaun


Yeh likhne ki zurrat kaise ki hai apne Majid? Apne istarah se humare promise ko kuchla hai na ke kya kahein...

As a friend meri yehi opinion thi..
------------------------------------------------------------------------------
Par agar as a shayara mein kahungi ke apki kalam bohot pyari thi..Bohot khoob..
Logged
Muhammed
Guest
«Reply #7 on: August 27, 2008, 09:11:41 AM »
Reply with quote
Bhale Teri Yaad Main, Mom Ki Maanind Jalta Jaaun
Par Muskura Dena Tum Gar Bhule Se Kabhi Yaad Aaun

Ye Tanhaai Ye Teri Rushwaai Har Waqt Dashti Hai.
Ya Khuda Roothe Hue Yaar Ko Aakhir Kaise Manaaun.!!!



Bhai Shihab
Jahaan Taq Maine aapka Kalaam Padha Hai usi Me 100% Reality Ko paya Hai
Aur aap To Shayad Aise Dost Ho ki aap se Nisbat Rakhne Waale Sabhi Dosto ko Kabhi Gum Me paya Na jayega..
Wo Kushkismat Har waqt Khus rehega Jaise Hi aapki yaad ayegi wo Zoom Uthega
aur saare Gum Ik Lamhe Me Bhool Jayegaa woh
Kasam Rabb-e-Paak Ki
Aur
Aapko khuda Ne wo Ne'amat ataa ki hai ki aapke dost kabhi aapse Naraz Nahi Ho Sakte..Wo Nea'mat Hai " wafa "..!!!

 
Logged
~princess~
Guest
«Reply #8 on: August 27, 2008, 01:27:10 PM »
Reply with quote
Majid sahab aapne humari baat ka galat matlab nikal diya..
I think apka koi bhi dost apki yeh kalam padega to ro dega..
Doston ko manane ke liye aap marne ki batein karoge to konse dost ko khushi hogi?
Ek bar pyar se apne dost ko kehdete ke "chalo yaar sab bhul jayein"
to i think apki dosti itni pakki to hai hi ke wo bhi khushi khushi sab bhul jata..

Hume galat mat samjiye par as a friend mere dost ki zuban se itna dard humse bardasth nahi hota..
Humari koi bhi baat buri lagi ho to maafi chahungi..
Logged
Roja
Guest
«Reply #9 on: August 27, 2008, 02:04:16 PM »
Reply with quote
Bhale Teri Yaad Main, Mom Ki Maanind Jalta Jaaun
Par Muskura Dena Tum Gar Bhule Se Kabhi Yaad Aaun

Beshak Khushi Khushi Apni Aankhon Se Gira Dena Mujhe
Gar Kabhi Dard Bhare Aansu Banke Jo Chhalak Jaaun.

Main Itna Bhi Aadi Nahi Hoon Na De Itni Naarazgi
Tu Hi Bata Teri Judaai Ka Bojh Aakhir Kaise Uthaaun.!

Agar Gawara Nahi Hai Teri Aankhon Ko Meri Surat To
Dua Hai Aey Dost Main Aaj Aur Abhi Hi Mar Jaaun

Ye Tanhaai Ye Teri Rushwaai Har Waqt Dashti Hai.
Ya Khuda Roothe Hue Yaar Ko Aakhir Kaise Manaaun.!!!



Bahut accha likha hai Majid aapne.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #10 on: August 31, 2008, 04:21:41 PM »
Reply with quote
Bhale Teri Yaad Main, Mom Ki Maanind Jalta Jaaun
Par Muskura Dena Tum Gar Bhule Se Kabhi Yaad Aaun

Beshak Khushi Khushi Apni Aankhon Se Gira Dena Mujhe
Gar Kabhi Dard Bhare Aansu Banke Jo Chhalak Jaaun.

Main Itna Bhi Aadi Nahi Hoon Na De Itni Naarazgi
Tu Hi Bata Teri Judaai Ka Bojh Aakhir Kaise Uthaaun.!

Agar Gawara Nahi Hai Teri Aankhon Ko Meri Surat To
Dua Hai Aey Dost Main Aaj Aur Abhi Hi Mar Jaaun

Ye Tanhaai Ye Teri Rushwaai Har Waqt Dashti Hai.
Ya Khuda Roothe Hue Yaar Ko Aakhir Kaise Manaaun.!!!



Subhan Allah Bhaijaan,.
Kya Khoob Likha Hai,.
Nice POst,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #11 on: August 31, 2008, 04:23:47 PM »
Reply with quote
Tu Rootha Dil Tootaa,.
Mere Yaar Muskuraa De,.

Wo Pyaar Phir Jagaade,.

__________________-NM-
Logged
fairy2633
Guest
«Reply #12 on: August 31, 2008, 04:45:49 PM »
Reply with quote
janasheen ji........aapki shayri toh sah mei mashallah.......
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #13 on: August 31, 2008, 04:48:46 PM »
Reply with quote
Maine Poocha Pehla Patthar Mujhpar Kaun Uthaayega,.
Aayi Ek Awaaz Ke Tu Jis Ka Dost Keh Laayega,.

Pooch Sake To Pooche KOi Rooth Jaane waalon Se,.
Roshniyon Ko Mere Ghar Ka raasta Kaun Bataayega,.

Logo Mere Saath Chalo Tum, Jo Kuch Hai Wo Aaage Hai,.
Peeche Murd Kar Dekhne Waala Patthar Ka Ho Jaayega,.

Din Mein Hanskar Milne Waale Chehre Saaf Bataate Hain,.
Ek Bhayaanak sapna Mujhko saari Raat Daraayega,.

Mere Baad Wafa ka Dhoka Aur Kisi Se Mat Karna,.
Gaali Degi Duniya Tujhko Sar Mera Jhuk Jaayega,.

Sookh Gayi Jab In Aaankhon Mein Pyaar Ki Neeli Jheel "Qateel
Tere Dard Ka zard Samander Kahe Shor Machaayega,.

__________________________-Qateel Shifaai-





Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #14 on: August 31, 2008, 04:51:20 PM »
Reply with quote
Shukriya Fairy Ji,.
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 12:56:09 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.118 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer