Tere Intezaar mey (Shikha)

by Shikha12 on August 14, 2006, 02:52:42 PM
Pages: 1 [2] 3 4  All
ReplyPrint
Author  (Read 7851 times)
Shikha12
Guest
«Reply #15 on: August 18, 2006, 02:45:03 PM »
Reply with quote

Just Superb.. Ranju di.... Kya baat hai...
[/b]
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
intezaar,tere liye by cooljames in Shayri-E-Dard
Purana Intezaar (Shikha) by Shikha12 in Shayri for Dard -e- Judai « 1 2 3  All »
Tere Liye..... (Shikha) by Shikha12 in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Pyar se tere - shikha by Shikha sanghvi in Shayri for Khumar -e- Ishq
Tere naam - shikha by Shikha sanghvi in Shayri for Khumar -e- Ishq
Shikha12
Guest
«Reply #16 on: August 18, 2006, 02:52:46 PM »
Reply with quote

Ek intezaar tera, meri muhabbat ko..
Janamo sey tha... Janamo tak rahega...

Shama ki tarah jal gayii "Shikha" tere liye,
Dekhna tujhko yeh sansaar kahega...

Main chali jaungi to dhoodhogey mujhey,
Ankhon sey bankar ansoo mera pyar bahega..

Woh jo seh rahey hai hum teri justzoo mey,
Tu bhi kabhie meri hi tarah yeh dard sahega..

Ek din aayega woh bhi jaroor, hum na rahegey,
Tujhko bhi sanam phir mera intezaar rahega...
[/b]
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #17 on: August 23, 2006, 08:01:13 AM »
Reply with quote

Raah dekha kiye, hum tera barso talak,
Tere intezaar ki ab to hadd hi ho gayii...

Har manzil tey kar li humney tere liye,
Ab to raahon ki bhi yahan kamii ho gayii...

Har mod par ruk kar tujhey pukara humney,
Magar Shor mey ab meri aawaaz kho gayii...

Hath thaam lo aakar aakhiri baar mera,
Aur sab aarzoo dil ki ab khatam ho gayii...
[/b]
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #18 on: August 23, 2006, 11:38:46 AM »
Reply with quote

Aaj phir tera intezaar humney kiya...
Dil ko ek baar phir tere liye bekaraar kiya...
Dehleej pey rakha tere naam ka diya,
Har aandhi ke liye isko tayyar humney kiya...
Tera naam lekar khuda sey pehley,
Duniya ki nazron mey khud ko gunhagaar kiya...
[/b]
Logged
angel4u
Guest
«Reply #19 on: August 26, 2006, 08:44:03 PM »
Reply with quote
Wonderful shikha
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #20 on: August 30, 2006, 08:14:59 AM »
Reply with quote

Thanks Angel....
[/b]
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #21 on: August 30, 2006, 08:26:06 AM »
Reply with quote

Dil mera Soona Soona...
Soona lagey mujhey apna pyaar...
Aankhon mey bhi ek soonapan,
Aur tumhara Intezaar....

Adhletey hum likhtey hai,
Dil ki baatein kagaz par,
Likhtey hai Tera Naam aur
Likh kar mita detey har Baar....

Dekh naa paaye mere aansoo,
Dekha naa mera deewanapan,
Samjha naa kabhi mujhko tumney,
To Samjhogey kya mera pyaar....

[/b]
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #22 on: September 03, 2006, 01:00:27 PM »
Reply with quote

Tere intezaar mey woh manzar bhi dekha,
Lamho ko sadiyon mey badaltey hue dekha…
Zindagi ko jeene ki saza humney di phir bhi…
Roz Kiston mey humne khud ko marte hue dekha…
[/b]
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006

View Profile
«Reply #23 on: September 05, 2006, 07:11:18 AM »
Reply with quote
Waah Shikha Sis Kamaal ka Likha Hai,..
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #24 on: October 16, 2006, 02:38:06 PM »
Reply with quote

Shukriya Azeem.... :D
Kuch nahin likha tumney sad5
[/b]
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006

View Profile
«Reply #25 on: October 16, 2006, 02:49:22 PM »
Reply with quote
Quote from: "Shikha12"

Tere intezaar mey woh manzar bhi dekha,
Lamho ko sadiyon mey badaltey hue dekha…
Zindagi ko jeene ki saza humney di phir bhi…
Roz Kiston mey humne khud ko marte hue dekha…
[/b]

Humne Bhi Tere Intezaar Mein Sab Kuch Badalte Dekha,..
Raatein Likhi Gayio Naseeb Mein Mere Din Ko Maine Kuch Aise Dhalte Dekha,..
Afsos ke Anjaan Thi Tum Meri Dastaan-e-Judaai Se "Shikha",..
Humne Aaj Khud Apni Raah Mein Kaanton Ko Daalte Dekha,..

____________________________________-Jaanasheen-
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #26 on: October 16, 2006, 03:06:44 PM »
Reply with quote
Quote from: "Jaanasheen"
Quote from: "Shikha12"

Tere intezaar mey woh manzar bhi dekha,
Lamho ko sadiyon mey badaltey hue dekha…
Zindagi ko jeene ki saza humney di phir bhi…
Roz Kiston mey humne khud ko marte hue dekha…
[/b]

Humne Bhi Tere Intezaar Mein Sab Kuch Badalte Dekha,..
Raatein Likhi Gayio Naseeb Mein Mere Din Ko Maine Kuch Aise Dhalte Dekha,..
Afsos ke Anjaan Thi Tum Meri Dastaan-e-Judaai Se "Shikha",..
Humne Aaj Khud Apni Raah Mein Kaanton Ko Daalte Dekha,..

____________________________________-Jaanasheen-

wondeful  Azeem.........Shikha................

too jo badla badal gaye hum bhi
pyar kartay thay bandagi to nahin
waqt kat jayega baher soorat
too koi shart-e-zindagi to nahin.........
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #27 on: October 16, 2006, 03:08:17 PM »

Naam hai yahan judaai ka, toh dard yakeenan hoga...
Tumhari aahon ka yeh mausam, sard yakeenan hoga...
Duayen doston ki sada sar-ankhon par rakhna "Azeem"
Asar se inke, tere kareeb tera humdard yakeenan hoga...:D :D :D
[/b]
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #28 on: October 16, 2006, 03:09:39 PM »
Reply with quote
Quote from: "waheed_rose2004"
Quote from: "Jaanasheen"
Quote from: "Shikha12"

Tere intezaar mey woh manzar bhi dekha,
Lamho ko sadiyon mey badaltey hue dekha…
Zindagi ko jeene ki saza humney di phir bhi…
Roz Kiston mey humne khud ko marte hue dekha…
[/b]

Humne Bhi Tere Intezaar Mein Sab Kuch Badalte Dekha,..
Raatein Likhi Gayio Naseeb Mein Mere Din Ko Maine Kuch Aise Dhalte Dekha,..
Afsos ke Anjaan Thi Tum Meri Dastaan-e-Judaai Se "Shikha",..
Humne Aaj Khud Apni Raah Mein Kaanton Ko Daalte Dekha,..

____________________________________-Jaanasheen-

wondeful  Azeem.........Shikha................

too jo badla badal gaye hum bhi
pyar kartay thay bandagi to nahin
waqt kat jayega baher soorat
too koi shart-e-zindagi to nahin.........

Wow... Too nice Waheed... Puzzled ! =D>
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #29 on: October 16, 2006, 03:14:39 PM »
Reply with quote
Quote from: "waheed_rose2004"
Quote from: "Jaanasheen"
Quote from: "Shikha12"

Tere intezaar mey woh manzar bhi dekha,
Lamho ko sadiyon mey badaltey hue dekha…
Zindagi ko jeene ki saza humney di phir bhi…
Roz Kiston mey humne khud ko marte hue dekha…
[/b]

Humne Bhi Tere Intezaar Mein Sab Kuch Badalte Dekha,..
Raatein Likhi Gayio Naseeb Mein Mere Din Ko Maine Kuch Aise Dhalte Dekha,..
Afsos ke Anjaan Thi Tum Meri Dastaan-e-Judaai Se "Shikha",..
Humne Aaj Khud Apni Raah Mein Kaanton Ko Daalte Dekha,..

____________________________________-Jaanasheen-

wondeful  Azeem.........Shikha................

too jo badla badal gaye hum bhi
pyar kartay thay bandagi to nahin
waqt kat jayega baher soorat
too koi shart-e-zindagi to nahin.........

Yeh Mera pyaar meri bandagi hai...
Tera saath he shart-e-zindagi hai..
Tere bin lagti hai har raah udaas,
Tu hai to zindagi mey har khushi hai...
[/b]
Logged
Pages: 1 [2] 3 4  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 10:28:29 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.106 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer