satane aaye

by nishita on November 04, 2004, 10:20:52 AM
Pages: 1 ... 3 4 5 6 [7] 8 9
ReplyPrint
Author  (Read 7422 times)
Meena
Guest
«Reply #90 on: November 27, 2004, 06:47:35 PM »
Reply with quote
but me a bit confused, lovebites male hai ya female  :oops:
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
aap aaye the to ... by Bulla Ki Jaana in Ghazals
tum aaye ho.........? by kismis in Shayri for Khumar -e- Ishq
WOH AAYE NA AYE by srikant in Shayri for Khumar -e- Ishq
Dost ko thoda satane ki by Rajesh Harish in SMS , mobile & JOKES
Chahat kya hui satane lag gaye by mohd imran in Shayeri for Dard -e- Bewafai
lovebites
Guest
«Reply #91 on: November 27, 2004, 07:36:35 PM »
Reply with quote
Quote from: "Meena"
but me a bit confused, lovebites male hai ya female  :oops:


Don't be so confused koi k Mein Hoon Ne confusion durr kerne k liye
well i m male ....!
Logged
Meena
Guest
«Reply #92 on: November 27, 2004, 08:34:59 PM »
Reply with quote
ok  :oops:
Logged
lovebites
Guest
«Reply #93 on: November 28, 2004, 05:30:12 AM »
Reply with quote
-----------Agar mairee yaad aaee-------------

Agar kabhi mairee yaad aayay
to chand raaton ki dilgeer roshni main
kissi sitaray ko daikh laina
agar woh nakhl-e-falk say urh kar tumharay qadmon mai aa giray to yeh jaan laina
woh istara thaa maray dil ka
agar na aaye?-----------
magar yeh mumkin hee kiss tarha keh tum kisi pe nigah dalo
toh aus ke dewar-e-jan na tutay
woh apni haste na bhool jayay
agar kabhi mere yaad aaye
guraiz karte hawa ke lehron pay haath rakhna
main khusboo main tumhain milon ga
mujhe gulabon ke patyon main talash karna
main auus qutra kay aainay main tumhain milon ga
agar sitaron main,auus khusboon main
na pao mujh ko
to apnay qadmon main dekh lena
main gard hoti musafaton main tumhain milon ga
kahen pe roshan chargh dekho to jaan lena
ke har patangay keh sath main bhi sulag choka hon
tum apnay haathon say aun patangon ke rakh dariya main daal dena
main rakh ban kar samundar main safar karon ga
kisi an dekhay huay jazeeray pah ruk kay tumhain sadain don ga
samandar kay safar pe niklo
toh iis jazeray pe kabhi uttarna!!
Logged
Nedura!
Guest
«Reply #94 on: November 28, 2004, 07:01:04 AM »
Reply with quote
that is tooo good lovebites Usual Smile
Logged
lovebites
Guest
«Reply #95 on: November 28, 2004, 07:33:51 AM »
Reply with quote
Quote from: "Nedura!"
that is tooo good lovebites Usual Smile

Shukriya.........!

ranjish he sahi dil he dukhanay k liye aa.
aa phir say mujhay chor k janay k liye aa.
kuch to meray pindaaray muhabbat ka bharam rakh.
to bhi to kabhi mujh ko mananay k liya aa.
pehlay sy marasim na sahi phir bhi kabhi to.
rasam-e-wardah duniyaa he nibhanay k liye aa.
kis kis ko bataye gay judai ka sabab hum.
tu mujh say khafa hai to zamanay k liye aa.
ik umar say hoon lizzt-e-garyaa say bhi mahroom.
a rahat-e-jaan mujhay rulaanay k liye aa.
ab tak dil-e-khushfehem ko tujh say hain umeeday.
yeah akhare shemay bhi bujhanay k liye aa.
Logged
nishita
Guest
«Reply #96 on: November 28, 2004, 01:59:18 PM »
Reply with quote
thks meena... and very very nice lovebites...

Tere qarib rahu ya ki door jaun main
hai dil ka ek hi aalam - tujhi ko chahun main

Main janta hu vo rakhtaa hai chaahatein kitni
magar ye baat use kis tarah bataaun main

Jo chup raha to samjhega badgumaan mujhe
bura bhala hi sahi kuchh to bol aun main

Phir is ke baad ta'alluq mein faasle honge
mujhe sanbhaal ke rakhnaa bichhad na jaun main

Muhabbaton ki parakh ka yahi to rasta hai
teri talaash mein niklun... tujhe na paun main...

Tere qarib rahu ya ki door jaun main
hai dil ka ek hi aalam - tujhi ko chahun main (NM)
Logged
lovebites
Guest
«Reply #97 on: November 28, 2004, 04:10:22 PM »
Reply with quote
nice work nishita and thanks a lot

 Seashore Solace


The mild gushes of warm water,
Wetting my feet as I stand there,
The cold evening sea breeze whistling softly into my ears,
I stand there thinking about tomorrow,
distressed by the aches of life.

The lustrous sun has set by the water?s edge,
I can see as it goes slowly into the sparkling waters,
to explore the deep floors of the sea.
and the silvery moon has started
to show its beautiful face at last,
after a day long hiding beneath the blue skies!

The chirping little birds all set homewards
having completed
the days chores, and longing to
meet their loved ones.
I stay there watching,
all the lively movements of the life around.

The vendors marching past
in full vigor to sell their merchandise.
I see little children all gay and happy to enjoy
the beauty of the evening in the sea shore
playing in the sands. I stay there watching!
Watching as life passes by??..

Slowly the shadows of the night is engulfing,
but the seashore is still bright and wonderful.
The lanterns of the peanut venders
are like diamonds dotting the coastline.
Life is still out there??with its own enchanting beauty!!

I slowly walk past across the children,
across the shoreline, tranquil and light at heart.
I am on my way back to enjoy life
like a child, like a twittering little bird.
This evening has been a solace
for me, to face tomorrow with vigor.
Logged
Nedura!
Guest
«Reply #98 on: November 28, 2004, 05:23:34 PM »
Reply with quote
wow nishita ...and good one lovebites Usual Smile
Logged
lovebites
Guest
«Reply #99 on: November 28, 2004, 09:17:39 PM »
Reply with quote
thanks allzz and sorry abt double posting it was by mistake.....!

tumhari zindagi mai
mai kaha per ho?
hawaey suba mai
ya shaam k pely sitarey mai
jhijagti bonda bandi mai
k be had teez barish mai
ropehli chandani mai
ya k phirr taptti dopehero mai
bahooot gehrey kealo mai
k behed sar sari dhon mai
tumhari zindagi mai
mai kaha per ho?
hajomey kar se ghabra kar
k sahil k kinarey pey
kisi weekend ka waqfa
k cigrette tasalsal mai
tumhari unglyo k beech
koi be erada reshmi forsat
k jamey surkh se
yaksar hasti
aur phir se
phirr janey ka khush aadab lamha
k aik khwabey mohabbet tootney
aur dosra aghaaz honey k
kahi mabein ik be naam lamhey ki faraghat
tumhari zindagi mai
mai kaha per ho?
Logged
~Rohan~
Guest
«Reply #100 on: December 02, 2004, 10:26:39 AM »
Reply with quote
gud work lovebites n nish
Logged
lovebites
Guest
«Reply #101 on: December 02, 2004, 10:39:01 AM »
Reply with quote
Quote from: "~Rohan~"
gud work lovebites n nish


thanks a lot...........shukriya.............!
Logged
SADIQA JAWED
Guest
«Reply #102 on: December 02, 2004, 02:18:26 PM »
Reply with quote
GOOD EVERY ONE...
TOO GOOD LOVEBITES....!!!
N NISHSI...!!!

Jis Ko Tu Samag Na Paii....Wo Dard Ka Darya Ho Main,
Jo Tuj Se Keh Na Paya ...Wu Dabi Howi Mohabbat Ho Main
Logged
lovebites
Guest
«Reply #103 on: December 02, 2004, 06:01:27 PM »
Reply with quote
Quote from: "SADIQA JAWED"
GOOD EVERY ONE...
TOO GOOD LOVEBITES....!!!
N NISHSI...!!!

Jis Ko Tu Samag Na Paii....Wo Dard Ka Darya Ho Main,
Jo Tuj Se Keh Na Paya ...Wu Dabi Howi Mohabbat Ho Main

Thanks Sadiqa-J

Guftugo Ke Lamhon Main
Dekh He Nahi Paatay
Ham Tumharay Chehray Ko
Tum Hamari Aankhon Ko
Aaj Aisa Kartay Hain
Chasm-o-lab Ko Parhtay Hain
Baat Chor Datay Hain

Jaane Kiya Lamha Hoga
Jab Ye Hath Hathon Say
Gar Kabhi Juda Hoga
Aaj Aisa Kartay Hain
Zabt-e-Jaan Parakhtay Hain
Hath Chor Datay Hain

Kash Koi Samjha Day
Loag Kis Tarah Dil Ki
Manzilain Alag Kar Kay
Saath Chor Datay Hain
Aaj Aisa Kartay Hain
Bey-sabab Bikhartay Hain
Zaat Taur Datay Hain...
-----------------

yeh dhuaan dhuaan sa rehney do,
mujhe dil ki baat kehney do,
mein pagal deewana tera,
mujhe ishq ki aag mein jalney do,

mujhe cho gaye teri nazer,
mujhe hosh beh nahi raha,
is aag mein jalney ga hai,
apna maza apna maza,
berh ley mujhe agosh mein,
aa pass aa mere pass aa,
aa mere pass aa,

yeh garmian yeh narmian,
kya baat hai is pyass mein,
her waqat mein dobi rahoon,
tere pyar k ehsas mein,
tapti howi is rak mein,
mil janey dey mujhe khak mein,
o meri dil ruba,

yeh dhuaan dhuaan sa rehney do,
mujhe dil ki baat kehney do,
mein pagal deewana tera,
mujhe ishq ki aag mein jalney do.
Logged
SADIQA JAWED
Guest
«Reply #104 on: December 03, 2004, 07:26:27 AM »
Reply with quote
Kitna acha lagta jab.....
hum aur tum sath hotay, tum se munsalik koi rishta,
mujhe tang kerta mery koi uljan tumhe pereshan kerty,

Kitna acha lagta jab.....
Hum dur dur tak yun hee chaltay rehtay...
apni apni batein, teray meray kissay suntay,

Kitna acha lagta jab.....
Jab hum hulkee hulkee bhundon mein....
bheegtay bheegtay urtay parindon ko dekhtay,
Aur yun he muskeratay,aur ager jo bhundein taiz hojaen,
aur barish ke charee lag jae, to hum tum bhaag bhaag ker,
jaldee se bargad ke ghanay darakht talay panah letay...

Aur kitna acha lagta jab....
Hum paton se girtee bhundon ko girtay dekhtay rehtay,
na tumhay koi kaam yaad ata, na hamay koi andesha satata..
Aur Kitna Acha lagta jab hum aur tum sath hotay......
Logged
Pages: 1 ... 3 4 5 6 [7] 8 9
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 14, 2024, 03:33:26 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.117 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer