तुम क्या गए सब पराये हो गए
ग़मों के हमपे घने साये हो गए
चिड़िया अब सुबह उठ के चहचहाती नहीं है
गीत मोहब्बत के अब वो गाती नहीं है
फूल देख के मुझे मुस्कुराते नहीं हैं
भंवरे भी अब गुनगुनाते नहीं हैं
सो गयी हैं मेरी सांसें इंतज़ार में
कितने दिन तुमको मुझको जगाये हो गए
तुम क्या गए सब पराये हो गए
गलियों में पसरा है सन्नाटा,मातम मनाती हैं परछाइयाँ
नहीं सुनी कबसे हमने बरात वाली शहनाइयां
आंसू जो जमे थे चेहरे पे पिघले नहीं हैं
एक अरसा हुआ हम घर से निकले नहीं हैं
गिनते हैं तारो को हम उँगलियों पे
कितने दिन तुमको हमको भुलाये हो गए
तुम क्या गए सब पराये हो गए
काम आती नहीं मेरी सदायें मुझे
बुढ़िया देती नहीं अब दुआएं मुझे
ढूंढता हूँ तुझे हाथ की लकीरों में
गिनती होती है मेरी अब फकीरों में
फैला के बैठ हूँ बाहें मैं अपनी
कितने दिन तुमको मुझे गले लगाये हो गए
तुम क्या गए सब पराये हो गए
दिन तो गुज़र जाता है रात कटती नहीं
तस्वीर से भी तेरी अब बात बनती नहीं
तुम थे तो रोशन मेरी हर रात थी
मनती थी दीवाली रोज़ क्या बात थी
रातें करती हैं इन्तेज़ार तेरे आने का
कितने दिन हमको शमा जलाये हो गए
तुम क्या गए सब पराये हो गए
बिखरी बिखरी जुल्फ़े आँखें धंसने लगी
चेहरे पे पड गयी सिलवटें सांसें फंसने लगी
तुम्हारे बिना देखो मेरा क्या हाल हो गया
जिस्म सूख के जैसे कंकाल हो गया
आईने ने भी रोक के मुझसे पुछा
कितने दिन "अरु" तुमको नहाये हो गए
तुम क्या गए सब पराये हो गए
Tum kya gaye sab paraye ho gaye
Gamon ke humpe ghane saaye ho gaye
Chidiya ab subah uth ke chahchaati nahin hain
Geet mohabbat ke ab vo gaati nahin hai
Fool dekh ke mujhe muskuraate nahin hain
Bhanware bhi ab gungunaate nahin hain
So gayi hain meri saansein intezaar mein
Kitne din tumko mujhko jagaye ho gaye
Tum kya gaye sab paraye ho gaye
Galiyon mein pasra hai sannatta maatam manati hain parchhaiyan
Nahin suni kabse humne baaraat wali shehnaiyan
Aansu jo jame the chehre pe pighle nahin hain
Ek arsa hua hum ghar se nikle nahin hain
Ginte hain taaron ko hum ungliyon pe
Kitne din tumko humko Bhulaye ho gaye
Tum kya gaye sab paraye ho gaye
Kaam aati nahin meri sadayein mujhe
Budhiya deti nahin ab duaein mujhe
Dhoondta hoon tujhe haath kee lakeeron mein
Ginti hoti hai meri ab fakeeron mein
Faila ke baitha hoon baahein main apni
Kitne din tumko mujhe gale lagaye ho gaye
Tum kya gaye sab paraye ho gaye
Din to guzar jaata hai raat katti nahin
Tasveer se bhi teri an baat banti nahin
Tum the to roshan meri har raat thi
Manti thi diwali roz kya baat thi
Raatein karti hain intezaar tere aane ka
Kitne din humko shama jalaye ho gaye
Tum kya gaye sab paraye ho gaye
Bikhri bikhri julfein aankhein dhansne lagi
Chehre pe pad gayi silwatein saasein fansne lagi
Tumhaare bina dekho mera kya haal ho gaya
Jism sookh ke jaise kankaal ho gaya
Aaine ne bhi rok ke mujse poocha
Kitne din "aru"tumko nahaye ho gaye ye to poori majnoo wali haalat ho gayi hai!
Tum kya gaye sab paraye ho gaye