tere bicharhne ke khayal.....

by Tamanna4u on December 24, 2004, 10:31:34 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 2092 times)
Tamanna4u
Guest
Reply with quote
Tere bicharhne ke khayalon se nikal nahi pati,
tujhse apni mohabatt ka izhaar kar nahi pati.......
kyon hain itni rukavaten mazil ko apnane mein,
karti hoon maut ka intzaar kyon zindagi jee nahi pati !!!!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Tere Khayal Likhwa Raha Hai... by majid in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
ye jo oos par tere paw hai, gazal ka koi khayal hai by mrigank in Shayari -e- Husn
tujse bahetar khayal tere, by jyuthika in Miscellaneous Shayri
Tere Khayal by Advo.RavinderaRavi in Shayri for Khumar -e- Ishq
Tere khayal se badker by Dineshkumarjonty in Songs & Lyrics
salaam2all
Guest
«Reply #1 on: December 24, 2004, 02:01:26 PM »
Reply with quote
mohabbat may maza aqsar bicharnay ka he aata hay
k jitna ho juda dilbar khayalo may wo aata hai
wo baatey yaad aati hay jo hoti thi kabhi chupkar
k dil humsay ye kahta hay guzaarein hum safar milkar
kabhi thi aarzoo dil may ki ab bus maut aa jaaye
k dard-e -ishq say pehley wo aankhon may sama jaye
tamanna maut ki karkay bhi raahey thi nahi aasaa
k jab ki maut khawaish tou dilbar ka khayal aaya


isliye tamanna mushqil cheezo ki kigiye assan cheeze ki nahi
waisey it was a good one..salaam
Logged
salaam2all
Guest
«Reply #2 on: December 24, 2004, 02:03:44 PM »
Reply with quote
mohabbat may maza aqsar bicharnay ka he aata hay
k jitna ho juda dilbar khayalo may wo aata hai
wo baatey yaad aati hay jo hoti thi kabhi chupkar
k dil humsay ye kahta hay guzaarein hum safar milkar
kabhi thi aarzoo dil may ki ab bus maut aa jaaye
k dard-e -ishq say pehley wo aankhon may sama jaye
tamanna maut ki karkay bhi raahey thi nahi aasaa
k jab ki maut ki khawaish tou dilbar ka khayal aaya

 sorry tamanna there was the typing mistake in the last line
Logged
Tamanna4u
Guest
«Reply #3 on: December 25, 2004, 08:09:18 AM »
Reply with quote
salaam ji u write too good....... :D
Logged
Tamanna4u
Guest
«Reply #4 on: December 25, 2004, 08:13:01 AM »
Reply with quote
Salaam ji......
Kya bicharhe hai aap bhi kissi se,dil choor choor ho jata hai....
banati hoon koi dost to bicharhne ka khayal man mein aata hai!!
kyon lagti hai rahen har waqt tanha,
kyon bus maut ka khayal man mein aata hai!!!!!
Logged
Delicate_Doll
Guest
«Reply #5 on: December 25, 2004, 11:15:56 AM »
Reply with quote
wahhhhhhhh...n.gr888888...both..Usual Smile
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #6 on: December 25, 2004, 11:44:25 AM »
Reply with quote
wah!!!!!!!!! excellent..........salam.........tamanna... :lol:
Logged
salaam2all
Guest
«Reply #7 on: December 25, 2004, 12:57:35 PM »
Reply with quote
bahut bahut shukriya salma jee, waheed and tammana

tamanna jee..


Bicharta hay usi say jiska koi apna hota hay
Giley shikway usi say hay jisay dil apna kahta hay
Ye maana dard hota hay bicharney ka yu apno say
Magar socho kabhi uska yaha jo tanha hota hay
Na aankhein uski roti hay na dil bechain hota hay
Tarastey hay jahan may hum kisi ko apna kahney ko
Bicharna bhi mohabbat ka he ik dastoor hota hay
Logged
Tamanna4u
Guest
«Reply #8 on: December 26, 2004, 01:26:49 PM »
Reply with quote
salaam ji.......
kaha khoob aapne aakhri pangti mein......!!!!

karte the pyar hum bhi kisse se
chheen liya khuda ne har sapna humara.....
darte hain chahne se kissi ko ab
chahen ho vo kitna bhi pyara......
yaad aati hai ussi ki har baat
vo hath thamna ,vo dena sahara.....
kya yahi reet hai iss jamane ki
chod do har ek ko besahara....
Logged
salaam2all
Guest
«Reply #9 on: December 26, 2004, 01:52:34 PM »
Reply with quote
shukriya tamanna

Khudai uski hay aisi ki sabko wo he deta hay
Na insaa may ye taqat hay ki wo insaa ko deta hay
Karo tum shukr ki tumko sahara uska hay ab bhi
Khata insaan ki aur dosh wo ALLAH ko deta hay
k dil say tum kabhi ussay dua tou maang kar dekho
Tamanna ko khabar hogi shahra kaun deta hay
Logged
Namkeen
Guest
«Reply #10 on: December 26, 2004, 02:07:27 PM »
Reply with quote
Very very nice salaam2all .... Bohot acha kahan
Logged
lovebites
Guest
«Reply #11 on: December 27, 2004, 08:10:47 AM »
Reply with quote
HuMm~!

Bohat achey allzz...............!
Logged
salaam2all
Guest
«Reply #12 on: December 28, 2004, 10:39:33 AM »
Reply with quote
shukriya namkeen and lovebite
Logged
lovebites
Guest
«Reply #13 on: December 29, 2004, 02:54:48 PM »
Reply with quote
Koi jab poch bethe ga Khamoshi ka sabab tum se
Bohat samjhana chaho gay Magar samjha na pao gay
Kabhi duniya mukammal ban Ke aae gi nigahon main
Kabhi meri kami duniya ki Har aik shae main pao gay
Logged
Tamanna4u
Guest
«Reply #14 on: January 16, 2005, 04:06:53 PM »
Reply with quote
thanks to all!!!!!!
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 08:27:45 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.086 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer