Tum jo nahin ho ....!!!!

by Talat on November 02, 2006, 04:19:57 PM
Pages: 1 2 3 [4] 5 6 7
ReplyPrint
Author  (Read 6830 times)
Talat
Guest
«Reply #45 on: January 30, 2008, 01:28:59 PM »
Reply with quote
Bohot khoob Azeem !
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Tum Bhi To Aaj Tum Nahin..... by waheed_rose2004 in Shayri-E-Dard
Zarf ka koi naam nahin , Aansoo ka koi daam nahin by javedarshad in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
Nahin hai mujhe hosh mera Lekin mein madhosh nahin by Ricky in Miscellaneous Shayri « 1 2 3  All »
Just for You !!! - Nahin Nahin Nahin ... by Qutubuddin in Ghazals
Roja
Guest
«Reply #46 on: January 30, 2008, 01:47:17 PM »
Reply with quote
Jeena Mera Liye Sazaa Hogaya...
Yaar Mera Jab Se Judaa Hogaya,...

Hai Mohabbat Hume Aaj Bhi Us Se..
Jaane Kyun "Jaanasheen" Wo Bewafaa Hogaya,..

Khush Hai Wo Mujhse Bichardkar Ab,...
Main To Mehfilon Mein Bhi Tanhaa Hogaya,..

_____________-Azeem-__________


Bahut khoob Jaanasheen ji...
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #47 on: January 31, 2008, 04:02:27 PM »
Reply with quote
Shukriya Roja Sis,.
Logged
sharmaarunkumar
Guest
«Reply #48 on: February 22, 2008, 11:57:47 AM »
Reply with quote
Sath to pehle bhi nahin the tum mere,
Phir aaj kyun yeh judaai das rahi hai

Dil par kaisa hai yeh bojh anjaana sa,
yeh kaisi zangeer is ko kas rahi hai

Kyun bheeg rahi hain aankhain meri,
Kisi baat par jab dunya hans rahi hai

Yeh khalish chubhti si, yeh bechaini si,
Kyun thakan rooh main bas rahi hai

Dhadkan ho rahi hai dhemi rafta rafta,
Har saans seene main phans rahi hai !!
sad5

Wow!!!!!! marvellous!!! well written Talat ji!!!!

Apne tassawur mein hum tere ahsaas se mare jaate hain!
Jo nahin karna tha humein, kaam woh hi kiye jaate hain!

kaash! yeh dil tumhein bhula deta to achchha hota,
hum to khud apni hi sargoshiyon se mare jaate hain!

Ud rahe hain yaadon ke khule aasmaan mein suraj ki janib,
kise pata yeh jhulaste panchhee kab kidhar jaate hain!
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #49 on: February 22, 2008, 01:25:05 PM »
Reply with quote
Nice One Again Sharma ji,.
Logged
Talat
Guest
«Reply #50 on: February 23, 2008, 12:35:47 AM »
Reply with quote
Wow!!!!!! marvellous!!! well written Talat ji!!!!

Apne tassawur mein hum tere ahsaas se mare jaate hain!
Jo nahin karna tha humein, kaam woh hi kiye jaate hain!

kaash! yeh dil tumhein bhula deta to achchha hota,
hum to khud apni hi sargoshiyon se mare jaate hain!

Ud rahe hain yaadon ke khule aasmaan mein suraj ki janib,
kise pata yeh jhulaste panchhee kab kidhar jaate hain!

Arunji...Behtareen likha hai !!!!!!...bohot khoobsurat !!!!!!....bohot din baad aapka kalaam parhne ko mila....Tabiyat khush ho gayi .. Usual Smile


Naam lete ho mera band honton se tum,
Sarghoshian mere kaanon main bolti hain

Bhulaane ka mujh ko, waada tha tumhara,
Parchaaiyaan meri, yaadon main ghoomti hain

Aur main bhi tanha hoon logon ke hujoom main
Tanhaaiyaan meri, bas tum ko dhoondti hain

Har pal tumhe yaad kiye jaata hai dil, aur
Sadiyaan kitni, har ek pal main guzarti hain
Logged
sharmaarunkumar
Guest
«Reply #51 on: February 23, 2008, 09:04:00 AM »
Reply with quote
Shukriya Janasheenji and Talat ji!!
Talat ji behad umda likha hai aapne!!!waaah!!!Bahut badhiya!!!

Tere khayalon mein na jane mujhe kya ho gaya hai!
Khud ki talash karte karte yeh Jahaan kho gaya hai!

Na raah ka pata hai na rahbar ko jaanta hoon,
Ek tera tassawur mera Rahnuma ho gaya hai!

Kal tak tha saath woh Humsafar bhi Humraaz bhi,
Na jaane aaj kya yeh maazra ho gaya hai!!

Khule aasmaan mein taaron ki chhav mein,
Chandni ke gaaon mein Chaand Kho gaya hai!

yaa mere khuda!kaisa yeh haadsaa ho gaya hai!
Main bhi wahi hoon, mera wajood kho gaya hai!



Logged
zakhmola
Guest
«Reply #52 on: February 23, 2008, 10:06:17 AM »
Reply with quote
Tumhare na honey sey
mujhey zindgi ka aihsaas hua
tumsey juda hokar
jee kahan paata hun main...
Logged
Talat
Guest
«Reply #53 on: February 23, 2008, 10:53:17 AM »
Reply with quote
Shukriya Janasheenji and Talat ji!!
Talat ji behad umda likha hai aapne!!!waaah!!!Bahut badhiya!!!

Tere khayalon mein na jane mujhe kya ho gaya hai!
Khud ki talash karte karte yeh Jahaan kho gaya hai!

Na raah ka pata hai na rahbar ko jaanta hoon,
Ek tera tassawur mera Rahnuma ho gaya hai!

Kal tak tha saath woh Humsafar bhi Humraaz bhi,
Na jaane aaj kya yeh maazra ho gaya hai!!

Khule aasmaan mein taaron ki chhav mein,
Chandni ke gaaon mein Chaand Kho gaya hai!

yaa mere khuda!kaisa yeh haadsaa ho gaya hai!
Main bhi wahi hoon, mera wajood kho gaya hai!




Marvellous....Beautiful Arunji .... bohot khoob !!!

Kaie kahen kaise jiye hain hum tere jaane ke baad,
Rafta rafta zindagi se door, ek tere jaane ke baad

Na khwahishain, na mele armaanon ke ab lagte hain,
Tham gaya har shor, hain veeraaniyaan, jaane ke baad

Mausam-e-bahaar main hota hai khizaan ka gumaan,
Na rango-boo ki mehfilian na baharain tere jaane ke baad

Tanhaaiyon ke andhere main kahin kho gaye hain hum,
Utarta nahin hai chaand ab aangan main, jaane ke baad


Logged
Talat
Guest
«Reply #54 on: February 23, 2008, 10:56:27 AM »
Reply with quote
Tumhare na honey sey
mujhey zindgi ka aihsaas hua
tumsey juda hokar
jee kahan paata hun main...

Nice one Zakhmola !

Kho gayi hai har khushi, aur bas tanhaayi hai,
Aaj phir ghum main doobi shaam utar aaayi hai !
Logged
sharmaarunkumar
Guest
«Reply #55 on: February 24, 2008, 08:40:30 AM »
Reply with quote
Shukriya Janasheenji and Talat ji!!
Talat ji behad umda likha hai aapne!!!waaah!!!Bahut badhiya!!!

Tere khayalon mein na jane mujhe kya ho gaya hai!
Khud ki talash karte karte yeh Jahaan kho gaya hai!

Na raah ka pata hai na rahbar ko jaanta hoon,
Ek tera tassawur mera Rahnuma ho gaya hai!

Kal tak tha saath woh Humsafar bhi Humraaz bhi,
Na jaane aaj kya yeh maazra ho gaya hai!!

Khule aasmaan mein taaron ki chhav mein,
Chandni ke gaaon mein Chaand Kho gaya hai!

yaa mere khuda!kaisa yeh haadsaa ho gaya hai!
Main bhi wahi hoon, mera wajood kho gaya hai!




Marvellous....Beautiful Arunji .... bohot khoob !!!

Kaie kahen kaise jiye hain hum tere jaane ke baad,
Rafta rafta zindagi se door, ek tere jaane ke baad

Na khwahishain, na mele armaanon ke ab lagte hain,
Tham gaya har shor, hain veeraaniyaan, jaane ke baad

Mausam-e-bahaar main hota hai khizaan ka gumaan,
Na rango-boo ki mehfilian na baharain tere jaane ke baad

Tanhaaiyon ke andhere main kahin kho gaye hain hum,
Utarta nahin hai chaand ab aangan main, jaane ke baad





Duniya ki tez Hawaaon mein mera meet kahin kho gaya hai!
Sangeet to ab bhi wahin hai magar Geet kahin kho gaya hai!

Jabse juda woh hum se hue hain Saare aalam badal gaya hai,
sardi, garmi, patjhad, Sawan sab chaumasa ho gaya hai!

Bachche dekh ke hanste mujh ko,duniya kahti deewana hai,
Teri chaah mein mera wazood hi Ek Tamaasha ho gaya hai!
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #56 on: February 24, 2008, 03:15:15 PM »
Reply with quote
Wah Doston Kamaal Ka Likha Hai aap Sabne Yaar,.
Yunhi Likhte Rahiye,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #57 on: February 24, 2008, 03:17:31 PM »
Reply with quote
Ab ye Hoga Shayad Apni Aag mein Khud Jal Jaayenge,.
Tum Se Door Bahoot Rehkar Bhi Kya Paya, Kya paayenge,.

Dukh Bhi sachche Sukh Bhi Sachche, Phir Bhi Teri Chahat Mein,.
Humne Kitne Dhoke Khaaye, Kitne Dhoke Khaayenge,.

Akhal Pe Humko Naaz Bahoot Tha, Lekin Ye Kab Socha tha,.
Ishq ke haathon Ye Bhi Hoga, Log Hume Samjhaayenge,.

kal ke Dukh Bhi Kaun Se Baakhi Aaj Ke Dukh Bhi kayi Din Ke,.
Jaise Din Pehle Kaate The, ye Bhi Din Katt Jaayenge,.

__________________________________-Ahamed Hamdani-
Logged
sharmaarunkumar
Guest
«Reply #58 on: February 25, 2008, 06:49:50 AM »
Reply with quote
Ab ye Hoga Shayad Apni Aag mein Khud Jal Jaayenge,.
Tum Se Door Bahoot Rehkar Bhi Kya Paya, Kya paayenge,.

Dukh Bhi sachche Sukh Bhi Sachche, Phir Bhi Teri Chahat Mein,.
Humne Kitne Dhoke Khaaye, Kitne Dhoke Khaayenge,.

Akhal Pe Humko Naaz Bahoot Tha, Lekin Ye Kab Socha tha,.
Ishq ke haathon Ye Bhi Hoga, Log Hume Samjhaayenge,.

kal ke Dukh Bhi Kaun Se Baakhi Aaj Ke Dukh Bhi kayi Din Ke,.
Jaise Din Pehle Kaate The, ye Bhi Din Katt Jaayenge,.

__________________________________-Ahamed Hamdani-



Woaah Kya baat hai!! Thank you for sharing such beautiful lines with us!!!!
Logged
zakhmola
Guest
«Reply #59 on: February 25, 2008, 07:54:50 AM »
Reply with quote
Tumsey bichad ke bhi
main jee raha hun abhi tak
kitni jhooti thi wohh kasmey[ tu nahi hogi toh main mar jaunga ]
jo humney milkar khayi thi...
Logged
Pages: 1 2 3 [4] 5 6 7
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 02:39:12 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.105 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer