Tumhare dukhon ko

by poem143s on June 21, 2007, 03:42:33 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 924 times)
poem143s
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
20 hours and 21 minutes.
Posts: 319
Member Since: Mar 2004


View Profile
Reply with quote
Tumhare dukhon ko apana bana leta jo tum mere saath hoti
Sukh dukh mil ke sah lete, chaand taron se saji raat hoti
Khuda ki khudai main yakeen aa jaata
Jo tumhari mout mere mout ke baad hoti
Sameer
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
zindagi dukhon se bhari hui hai by tanha dil tanha safar in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
dukhon ka samandr by angurana in SMS , mobile & JOKES
*~*Hum Tumhare Hain....Tumhare Sanam ! *~* by *~*Pakeezah Aanchal*~* in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
~*~Dukhon Ke Saaye~*~ by Aryaan in Shayri-E-Dard
Pooja
Guest
«Reply #1 on: June 21, 2007, 03:49:39 AM »
Reply with quote
nic e

mout per kis ka ikhtiyaar hai
chal diye wo jahan nahi koi sath hai
marte hai her pal hum unke bina
kahne ko zinda, magae ek lash hai
Logged
poem143s
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
20 hours and 21 minutes.
Posts: 319
Member Since: Mar 2004


View Profile
«Reply #2 on: June 21, 2007, 03:52:20 AM »
Reply with quote
Pooja Ma'am
Ye sirf aap ke liye likha tha
Logged
Pooja
Guest
«Reply #3 on: June 21, 2007, 04:01:08 AM »
Reply with quote
are baap re meri mout apni mout se pahle.. kaya zulam hai poem ji...

mai to bas shayri pardti hu aor jawab de deti hu...

mere liye likha, jahe naseeb mere
magar hum to zinda hi nahi, yakin kare mere
chal rahi hai yah lash kuch farz nibhane ke liye
khoon mai hai dard, juban sard, zindagi nibhane ke liye
Logged
poem143s
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
20 hours and 21 minutes.
Posts: 319
Member Since: Mar 2004


View Profile
«Reply #4 on: June 21, 2007, 04:13:38 AM »
Reply with quote
Pooja ji
aap kuch galat pad rahe ho, maine likha hai tumhari mout mere baad ho, khuda kare yesa hi ho pahile main mar jaau wo kaya hain na din to humne is duniya jaana hota hai, sorry for mout ye to bas ek shayari thi KHUDA KARE AAPKO HAMARI BHI UMAR LAG JAAYE, aur aap ki umar din dugani aur raat choguni ho jaaye, aur kuhda se bas yahi maanga karte hain, pooja saare dukhon ko bhool ke hashna sikho, yahi jeevan ki sabse badi jeet hoti hai aur wahi inshan jeet ta hai jo dukhon main hash leta hain, is liye please aaj ke baad no RONA ok. bus sirf hasha karo please mere liye to hash sakte ho plesae dekha tum hash rahi ho na BAHUT ACHCHE LAGTE HO AAP HASHTE HUYE
KEEP SMILING
TAKE CARE
Sameer
Logged
Pooja
Guest
«Reply #5 on: June 21, 2007, 04:20:32 AM »
Reply with quote
kyun meri zindagi ki dua karte ho
bin jaane kyun yah saza mere naam karte ho
mar bhi nahi sakti ki kuch farz hai baki
kyun is lash ke naam, apni dua ki sada karte ho
Logged
poem143s
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
20 hours and 21 minutes.
Posts: 319
Member Since: Mar 2004


View Profile
«Reply #6 on: June 21, 2007, 04:27:34 AM »
Reply with quote
Quote from: "Pooja"
kyun meri zindagi ki dua karte ho
bin jaane kyun yah saza mere naam karte ho
mar bhi nahi sakti ki kuch farz hai baki
kyun is lash ke naam, apni dua ki sada karte ho




Pooja ji
Please lash ki baat na kiya karo, hum aap ko lambi umar ki duwa de rahe hain aur aap ho ki lash lash lash, pooja tumhare liye main YAMRAJ se bhi lar jaunga aur gala daba ke maar dalunga usse,  
no mayushi only khushi khushi khushi ( khushi koi ladki ka naam nahi hai haan pata chala aap khushi ko larki samajh baithe) please khush raha karo yahi sab se badi kamyaabi hai
Logged
Pooja
Guest
«Reply #7 on: June 21, 2007, 04:47:00 AM »
Reply with quote
kaamyaab ho jaate jo wo jaan paata
kitna pyar hai dil mai wo jaan paata
sab kuch ho gaya khatam ek shaq per uske
hai dil main pyaar kitna, kash wo jaan paata
Logged
poem143s
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
20 hours and 21 minutes.
Posts: 319
Member Since: Mar 2004


View Profile
«Reply #8 on: June 21, 2007, 11:31:03 AM »
Reply with quote
Quote from: "Pooja"
kaamyaab ho jaate jo wo jaan paata
kitna pyar hai dil mai wo jaan paata
sab kuch ho gaya khatam ek shaq per uske
hai dil main pyaar kitna, kash wo jaan paata



Shaq se dil hi nahi ghar bhi toot jaate hain
Manzil ke kareeb aake bhi rashte chhoot jaate hain
Ye gujarish hai meri aap se doshto, chhor do shaq karna
Ek chhote se shaq se, hamare anmol sapne toot jaate hain
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 14, 2024, 10:18:17 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.12 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer