ammna
Guest
|
teri janib agar chale hote. hum na youn darbadar huwe hote.
sari dunia heh meri muthi main. kaun aye ga ab tere hote.
aur ab kyoun nahi nibhate ho. itne wade nahi keye hote.
Paa liya main ne sari dunia ko. koi khawaish nahi tere hote.
us ki aankoon main bar pane ko. kaash hum khawab ban gaye hote.
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
tinda
Guest
|
|
«Reply #1 on: January 25, 2006, 08:03:08 AM » |
|
very nice ammna....
kehne ko to sara jahan chalta hai mere sath, nazre dhundhti hai sirf tujhko apne carwan me
|
|
|
Logged
|
|
|
|
ammna
Guest
|
|
«Reply #2 on: January 25, 2006, 09:40:37 AM » |
|
Thanks...... yeh to aap ka husn-e-shauk heh.
"Waqat ke saath khayalat badal jate hein." "Jiss tarah roz ka akhbar naya hota heh."
akhbar (newspaper) naya (new)
|
|
|
Logged
|
|
|
|
HumTum is back
Guest
|
|
«Reply #3 on: January 25, 2006, 09:46:15 AM » |
|
waah waah Ammna ji .. mashaalaah kya khoob likha hai ... har sher jaseey dil ko chuu gya ... 'teh dil se daad kabool kijiye .... chend alfaaz pesh nazar hai !!!
kash ke hum tere na huye hote to shayad hum bhi zindgi jiye hote
gar karta tu waffa rah e ishq mein to yun na humney honth apne siye hote
kiye tehy jo sath nibane ke woh wade e' kashh ke tune woh pure kiye hote !!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
nikki
Guest
|
|
«Reply #4 on: January 25, 2006, 09:51:13 AM » |
|
wah ji wah..bahut khoob likha hai sabne
yahan to sabhi chot khaye hue hain kuch zakhm hamare dil par bhi hain jo humne duniya se chupaye hue hain
kash yeh dil tum par na aaya hota to pyar ki tadap kya hoti hai yeh dil samajh na paya hota
|
|
|
Logged
|
|
|
|
HumTum is back
Guest
|
|
«Reply #5 on: January 25, 2006, 09:51:34 AM » |
|
Nice one tinda ji .. as always !!!
Aaina dekh ke mein tumko dekh leta hoon meri surat teri surat se koi juda to nhi !!!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
HumTum is back
Guest
|
|
«Reply #6 on: January 25, 2006, 09:55:05 AM » |
|
A real beauty Choti !!!
Nafas nafas ko meri beqraar chod gya woh ik shaks mujhey sougwaar chod gya woh kabhu khul ke mujh pe barsa to nhi apne sawaan ka mujh pe abr e gubaar chod gya !!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
nikki
Guest
|
|
«Reply #7 on: January 25, 2006, 09:55:23 AM » |
|
very nice Humtum
kehne ko to judayi hai magar har pal rehte hain woh mere dil mein
karne ko to taye ho jaata hai milon ka safar magar woh raasta nahi milta jo jaata hai dil ki gehrayi mein
|
|
|
Logged
|
|
|
|
HumTum is back
Guest
|
|
«Reply #8 on: January 25, 2006, 10:01:29 AM » |
|
Amazing .. Real words !!!
judai ki yeh tanhaa ratien ankhoon mein ansoo lati hai tu duur hai bahut mere sanam mujh se yeh ehsaas dilati hai ab aa bhi ja ke tere bina jee na sakengey hum "Dilbahr" tujhey dekh ke hi to meri saansoon mein saans aati hai !!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
nikki
Guest
|
|
«Reply #9 on: January 25, 2006, 10:07:04 AM » |
|
walla..kya kamaal likha hai...
woh jo koson door baithe hain samajhte hain humein khabar hi nahi jo aag unke dil mein lagi hai woh hamare hi dil se ho kar hai gayi
|
|
|
Logged
|
|
|
|
HumTum is back
Guest
|
|
«Reply #10 on: January 25, 2006, 10:37:12 AM » |
|
aree waah ji waah !!!!
dilbahr se duriya tanhaai ka alaam aaja sanam ke tujh bin rha nhi jata kyun duur reh ke itna tadpa rhey ho ab gum e judai mujh se sha nhi jata !!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
ammna
Guest
|
|
«Reply #11 on: January 26, 2006, 04:19:00 AM » |
|
Very nice, aap sab bohat acha likhte ho..........
Lahu rone se darti hoon, juda hone se darti hoon. Meri aankhen batati hein keh main sone se darti hoon.
Meri ungli pakr lena, mujhe tanha nahi karna. Yeh dunia aik maila heh, tumhein khone se darti hoon.
jo hansti ho to kyoun palkoon ke goshe bheej jate heh. Tumein maloom heh main is tarah rone se darti hoon.
Jab se khawab dekha heh, mujhe tum chord jawo ge. Main ab darti hoon khawaboon se,main ab sone se darti hoon.
|
|
|
Logged
|
|
|
|
nawabian
Guest
|
|
«Reply #12 on: January 26, 2006, 09:54:40 AM » |
|
"Teri sorat se nahi milti kisi ki soorat. hum jahan main teri tasveer liye phirte hein.
|
|
|
Logged
|
|
|
|
HumTum is back
Guest
|
|
«Reply #13 on: January 26, 2006, 10:00:30 AM » |
|
waah waah waah !!!! bahut khubsuraat tehreer pesh ki hai apne Ammna ji ....... khaskar aap ka yeh sher
"Jo hasto ho to kyun palkon ke goshe bheej jate hai tumhey maluum hai mein iss trah rone se darti hoon"
bahut hi payara hai ...... da'ad kabool kijiye !!!!
kar lo jitne hain karne gile ab ke bichhade to kahaN mile
hasratain dil ki dil mai rahi ruswa ho kar jahan se chale
sab ne jab thukraya hai mujhe aashiyan kis ke dar pe mile
un se shikwa na koi gila ham ne lab aaj se hain sile
dard-e-ulfat kise samjhaayen dard ulfat se ham ko mile
aaj tak yeh na samjhe hai woh azmaane se kuch na mile
bekhabar the duniya se ham ham se kitne hain sab ko gile
hai jo kismat mai tanha safar hamsafar mujh ko kaise mile
chaaha zalim ko hamne sada phool ke saath kaante mile
khaak ho jaana mushkil nahin ik sharaara to mujh ko mile
hai tamanna meri aaj bhi mujh ko teri mohabbat mile !!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
nikki
Guest
|
|
«Reply #14 on: January 26, 2006, 10:39:43 AM » |
|
wao very nice Ammna ji n humtum..gud one nawabian.....
mohabbat mein insaan kya se kya ho jaata hai jinse bichad kar jee nahi payenge sochte hain wahi ik din berukhi se daaman hai chudate
judayi kaise sahenge hum kya bitegi dil par agar thes lagi to yahi soch kar hum dil nahi lagate
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|