Teri yaad aaye to Kya Karen...... Abul Asad

by Abul Asad on January 15, 2012, 06:22:09 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 2929 times)
Abul Asad
Maqbool Shayar
****

Rau: 3
Offline Offline

Waqt Bitaya:
7 days, 50 minutes.
Posts: 773
Member Since: Dec 2011

View Profile
Reply with quote

Teri yaad aye aur to na ho pas mere to kya karen
Tasveer teri ab dil mera na behlaye to kya karen
 
Hai waqt aisa ke tu bolaye aur ham na aapayen to kya karen
Hai jo ab tu vanhan mushtaqh aur ham bechaaar to kya karen
 
Kehte hain bora waqt bhi guzar jata hai kabhi
Jo nahi guzarta yeh waqt abhi to kya karen

Har cheez hai araaish-e zindagi ke liye idhar
Par jo dil ko chahiye, nahi idhar to kiya karen  

Abul Asad
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011

View Profile
«Reply #1 on: January 16, 2012, 04:43:54 AM »
Reply with quote
bahut khoob
Logged
Abul Asad
Maqbool Shayar
****

Rau: 3
Offline Offline

Waqt Bitaya:
7 days, 50 minutes.
Posts: 773
Member Since: Dec 2011

View Profile
«Reply #2 on: January 16, 2012, 08:21:50 AM »
Reply with quote
Dr Sahab,

Aap ka daad dena bahut acha lagta hai,
Shukriya bahut bahut.
Dua Goo
Abul Asad
Logged
sunildehgawani
Guest
«Reply #3 on: January 16, 2012, 08:25:35 AM »
Reply with quote
 :clapping Clapping Smiley Clapping Smiley very nice
Logged
saahill
Mashhur Shayar
***

Rau: 86
Offline Offline

Waqt Bitaya:
147 days, 16 hours and 48 minutes.
Posts: 18608
Member Since: Jun 2009

View Profile
«Reply #4 on: January 16, 2012, 08:40:57 AM »
Reply with quote
boht khoob abul ji wah
Logged
Abul Asad
Maqbool Shayar
****

Rau: 3
Offline Offline

Waqt Bitaya:
7 days, 50 minutes.
Posts: 773
Member Since: Dec 2011

View Profile
«Reply #5 on: January 16, 2012, 09:49:10 AM »
Reply with quote
:clapping Clapping Smiley Clapping Smiley very nice

Sunil ji,

Shukriya,

aap daad dene mein farakh hain
ham aapka shukriya kartein sharaakh hain

Dua Goo
Abul Asad
Logged
Abul Asad
Maqbool Shayar
****

Rau: 3
Offline Offline

Waqt Bitaya:
7 days, 50 minutes.
Posts: 773
Member Since: Dec 2011

View Profile
«Reply #6 on: January 16, 2012, 09:51:07 AM »
Reply with quote
boht khoob abul ji wah

Saahil sahab,
Aap ke bahut se kalaam ham padhte hain
aur uska lutf uthate hain,
aap se daad milti hai
tu phir hamare bahut hi maze aate hai
Abul Asad
Logged
adil bechain
Umda Shayar
*

Rau: 161
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
31 days, 18 hours and 24 minutes.

Posts: 6552
Member Since: Mar 2009

View Profile
«Reply #7 on: January 16, 2012, 09:55:10 AM »
Reply with quote

Teri yaad aye aur to na ho pas mere to kya karen
Tasveer teri ab dil mera na behlaye to kya karen
 
Hai waqt aisa ke tu bolaye aur ham na aapayen to kya karen
Hai jo ab tu vanhan mushtaqh aur ham bechaaar to kya karen
 
Kehte hain bora waqt bhi guzar jata hai kabhi
Jo nahi guzarta yeh waqt abhi to kya karen

Har cheez hai araaish-e zindagi ke liye idhar
Par jo dil ko chahiye, nahi idhar to kiya karen 

Abul Asad

kalaam achcha hai. abul sahab , main aap ko ek alag nazariye se dekhta hoon. aur usi mayaar mein bhi taulta(wazan) karta hoon. wajah ye ki aap ki urdu aur ENLISH ki vocabulary MASHAALLAH kaafii alaa hai. per aap ke kalaam mein wo rawaani nahin rahti.
 bura mat maaniye gaa. kyon ki meri pakad litreture mein bahut kamzor hain aur mujhe kahne ka koi haq nahin. phir bhi mujhe ummid hai aap apne kalaam ko apni kabliyat ke hisaab se likhein. taaki padhne mein mazaa bhi aaye.aur hamein bhi kuch seekne ko mile. aap yaqeen jaane .MAIN JO YE TOOTA-PHOOTA SA LIKHNE KI KOSHISH KARTA HOON ISI YOINDIA KE MASHOOR SHORAO.N SE SEEKHA HAI.

MERI BAAT BURI LAGI TO DARGUZAR KAREIN AUR MUJH KAMZARF KO MAAF KARE.

 Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile
Logged
Abul Asad
Maqbool Shayar
****

Rau: 3
Offline Offline

Waqt Bitaya:
7 days, 50 minutes.
Posts: 773
Member Since: Dec 2011

View Profile
«Reply #8 on: January 16, 2012, 10:08:25 AM »
Reply with quote
Adil Sahab,

Aap ki baat bahut hi achi lagi, iss ka ilm bakhoobi hai mujhe
pehli baat to yeh hai ke hamari fitrat men takabbur nahin, aur
na jalan-o hasad hai, To shayad issiliye ham haq ki baton ke
qayl hain. Aur Jo bhi haq ki baat karta hai khwa woh chota ho
ya bada, ham sar neeche karenge, aur tasleem apni ghalati karenge.
Issiliye, aapka sabse pehle to shukriya karen, sach bolne ka, aur meri kamzoor
nafz par ungli rakhne ka. Phir himmat chahiye yeh kehne ki, to us himmat ka.

Ji thori si meri urdu aur angrezi zubaan ke alfazon ki samajh maquol se zyada hai. Magar yeh shauq-e sukhan wari, kuch hi arsa pehle mere pindaar me aagiri.

To abhi bahut hi kamsin hoon is maidan men, seekh raha hoon, kuch ustaad shayaron ke kalaam padhne se, kuch aap logon se.

Magar sabse acha aur sabse zyaada koi agar meri ghalati saaf bata de, to main beshak sar neecha kare aik seedhe, talib ki tarah seekhne tayyar hoon.

Adil sahab, iss ko maddenazr rakhte hove, aap yeh ashar mere apni zubaani likhden, taake kuch ilm hasil ho hamen.

Shukr guzaar aapka
Abul Asad
Logged
adil bechain
Umda Shayar
*

Rau: 161
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
31 days, 18 hours and 24 minutes.

Posts: 6552
Member Since: Mar 2009

View Profile
«Reply #9 on: January 16, 2012, 10:59:15 AM »
Reply with quote
Adil Sahab,

Aap ki baat bahut hi achi lagi, iss ka ilm bakhoobi hai mujhe
pehli baat to yeh hai ke hamari fitrat men takabbur nahin, aur
na jalan-o hasad hai, To shayad issiliye ham haq ki baton ke
qayl hain. Aur Jo bhi haq ki baat karta hai khwa woh chota ho
ya bada, ham sar neeche karenge, aur tasleem apni ghalati karenge.
Issiliye, aapka sabse pehle to shukriya karen, sach bolne ka, aur meri kamzoor
nafz par ungli rakhne ka. Phir himmat chahiye yeh kehne ki, to us himmat ka.

Ji thori si meri urdu aur angrezi zubaan ke alfazon ki samajh maquol se zyada hai. Magar yeh shauq-e sukhan wari, kuch hi arsa pehle mere pindaar me aagiri.

To abhi bahut hi kamsin hoon is maidan men, seekh raha hoon, kuch ustaad shayaron ke kalaam padhne se, kuch aap logon se.

Magar sabse acha aur sabse zyaada koi agar meri ghalati saaf bata de, to main beshak sar neecha kare aik seedhe, talib ki tarah seekhne tayyar hoon.

Adil sahab, iss ko maddenazr rakhte hove, aap yeh ashar mere apni zubaani likhden, taake kuch ilm hasil ho hamen.

Shukr guzaar aapka
Abul Asad

bahut bahut shukriya ABUL SAHAB jo aapne meri baat ko izzat di. ALLAH AAPKO KHUSH RAKHE AUR KAMYAABI DE....AMIN. bahr ki samajh mujhe bhi nahin hai..!!

        waise aap ke kahne pe likhne ki koshish ki hai. pasand na aaye to tanqeed zarur kariye ga. jisse mujhe samajh aaye.

                  aaye teri yaad aur waqt na milaaye to kya karein..,
                  ab tasweer bhi teri dil na bahlaaye to kya karein..,

                  hai aur bhi masroofiyat zindagi mein mohabbat ke siwa,
                  tere  bulaane  per,gar  na  aa  paaye  to kya karein,

                  guzar jaataa hai zindagi mein buraa waqt bhi dheere-dheere,
                  gar   kabhi   pyaam-e-khushi   hi  na  aaye  to kya karein,

                  rahi maujood har cheez araaish ki aashiyaane mein abul..!
                  hai  talab  dil  ko  jiski, paas na aaye to kya karein..!!
Logged
mkv
Guest
«Reply #10 on: January 17, 2012, 10:51:35 AM »

Bahut Khoob Adil Bhai
Khoob likha hai apne.. Bahr ki baat to pahle hi aapne saaf kar di hai..
Applause Applause
Bas yu hi haum sab ka hausla badhate rahe..kuch galti dikhe to najar andaaj na kare..
Logged
mkv
Guest
«Reply #11 on: January 17, 2012, 10:57:50 AM »
Reply with quote

Teri yaad aye aur to na ho pas mere to kya karen
Tasveer teri ab dil mera na behlaye to kya karen
 
Hai waqt aisa ke tu bolaye aur ham na aapayen to kya karen
Hai jo ab tu vanhan mushtaqh aur ham bechaaar to kya karen
 
Kehte hain bora waqt bhi guzar jata hai kabhi
Jo nahi guzarta yeh waqt abhi to kya karen

Har cheez hai araaish-e zindagi ke liye idhar
Par jo dil ko chahiye, nahi idhar to kiya karen  

Abul Asad

Asad Bhai
Aapki saafgoi aur dildaari ke liye hum apko salaam karte hai..really we should take the suggestions in the right spirit. nobody wants to dominate anyone..
adil bhai ne jo baat himmat kar ke kah di vo baat mai nahi kah paaya.
Khair apke khoobsurat khayaalo, aur jajbaatoN ke liye aap badhaai ke patra hai..
really u have command over urdu & english..
I will suggest u to read more and review yur creation twice, thrice and then post.. most of the time, u will be able to correct urself.
Applause Applause
Logged
Abul Asad
Maqbool Shayar
****

Rau: 3
Offline Offline

Waqt Bitaya:
7 days, 50 minutes.
Posts: 773
Member Since: Dec 2011

View Profile
«Reply #12 on: January 18, 2012, 07:35:26 PM »
Reply with quote
Mkv ji,

Aapka behad shukriya, aapki daad bahut achi aur dilpasand lagi
Ham abhi shayari ke ibtedayi talib hain, khula dil aur dimaagh hai
yeh behr men likhne ki koshish jaari hai, kuch waqt lage ga shayad wanhan tak pahunchne ko. Magar aaplogon se badi himmat hai.
Phir bhi Aap se Aur ADIL Saheb, Aur doosre sahiban se guzarish hai ke hamari agle kalaam par apni kalam ki dhaar vaise hi tez rakhiye, seekhne ka ye behtareen mauqa hamare liye hoga.

Abul Asad
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #13 on: January 18, 2012, 07:53:57 PM »
Reply with quote

Teri yaad aye aur to na ho pas mere to kya karen
Tasveer teri ab dil mera na behlaye to kya karen
 
Hai waqt aisa ke tu bolaye aur ham na aapayen to kya karen
Hai jo ab tu vanhan mushtaqh aur ham bechaaar to kya karen
 
Kehte hain bora waqt bhi guzar jata hai kabhi
Jo nahi guzarta yeh waqt abhi to kya karen

Har cheez hai araaish-e zindagi ke liye idhar
Par jo dil ko chahiye, nahi idhar to kiya karen 

Abul Asad

Beautifulllllll Creation Abul Ji,, Bahoot Khoob likha hai.. Sach mein Bahoot pyaara sawaal hai yea.. Teri yaad aaye tho kya kare.. bahoot Umda likha hai !!!
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #14 on: January 18, 2012, 08:02:27 PM »
Reply with quote

     .

                  aaye teri yaad aur waqt na milaaye to kya karein..,
                  ab tasweer bhi teri dil na bahlaaye to kya karein..,

                  hai aur bhi masroofiyat zindagi mein mohabbat ke siwa,
                  tere  bulaane  per,gar  na  aa  paaye  to kya karein,

                  guzar jaataa hai zindagi mein buraa waqt bhi dheere-dheere,
                  gar   kabhi   pyaam-e-khushi   hi  na  aaye  to kya karein,

                  rahi maujood har cheez araaish ki aashiyaane mein abul..!
                  hai  talab  dil  ko  jiski, paas na aaye to kya karein..!!

Waah waah Adil ji.. Kya khoob likha hai ... bahoot hi shandaar .. bahoot Bahoot Umda !!!
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 07:10:00 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.12 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer