TERI JANIB AGAR CHALE HOTE

by ammna on January 18, 2006, 11:19:14 AM
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Author  (Read 2577 times)
HumTum is back
Guest
«Reply #15 on: January 27, 2006, 01:38:48 PM »
Reply with quote
waah waah .. bahut acchey Nikki !!

Koi milta hi nahin humse hamara ban ker
Tum mile bhi to bahut door kinara ban ker

Har ek ummed nigahon se chalak jati hai
Unke her lafz pe aankhon se sharara ban ker

Aur sab toot gayi cheezen khilonon ki tarah
Ek yaqin saath mien rahta hai sahara ban ker !!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Woh hote agar by lovely_amez in Shayri for Khumar -e- Ishq
Agar aap itne pyare na hote. by chahat in Shayri for Khumar -e- Ishq
Woh Humse Door hote chale gaye..!! by jassworld in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Agar Hum Na Hote(NM) by frndzz4ever in SMS , mobile & JOKES
Agar tum saath hote by ~princess~ in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Pooja
Guest
«Reply #16 on: January 28, 2006, 01:22:17 AM »
Reply with quote
wah kaya baat hai ammna ji, niki and HumTum@lajawaab.com!!!

Milaty hai log, bichar jaaty hai
kuch apne nishan dil per chor jaaty hai
waqat ki lahre aa aa kar laut jaati hai
kinaaro ki mitti kahin, gahraai mai le jaati hai!!

Dil ke ander, yah mitti shor muchaati hai
Teri yaand, lahu ke ansoo hume rulaati hai
Kash yah kinara kabhi to tuje najar ayye
Jo bacha hai kinare per, usse to chain aa jaaye!!
Logged
ammna
Guest
«Reply #17 on: January 28, 2006, 05:04:55 AM »
Reply with quote
thanks 2 every one who appreciated my efforts...

Khushnaseebi se payar milta heh.
warna gard-o-gubbar milta.

hum jis se milke khush nahi hote.
woh kyoun hamein bar bar milta heh.

kami nahi phoolon ki chaman main phir bi.
har phool hamein ban ke Khar(KANTA) milta heh.
Logged
SADIQA JAWED
Guest
«Reply #18 on: January 29, 2006, 10:58:36 AM »
Reply with quote
Quote from: "ammna"
thanks 2 every one who appreciated my efforts...

Khushnaseebi se payar milta heh.
warna gard-o-gubbar milta.

hum jis se milke khush nahi hote.
woh kyoun hamein bar bar milta heh.

kami nahi phoolon ki chaman main phir bi.
har phool hamein ban ke Khar(KANTA) milta heh.

good !

Yaadon Ko Apne Dil Se Mita Kyon Nahin Dete,
Jo Jaa Chuka Hai Us Ko Bhula Kyon Nahin Dete.

Mujrim Hoon Main Tera Mujhe Itna To Bata,
Khamosh Khade Ho Kyon Saza Kyon Nahin Dete.

Use Jis Ke Zakham Hain Inaayat Teri,
Gar Hai Tumhare Paas To Dawa Kyon Nahin Dete.

Kayee Ghar Nahin Baste Hain Jin Ki Vajah Se,
Un Adhjali Rasmon Ko Jala Kyon Nahin Dete.

Us Ne Tumhari Khaatir Kya Kya Nahin Kiya,
Tum Us Ki Wafaaon Ka Sila Kyon Nahin Dete.

Tumhein Mujh Se Mohabbat Hai Jaanta Hoon Main,
Ye Baat Apne Lab Se Bata Kyon Nahin Dete.

Anmol Khazana Hain Muskurahatein Teri,
Thoda Sa Ise Mujh Pe Luta Kyon Nahin Dete.

Wo Aag Jo Dil Mein Lagaai Thi Kabhi Tum Ne,
Wo Aag Aaj Khud Hee Bujha Kyon Nahin Dete.

Ek Arsa Hua Chain Se Soye Huye Dost
Mera Chain, Meri Neend Lauta Kyon Nahin Dete (nm)
Logged
ammna
Guest
«Reply #19 on: February 02, 2006, 05:06:39 AM »
Reply with quote
"Sare Jhagray hi zindagi tak hain."
"Kaun marta heh, phir kisi ke liye"

Logged
ammna
Guest
«Reply #20 on: February 05, 2006, 11:47:32 AM »
Reply with quote
"Tum rooth jawo mujhe se, aisa kabhi na ho.
Min ik ik nazar ko tarsoon, aisa kabhi na ho.

Main pooch pooch haron, so so sawal kar ke.
Tum koi na do jawab, aisa kabhi na ho.

Kuch main bi janooni hoon, kuch meri mohabbat bi.
Yeh janoon tujh ko na bahe, aisa kabhi na ho.

Mere hi saath hansana, maere hi saath rona.
Mujh se bichar ke ji lo, aisa kabhi na ho.
Logged
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 06:56:10 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.096 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer