-Teri Yaad Bohot Aati Hai-

by Meena is back on January 06, 2006, 05:47:28 PM
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 35806 times)
Meena is back
Guest
Reply with quote
hmm kaun nahin janta us ehesas ke bare me jab hum kisi ko bohot bohot zada yaad karte hai aur bohot zada miss bhi. ussi ehesas pe ek poem:

Kya Kare sanam teri yaad hume bohot ati hai,
Teri har baar is nadan dil ko bohot satati hai,

Sochon bhi to kya, dekhon bhi to kya,
Jo sirf teri hi ek surat is man ko bhati hai,

Na yaad aya karo hume itna ke hum ro de,
Ke nikli har ek bond bhi tera hi nam bulati hai,

Kya tujhe bhi hua tha yeh ehesas kabhi,
Ke judai apne nishan nazuk dil pe kaise rajati hai?


 sad5
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Laut aa Tu,ke teri yaad bahoot aati hai by karan q in Shayri for Dard -e- Judai
teri yaad aati hai. . . by tinda in Shayri for Khumar -e- Ishq
Teri Yaad Aati Hai by angel4u in Shayri-E-Dard
Jab bhi teri yaad aati hai by deepika_divya in Shayri for Khumar -e- Ishq
Bohot Yaad Aati Hai Maa.....!! by Talat in Miscellaneous Shayri « 1 2 3  All »
vikas2210
Guest
«Reply #1 on: January 08, 2006, 07:09:59 AM »
Reply with quote
meena ji bahut khooob

yaad karna tujhe to ek bahana ha saans lene ka
na jaane kyon abhi bhi jeene ki tamana hai baaki
shayad aas hai baaki ke miloge tum ek din mujhe
issi ummed pe maut se zayada tujhe yaad karte hai
Logged
Saba_Saba
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
0 minutes.

Posts: 2239
Member Since: May 2005


View Profile
«Reply #2 on: January 08, 2006, 12:57:17 PM »
Reply with quote
Welcome Back .... Meena.... Good to see u here ... Usual Smile

Bohat KhuuB kaha

Yaad dil se kabhi jaati nahi uski
aur tanhayi me bohat yaad aati hai uski
Nam huyi aankhein jab hum ne socha
kis tarah se judayi rulati hai uski
Logged
Meena is back
Guest
«Reply #3 on: January 08, 2006, 04:23:42 PM »
Reply with quote
Quote from: "vikas2210"
meena ji bahut khooob

yaad karna tujhe to ek bahana ha saans lene ka
na jaane kyon abhi bhi jeene ki tamana hai baaki
shayad aas hai baaki ke miloge tum ek din mujhe
issi ummed pe maut se zayada tujhe yaad karte hai


shukriya vikas ji and gud one as well!

maut ko kaise pukare hum ke tamana hai tume pane ki,
laut aao wapas tum chahat hai hal-e-dil tume sunane ki,
judai ke palon komat banao meri kismat oh janewale,
khwab hai mera tujhe apne sanson me basane ki!
Logged
Meena is back
Guest
«Reply #4 on: January 08, 2006, 04:29:22 PM »
Reply with quote
Quote from: "Saba_Saba"
Welcome Back .... Meena.... Good to see you here ... Usual Smile

Bohat KhuuB kaha

Yaad dil se kabhi jaati nahi uski
aur tanhayi me bohat yaad aati hai uski
Nam huyi aankhein jab hum ne socha
kis tarah se judayi rulati hai uski


shukriya saba sis...apne bih bohot acha likha!

kya bataye ke ek pal bhi unki yaad dil se jati nahin,
ek lamha bhi aisa nahin jab woh hume satati nahin,
judai ke us alam se guzar chuke hume to aab,
suk gaya ankhon ka samundar, aab mai pani bahati nahiN!
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #5 on: January 08, 2006, 04:30:15 PM »
Reply with quote
very nice meena ji,vikas and saba ji..........................

Teri yaad k sahare jeeta hoon me,
Woh toh teri hee hai,jiske sahare jinda hain hum,
Warna kab  ki ye jindagi bhi hum se rooth jati,
Aur maut kareeb aake saath le jaati...................
Logged
Meena is back
Guest
«Reply #6 on: January 08, 2006, 04:37:49 PM »
Reply with quote
Quote from: "badnaam_shayar"
very nice meena ji,vikas and saba ji..........................

Teri yaad k sahare jeeta hoon me,
Woh toh teri hee hai,jiske sahare jinda hain hum,
Warna kab  ki ye jindagi bhi hum se rooth jati,
Aur maut kareeb aake saath le jaati...................


shukriya BS ji, nice one!!

pyar ke badle di tumne judai,
bata teri yaadon ke sahare kab tak jeeyenge,
na le aur imtehan tum mera ke,
judai ke is zeher ko hum kab tak piyenge!
Logged
vikas2210
Guest
«Reply #7 on: January 09, 2006, 09:35:37 AM »
Reply with quote
meena ji u r gr8 and thanks.

dhundhta mai chala maut ko
wo bhi lukka chippi khelti rahi
tadpati rahi tarsati rahi
paas aane ka kah kar dur jati rahi
lagta hai teri hi chavi hai usme
wo mujhko har dam chalti rahi
Logged
vikas2210
Guest
«Reply #8 on: January 09, 2006, 09:37:48 AM »
Reply with quote
shukriya BS u write very good and this one is still gr8.

aati jati sanse tera naam leti hai
uthti girti palke tera intezar karti hai
naa dekhle koi ashk meri aankho mai
chalave ke liye honto pe muskan rehti hai
Logged
HumTum is back
Guest
«Reply #9 on: January 10, 2006, 03:00:34 PM »
Reply with quote
Quote from: "Meena is back"
hmm kaun nahin janta us ehesas ke bare me jab hum kisi ko bohot bohot zada yaad karte hai aur bohot zada miss bhi. ussi ehesas pe ek poem:

Kya Kare sanam teri yaad hume bohot ati hai,
Teri har baar is nadan dil ko bohot satati hai,

Sochon bhi to kya, dekhon bhi to kya,
Jo sirf teri hi ek surat is man ko bhati hai,

Na yaad aya karo hume itna ke hum ro de,
Ke nikli har ek bond bhi tera hi nam bulati hai,

Kya tujhe bhi hua tha yeh ehesas kabhi,
Ke judai apne nishan nazuk dil pe kaise rajati hai?


sad5


Waah Waah Meena -JI .... sabse pehley ik sawal ... yeh  hummm kya hai ?  bahut achi  gazal likhi hai ....  aur Meena -JI udaas nhi hote na jaan ....feelings ko zinda kar ke gazal mein likh dene ki adaa to koi aap se sikhey ... aap ke aagey to hamari shayri ..... kuch bhi nhi lagti .... sharamsaar ho jate hai ..... aap ke shero ka jawab dete dete ... kahir .... hum bhi bahut deed punjabi hai ..... jawab dene se baaz nhi aayegey ..... here we go !!!


Na puch sanam judai ke yeh namuraad lamhey
har pal yeh dil udd ke tere paas aane ko karta hai

Na ankhoon mein khi need hai na qarar hai dil ko
dewana dil yeh mera tanhaii mein teri batien karta hai

kab hoga dedar tera kab yeh duaa hogi kabul meri
pagal yeh man mera aksaar yhi socha karta hai

Ehsaas e judai har pal mujh ko bahut staati hai "Meena"
Tere bina "HumTum" tera Aahoon pe Ahein barta hai !!  


:D
Logged
Meena is back
Guest
«Reply #10 on: January 11, 2006, 05:58:42 PM »
Reply with quote
bohot acha humtum ji...arre apne to itni tareef kar di meri...na na iske kabil nahin mai...mai to jo dil em hota hai tab lihk deti hoon, apke jaise mahan shayari nahin kar sakti na esp aapki chinese wali  :D

khatte hai woh pal bhi hum ko,
jab hote nahin tum pas,
dil kahi bhi lagta nahin sanam,
jane isme hai kausna raaz,
mehefil me bhi tanhai hai tere bin,
jabse bane ho tum is dil ke bohot hi khas!

 :D
Logged
HumTum is back
Guest
«Reply #11 on: January 12, 2006, 04:48:52 PM »
Reply with quote
Meena -JI ... mein German mein bhi shayri karta hoon ... kabhi padni ho to bta dena :D  ... filhal urdu mein likhta hoon !!!

mehfil ho koi ya chahaye chai tanhai ho
har pal sanam mujhey teri yaad aati hai
kabhi to khul ke baras apne dewane pe
kyu reh ke duur durr mujhyeey tapati hai !!
Logged
Meena is back
Guest
«Reply #12 on: January 13, 2006, 06:48:07 PM »
Reply with quote
wah wah humtum ji..bohot ache!

 :D
Logged
Sonu
Guest
«Reply #13 on: January 15, 2006, 05:42:52 AM »
Reply with quote
sabney bhut he acha likhahai... meenu... wonderful... saba good one... vikas ji... shayar badnam ji... and all others friends very nice all...

Kaate nahi kat te hai lamhe intezar ke
Kaate nahi kat te hai lamhe intezar ke
Nazre jama ke baithe hai rasthe pe yaar ke
dil ne kaha dekhe jo jalw-e-husn yaar ke
dil ne kaha dekhe jo jalw-e-husn yaar ke
laaya hai koun inhe palak se uthaar ke
Logged
Meena is back
Guest
«Reply #14 on: January 15, 2006, 03:25:37 PM »
Reply with quote
thank u sonu gud one!

 :D
Logged
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 09, 2024, 01:35:46 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.104 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer