sirf tu chaiye

by muneeb on September 14, 2004, 03:45:02 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 2269 times)
muneeb
Guest
Reply with quote
teray hountoo ki tabassum muskaan chaiye mujhay rehnay kay kiye ik chota saa makan chaiye...jo ta hayat rahay saath meray saath ae meray dost mujhay aesa mehrban chaiye jo khushi day day aur ghum kharid lay saray sada hasrat hai mujhay aesa musalman chaiye jiska dil meray dil kay saath dharkay.. aesa yaro mujhay hamdard saa jaanan chaiye WAFA un ko apna banay ki khuwaish hai. mujhay ab bas yahi dildaar chaiye
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Sirf ayr sirf usi ko yaad karti hoon.... by maya01 in Shayri-E-Dard
maut chaiye by injured.warrior in Shairi - E - Zindagi
DOOBNE WALE KO TINKE KA SAHAR CHAIYE...bansi by BANSI DHAMEJA in Miscellaneous Shayri
Aur kya chaiye...!!! ... premdeep by premdeep in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
Pooja
Guest
«Reply #1 on: September 14, 2004, 05:12:00 PM »
Reply with quote
nice muneeb.
Logged
muneeb
Guest
«Reply #2 on: September 15, 2004, 07:11:01 PM »
Reply with quote
Thank you

miley na phool to kantoon se dosti kar li

is tarah se basar hum ne zindagi kar li

ab agay jo bhi ho anjaam dekha jaye ga

khuda taraash liya or bandagi kar li

miley na phool to kantoon se dosti kar li

is tarah se basar hum ne zindagi kar li

nazar mili bhi na thi or un ko dekh liya

zubaan khuli bhi na thi or baat bhi kar li

milay na phool to kantoon se dosti kar li

is tarah se basar hum ne zindagi kar li

wo jin ko pyar hai chandi se ishak soney se

wo kahain gay kabhi hum ne khud kushi kar li

miley na phool to kantoon se dosti karli

is tarah se basar hum ne zindagi kar li
Logged
Pooja
Guest
«Reply #3 on: September 15, 2004, 08:14:02 PM »
Reply with quote
nice.
Logged
muneeb
Guest
«Reply #4 on: September 16, 2004, 10:20:34 AM »
Reply with quote
Thank you pooja



Palakon se utha ke ye khwaab,
Sajaaye hein kadamon mein tere.
Samhaal ke rakhna kadam,
Kaheen kuchal na jayeen khwaab ye mere.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #5 on: September 16, 2004, 03:35:56 PM »
Reply with quote
khawab palko per sajai jaty hai
dil se sunai jaty hai
hai yah wo zazbaat
jo sirf ahsaas karwai jaty hai
Logged
waheed
Guest
«Reply #6 on: September 16, 2004, 05:15:14 PM »
Reply with quote
NICE POOJA JI

tumhein  khawaabaon mein dekhne ke liye
hum saari zindagi ke liye soye
per tum na aayi khwaab mein
toh hum kabhi na jaagne waali neend mein soye

jaake poochenge khuda se
humein ek baar dikhade tera chehra
hum mar ker bhi na zinda rahe
dekhne ke liye tera chehra
Logged
muneeb
Guest
«Reply #7 on: November 22, 2004, 03:55:51 PM »
Reply with quote
wah pooja


Khuda ko apnay bandoon say
bandoon ko apnay bachoon say
bachoon ko rangoon say
rangoon ko phooloon say
phooloon ko kushboo say
kushboo ko jhoonkoon say
jhoonkoon ko baadal say
baadal ko paani say
paani ko barish say
or Mujh ko Tum say
Mohabbat hay!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #8 on: November 22, 2004, 07:55:10 PM »
Reply with quote
wah!!!! wah!!! wah!!! bahoot khoob Muneeb ji!!!! bahoot acha likha hai apne!!!!

Chahne ko chaha sara jahan
dikha nahi koi namo nishan
ek jab se tujhko chaha hai
khud ke hone ka arth, samjh mai ayya hai!!!!
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #9 on: November 23, 2004, 10:55:24 AM »
Reply with quote
wah!!!! muneb.............pooja......bahot khoob........
Logged
muneeb
Guest
«Reply #10 on: November 23, 2004, 01:14:39 PM »
Reply with quote
thans pooja and waheed ..


mohabbat hai
chand ko chandni sai
suraj ko kirno sai
phool ko khusboo sai
samandar ko lahroon sai
lahroon ko kinaroon sai
dil ko dhadkan sai
dharkan ko sansoon sai
aur
mujhe tum sai
mohabbat hai
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 14, 2024, 03:20:43 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.11 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer