~*~*~*~Tujhe Ham Bhula Na Sake~*~*~*~

by pankshivam on December 31, 2008, 08:20:45 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 3750 times)
pankshivam
Guest
Reply with quote

Rahe kitane arman is dil me, jo dil me na sama paye...
Dekhe kai khwab aaise bhi jo zindagi ki sachhayi chipa na sake...

Rahe bekhud teri aashiqi me khuda ko bhul kar,
Jab aaya waqt kayamat ka toh khuda ko bhi pa na sake...

Roye teri yaad meri sisak sisak kar tanhayi me,
Aaise zakhme diye tujhe ke khud kabhi muskura na sake...

Zindagi ne di aaisi khushiya gamo ki parchayi ke sath,
Ke sadiyo ki zindagi lagi, lamho me khushiya la na sake...

Lautna chahate the manzilo ki tamnna me teri ummid karke,
Par zindagi se wada nibha na sake...

Khud bewafa ho gaye jab dekha dard teri aakho me,
Kyun tujhpe ham ilzam laga na sake...

Khoya ek baar tujhe apne dil ke chain ki keemat pe,
Likha ek baar tera nam dil pe, jise aaj tak is dil se mita na sake...

Kya thi tum mere liye ye khuda janta hai,
Thi kaisi majboori ke tujhse duriyo ka dard bhi tujhe bata na sake...

~Pank~
Logged
Pooja
Guest
«Reply #1 on: December 31, 2008, 09:02:00 PM »
Reply with quote
bahoot khoob Pank ji!!
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #2 on: January 01, 2009, 12:05:50 AM »
Reply with quote
Nice One Pank Ji,.
Logged
pankshivam
Guest
«Reply #3 on: January 01, 2009, 12:13:40 AM »
Reply with quote
Shukriya Poojaji
Shukriya Jaanasheen Ji
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #4 on: January 01, 2009, 12:29:25 AM »
Reply with quote
U Are Welcome JI,.



chehra mera tha nigahen us ki
khamushi main bhi wo baten us ki

mere chehre pe gazal likhti gain
sher kahti hui ankhen us ki

shokh lamhon ka pata dene lagin
tez hoti hui sansen us ki

aise mausam bhi guzare ham ne
subhen jab apni thin shamain us ki

dhyan main us k ye alam tha kabhi
ankh mahtab ki yaden us ki

faisala mauj-e-hawa ne likkha
andhiyan meri baharen us ki

nind is soch se tuti aksar
kis tarah katati hain raten us ki

dur rah kar bhi sada rahti hai
mujh ko thame hue bahen us ki

Parveen Shakir,.
Logged
pankshivam
Guest
«Reply #5 on: January 01, 2009, 12:41:51 AM »
Reply with quote
U Are Welcome JI,.



chehra mera tha nigahen us ki
khamushi main bhi wo baten us ki

mere chehre pe gazal likhti gain
sher kahti hui ankhen us ki

shokh lamhon ka pata dene lagin
tez hoti hui sansen us ki

aise mausam bhi guzare ham ne
subhen jab apni thin shamain us ki

dhyan main us k ye alam tha kabhi
ankh mahtab ki yaden us ki

faisala mauj-e-hawa ne likkha
andhiyan meri baharen us ki

nind is soch se tuti aksar
kis tarah katati hain raten us ki

dur rah kar bhi sada rahti hai
mujh ko thame hue bahen us ki

Parveen Shakir,.
Nice Sharing Jaanasheen ji

Logged
cara
Guest
«Reply #6 on: January 01, 2009, 03:18:48 AM »
Reply with quote
nice one pankshivamji...


tuhje ham bula na sake,
apne dil se mita na sake.
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #7 on: January 01, 2009, 05:28:35 AM »
Reply with quote
Nice one indeed Shivam Ji
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #8 on: January 01, 2009, 05:29:58 AM »
Reply with quote
U Are Welcome JI,.



chehra mera tha nigahen us ki
khamushi main bhi wo baten us ki

mere chehre pe gazal likhti gain
sher kahti hui ankhen us ki

shokh lamhon ka pata dene lagin
tez hoti hui sansen us ki

aise mausam bhi guzare ham ne
subhen jab apni thin shamain us ki

dhyan main us k ye alam tha kabhi
ankh mahtab ki yaden us ki

faisala mauj-e-hawa ne likkha
andhiyan meri baharen us ki

nind is soch se tuti aksar
kis tarah katati hain raten us ki

dur rah kar bhi sada rahti hai
mujh ko thame hue bahen us ki

Parveen Shakir,.
Wonderful sharing Jaanasheen Bhai
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #9 on: January 01, 2009, 10:03:39 AM »
Reply with quote

Rahe kitane arman is dil me, jo dil me na sama paye...
Dekhe kai khwab aaise bhi jo zindagi ki sachhayi chipa na sake...

Rahe bekhud teri aashiqi me khuda ko bhul kar,
Jab aaya waqt kayamat ka toh khuda ko bhi pa na sake...

Roye teri yaad meri sisak sisak kar tanhayi me,
Aaise zakhme diye tujhe ke khud kabhi muskura na sake...

Zindagi ne di aaisi khushiya gamo ki parchayi ke sath,
Ke sadiyo ki zindagi lagi, lamho me khushiya la na sake...

Lautna chahate the manzilo ki tamnna me teri ummid karke,
Par zindagi se wada nibha na sake...

Khud bewafa ho gaye jab dekha dard teri aakho me,
Kyun tujhpe ham ilzam laga na sake...

Khoya ek baar tujhe apne dil ke chain ki keemat pe,
Likha ek baar tera nam dil pe, jise aaj tak is dil se mita na sake...

Kya thi tum mere liye ye khuda janta hai,
Thi kaisi majboori ke tujhse duriyo ka dard bhi tujhe bata na sake...

~Pank~

Bohat khoob Pank maza aa gaya....

Na khush raha tu kabhi humse juda hoker
Na hum kabhi tujhe dil se mita sake

                         -SG-
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #10 on: January 01, 2009, 01:28:14 PM »
Reply with quote
Shukriya Pank Ji,.
And Rajesh Bhaiya,.
Logged
pankshivam
Guest
«Reply #11 on: January 01, 2009, 04:56:04 PM »
Reply with quote
Shukriya Caraji
Shukriya Ghayal Sahab
Thanx Rajesh ji
Logged
Pooja
Guest
«Reply #12 on: January 01, 2009, 05:30:01 PM »
Reply with quote
Bohat khoob Pank maza aa gaya....

Na khush raha tu kabhi humse juda hoker
Na hum kabhi tujhe dil se mita sake

                         -SG-

do line  mai, zindagi ka fal-safa kah gaye app. bAHOOT KHOOB
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #13 on: January 02, 2009, 10:43:25 AM »
Reply with quote
Yaad Kyun Karoon Tumhe, Jab Bhoolaya Hi Nahi,.
Tum To Jurde Ho Mere Dil-o-Jaan Ke Saath,.

_____________________________-Jaanasheen-
Logged
pankshivam
Guest
«Reply #14 on: January 02, 2009, 11:03:06 AM »
Reply with quote
Yaad Kyun Karoon Tumhe, Jab Bhoolaya Hi Nahi,.
Tum To Jurde Ho Mere Dil-o-Jaan Ke Saath,.

_____________________________-Jaanasheen-
Bahoot Khoob Jaanasheenji Applause Applause Applause

Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 06:56:20 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.136 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer