Sunoge Mera Haal To Tardap Jaaoge,..

by Jaanasheen on June 20, 2006, 08:22:09 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 10298 times)
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
Reply with quote
Dum Labon Par Hai Agar Ab Bhi Nahi Aaoge,..
Laash Paaoge Meri Mujhko Nahi Paaoge,..
Yahi behtar Hai Mera Haal Na Poocho Mujhse,..
Tum Mera Haal Haal Sunoge To Tardap Jaaoge,..

_____________________________-Jaanasheen-
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #1 on: June 20, 2006, 08:33:03 AM »
Reply with quote
Mera Haal Dekh Kar Saare Log Mere Haal Pe Haste Hain,..
Kya Tere Sheher Mein Sitam Gar Aise Zaleem Log Bhi Rehte Hain,..

Tere Pyaar Mein Loot Gayi Jawaani Tujhse Shikwa Hai Na Gilaa,..
Tujhe Maine Apna Samjha Tha,Mujhe Tu Bhi Nahi Milaa,..

Teri Yaad Mein Aansoon Meri Aankh Se Behte Hain,..
Kya Tere Sheher Mein Sitam Gar Aise Zaleem Log Bhi Rehte Hain,..

Main Kaise Bhoolaaon Tujhko Teri Yaad Sataati Hai,..
Furqat Mein Sanam Ye Yaad Teri Din Raat Rulaati Hai,..

Teri Yaad Ke Nashtar Mere Dil Mein Khatakte Hain,..
Kya Tere Sheher Mein Sitam Gar Aise Zaleem Log Bhi Rehte Hain,..

Tere Naam Pe Sadke Jawaani Tera Pyaar Mera Imaan,..
Jo Chahe Tu Karle Sitam Ab, Ya Chahe Le Le Jaan,..

Pyaar ke Rogi Yaar Ka Har Gham Haskar Sehte Hain,..
Kya Tere Sheher Mein Sitam Gar Aise Zaleem Log Bhi Rehte Hain,..

Teri Yaad Mein Dar Dar Bhatkoon Tujhko Dhoond Raha Hoon Main,..
Tera Pata Main Thandi Hawaa Se Khusboo Pooch Raha Hoon Main,..

Pheeron Main Aise Jaise Deewaane Log Phirte Hain,..
Kya Tere Sheher mein Sitam Gar Aise Zaleem Log Bhi Rehte Hain,..

_______________________-Ata Ullah Khan-__________________


Logged
nikki
Guest
«Reply #2 on: June 20, 2006, 08:35:48 AM »
Reply with quote
superbbbbbb Jaanasheen ji....bahut hi pyara likha hai aapne
Logged
ranjana
Guest
«Reply #3 on: June 20, 2006, 09:26:18 AM »
Reply with quote
wow Azeem bhai bahut khub likha aapne ......great job...........
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #4 on: June 21, 2006, 12:14:56 PM »
Reply with quote
Beautifully written Azeem bhai and Thanks for sharing a nice Ghazal....


Kaisa haal hai humara, ab naa pucho humsey,
phir sey woh kahaani ab na suna payegey...
Kisney kiya hai yu bedardi sey katl humara,
Us Kaatil kaa naam na hum bata payegey....

Woh jo meri dhadkan mey basta tha kabhi,
Merey khawabon mey jiska har pal basera tha,
Woh jo kehta tha jaan bhi dey jaunga tujhey,
Jis sey rishta meri sanson ka bahut ghera tha....

Bewafaii uski hum duniya ko nahin sunayegey,
yeh dard dil key coney mey daba jayegey....
Jo keh di yeh kaahani humney zamaney sey,
Pyar karney waley sabhi log tadap jayegey...

[/b]
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #5 on: June 21, 2006, 12:39:31 PM »
Reply with quote
Wah Wah kya khoob likha Azeem bhai and Shikha
Logged
purani_jeans_aur_guitar
Guest
«Reply #6 on: June 21, 2006, 12:46:24 PM »
Reply with quote
very nice janasheen ji & shikha ji.........

 ise dard samjhu ya samjhu khuskismati apni ki
 woh mere dard-e-dil per wah wah karke chale gaye.

.................@fahi@.....................
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #7 on: June 22, 2006, 10:40:44 AM »
Reply with quote
Thanks a lot Gaurav and PJAG
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #8 on: June 29, 2006, 06:02:46 AM »
Reply with quote
Quote from: "nikki"
superbbbbbb Jaanasheen ji....bahut hi pyara likha hai aapne


Shukriya Nikki Ji,..
Gar App Kuch Likh Dete To Seekhne Ka Maukha Milta,..
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #9 on: June 29, 2006, 06:04:32 AM »
Reply with quote
Quote from: "ranjana"
wow Azeem bhai bahut khub likha aapne ......great job...........


Shukriya Ranjana Sis,..

Apni Tanhaai Mein Mashroof The Hum,..
Aaj Muddat Baad Kisi Ne Pukaara Hai,..
Ek Pal Ke Liye To Sochne Lage,..
Kya Ye Naam Hamara Hai,..

Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #10 on: June 29, 2006, 06:15:04 AM »
Reply with quote
Quote from: "Shikha12"
Beautifully written Azeem bhai and Thanks for sharing a nice Ghazal....


Kaisa haal hai humara, ab naa pucho humsey,
phir sey woh kahaani ab na suna payegey...
Kisney kiya hai yu bedardi sey katl humara,
Us Kaatil kaa naam na hum bata payegey....

Woh jo meri dhadkan mey basta tha kabhi,
Merey khawabon mey jiska har pal basera tha,
Woh jo kehta tha jaan bhi dey jaunga tujhey,
Jis sey rishta meri sanson ka bahut ghera tha....

Bewafaii uski hum duniya ko nahin sunayegey,
yeh dard dil key coney mey daba jayegey....
Jo keh di yeh kaahani humney zamaney sey,
Pyar karney waley sabhi log tadap jayegey...

[/b]


Bahoot Khoob Likha Hai Shikha Sis,..
Lage Raho,..

Jaa Rahe Hain Woh Dekho Hume Tanhaa Chordkar,..
Jo Kabhi Dil Mein The Aaj Jaa Rahe Hain Dil Ko Tordkar,..

Bahoot Armaan Tha Mera Ke Uske Saath Apna Ghar Basaaoon,...
Uski Bahon Ki Panaah Lekar Main Koi Sapne Sajaaoon,..

Khawaab Jo Dekhe The Maine Sab Toot Gaye,..
Apne Jo Kabhi The Mere Sab Rooth Gaye,...

Sach Kehte The Dost Mere Ke Mohabbat Na Karna,..
Jo Karta Hai Mohabbat Usko Pardta Hai Be-Maut Marna...

Thukraa Kar Baatein Doston Ki Maine Us Bewafaa Se Mohabbat Ki,..
Aur Wo Be-Rehem Aisi Nikli Ke Usne Sirf Ashikon Ki Chahat Ki,..

Hamari Chahat Ko Dekh Kar Pathar Bhi Aansoon Bahaane Lage,..
Dushman Bhi Mere Gham Dekhkar Mujhe Gale Se Lagaane Lage,..

Magar Phir Bhi Uske Dil Mein Mere Liye Wafaa Na Thi,..
Waqt Aisa Aaya ke Mere Naam Se Hi Use Nafrat Hone Lage,..

_________________________-Azeem-______________________
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #11 on: June 29, 2006, 06:16:17 AM »
Reply with quote
Quote from: "badnaam_shayar"
Wah Wah kya khoob likha Azeem bhai and Shikha


Shukriya Bhai Gar App Kuch Likh Dete To Seekhne Ka Maukha Milta,..
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #12 on: June 29, 2006, 06:20:00 AM »
Reply with quote
Quote from: "purani_jeans_aur_guitar"
very nice janasheen ji & shikha ji.........

 ise dard samjhu ya samjhu khuskismati apni ki
 woh mere dard-e-dil per wah wah karke chale gaye.

.................@fahi@.....................


Nice One PJAG,..

Dard To Ho Raha Hai Mujhe Bhi Ke Wo Waah Waah Kehke Jaa Rahe Hain,..
Magar Is Baat Ka Ehsaas Bhi Hua Ke Aah Aah Bhi Kehke Jaa Rahe Hain,..

_________________________________________________ ___-Jaanasheen-
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #13 on: July 01, 2006, 07:06:56 AM »
Reply with quote
Deewaano Se Ye Mat Poocho,..
Deewaano Par Kya Guzari Hai,..
Haan Unke Dilon Se Ye Poocho,..
Armaano Par Kya Guzri Hai,..

Auron Ko Peelaate Rehte Hain,..
Aur Khud Pyaase Reh Jaate Hain,..
Ye peene Waale Kya Jaane,..
Paimaano Pe Kya Guzari Hai,..

Malik Ne Banaya Insaan Ko,..
Insaan Mohabbat Kar Baitha,..
Wo Upaar Baitha Kya Jaane,..
Insaano Pe Kya Guzarti Hai,..

__________-Qamar Jalalabaadi-
Logged
Raja Jain
Guest
«Reply #14 on: June 03, 2011, 07:15:22 AM »
Reply with quote
bahut khoob azeem bhai ji bahut khoob likha....... Applause
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 11:10:07 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.153 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer